The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Funny Poetry’ Category


Le Too Liya Hai Mobile Magar Call Kertey Nahi
Miss Call Detey Hai Rabta Bahal Kertey Nahi

Dosrey Se Rekhtey Hai Phone Kerne Ki Tawakoy
Apne Mobile Se Phone Kerne Ki Majaal Kertey Nai

Aa Jaye Koi Phone Too Suntey Hai Barey Shok Se
Agley Ka Bill Ban Raha Hai Is Ka Khayal Kertey Nai

Agar Bhool Se Kabhi Call Ker Bhi Le
Hello & Bye K Elawa Agla Sawaal Kertey Nahi

Kiya Faida Aisey Mobile Ka Akhir "DOST"
Zaroorat K Waqt Bhi Jiska Istimal Kertey Nahi

Itnay dino se jalanay nahi aya
Jalti hui aag ko bujhanay nahi aya
Kehta tha saath jeyen gey saath marain gay
Ab rooth gai hoon to ullu ka pattha mananay bhi nahi aya.

—————————————————————-

nakam muhabbat ka har eik dukh sehna..
har haal main anjam se darte rehna
Qudrat ka barra imtehaan hai ye bhi…
mehbooba ki olad ka "mamu" kehna !

—————————————————————-

Waqt-e-Namaz hai or masjid bhi hai qareeb
uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon
ghar main hain filhal jitne bhi purane jotey
aap bhi jake badal lain main tu badal laya hoon

Ishq main fannee kharabi

Jun 2, 2008 Author: admin | Filed under: Funny Poetry

Ishq main fannee kharabi………..Mu nqata hi ho gaya saab silsila
Is tarha toota hai un se wasta….jis tarha T.V main toote rabta

Utha kar phool ki patti, nazaakat se masal daali
Eshaarey se kaha…. Hum dil ka "Aisa" haal kartey hain

Apni insult ka badalaa dekhna main kaise loonga
Jaaneman tere baap ko Shift + Delete kar doonga

BeGuM
:shock:
Bandar ki tarah mujjay nachati meri begum
Din main bhi sitaray dikhati meri begum
Chughlioun main lagta hai Masters kiya iss nay
Mahalay bhar main aag lagati meri begum
Punjabi bolti hai angrezi lab-o-lehjay main
Youn society high banati hai meri begum
Khuwab main dar kar jag jata houn akser
Begair Makup jab yaad ati hai meri begum
Mujjay deti hai khanay main karaylay or Kadu
Khud har rooz Rost urati hai meri begum
Har modou par bolti hai jahiloun ki tarah
Bolnay main nahi Maat khati meri begum
Ronay Dhonay main nahi koi iss ka sani
Har Miiyaat par bulai jati hai meri begum
Ban Than kar jab dekhti hai mujjay pyaar say
Phir jhoot mujj say bulwati hai meri begum
Jab atay hain iss k Maa Baap Milnay
Zalim say Mazloom ban jati hai meri begum
Har fashion dekh kar filmoun main daramoun main
Darzioun ki sale barhati hai meri begum
Maykay main mashoor hai iss ki mehmaan nawazi
Unn ko nashtay main pizza khilati hai meri begum
Apni zaban say kehti hai hoor houn main
Mujjay tu langoor jaisi nazer ati hai meri begum
Kitnay suhanay guzartay hain apnay woh din
Jin dinoun maykay chali jati hai meri begum
Apnay aath Bhaioun ka deti hai jab hawala
Aisay dhoti geeli karvati hai meri begum
Tahir tu ik idaray main hai adna mulazim
Sab ko sarkari mulazim batati hai meri begum

Mard honi chahiyah, Khatoon hona chahiyah
Ab Grammar ka yehi qanoon hona chahiyah
Raat ko bachay parhai ki aziyat say bachay
Unn ko Tv ka buhat mamnoon hona chahiyah
Doston English zaroori hai humaray wastay
Fail honay ko bhi koi mazmoon hona chahiyah
Nursery ka dakhla bhi sarsari na janiye
Ap k bachay ko Aflatoon hona chahiyah
Sirf mehnat kya hai Anwar kamyabi k liye
koi Uper say bhi telephone hona chahiyah

rail ke dibbe mein

Jun 2, 2008 Author: admin | Filed under: Funny Poetry

rail ke dibbe mein ye qissaa huaa
ek bachchaa zor se rone lagaa

maa ne samajhaane kii koshish kii bahot
us ko bahalaane kii koshish kii bahot

thak ke aaKhir loriiyaan gaane lagii
bijaliyaan kaano par barasaane lagii

das minute tak loriiyaan jab vo gaa chukii
til-milaa kar bol uthaa ek aadmii

"Behanjii, itnaa karam ab kiijiiye
aap is bachche ko rone diijiiye!"

ek shaam kisii

Jun 2, 2008 Author: admin | Filed under: Funny Poetry

ek shaam kisii bazm mein juute jo kho gaye,

ham ne kahaa bataaiiye ghar kaise jaayenge

kahane lage ke sher sunaate raho yuun hii

ginte nahiin banenge abhii itne aayenge

Kursi Nama

Jun 2, 2008 Author: admin | Filed under: Funny Poetry

Kursi Nama

Insaan ka har ayeb chupa deti hai kursi
budho ko bhi zee shan bana deti hai kursi
shab bhar main yeh muflis ko bana deti hai zar dar
soi hoi kismat ko jaga deti hai kursi
gaoun main jo mashoor hai "gulu" k laqb say
uss shaks ko gulsher bana deti hai kursi
woh loog jo mariyaal say nazar atay hain pehlay
unn loogoun ki tuwandoun ko barha deti hai kursi
Ta umer woh phir uss k liye bharta hai aahain
ek baar jisay jalwa dikha deti hai kursi
woh loog jo rehtay hain karaye k makan main
bangloun main unhain la k bitha deti hai kursi
gar sahib-e-kursi hai faqat teen (3) hi foot ka
uss bonay ko chay (6) foot ka bana deti hai kursi
woh loog jo ek lafz ada kar nahi saktay
taqreer ka fun unn ko sikha deti hai kursi
nazdeeq nahi ata niyaz! iss k koi bhi
jiss shaks ko ek baar gira deti hai kursi

ریا کاری نہیں جاتی –

تن آسانی نہیں جاتی، ریا کاری نہیں جاتی
میاں، برسوں میں یہ صدیوں کی بیماری نہیں جاتی

جناب شیخ یوں چلتے ہیں علم و فضل کو لے کر
کسی ٹھیلے سے جیسے کوئی الماری نہیں جاتی

کتابیں، جن کے کھل جانے سے آنکھیں بند ہو جائیں
یہ دانس، جس کے آ جانے سے بیکاری نہیں جاتی

میاں گل شیر تم بھی تو ہوا کے رخ کو پہچانو
جہاں ساڑھی چلی جاتی ہے، پھلکاری نہیں جاتی

Idhar jhupte

Jun 2, 2008 Author: admin | Filed under: Funny Poetry
Idhar jhupte udhar palte issay pakra ussay jakra
Lahu ghram rakhnay kay bahanay hain uranon main

Har larki un ko nazar aatee hai fakhta jaisee
Uqabi ruh jab baidaar hoti hai jawanon main

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments