The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
"TUM Hi TUM HO"
Hansny Main
Rony Main
Jagny Main
Sony Main
Pany Main
Khony Main
KOYAL Ki Koo Koo Main
Pholon Ki Khushbu Main
Gaaon Ki Gori Main
Aatay Ki Bori Main
ABBA Ki Daant Main
TariQ Road Ki Chaat Main
AMMAA Ki Pitai Main
DiL Pasand Ki Mithai Main
Jhooty Ki Sachai Main
Is DiL Ki Gehrai Main
PYAR Ki Nishani Main
Student Ki Biryani Main
Chai K Hotel Main
7up Ki Bottle Main
Karli K Saahil Main
Or,
Mere MOBiLE Main
"TUM Hi TUM HO’
mana ye fashion hazar kartey hain
Khud ko sanwarne ki koshish bekar kartey hain
Sakht garmi mai pehan k ye tight jeans
Lambi tango ki numaish bar bar kartey hain
Larki k samney bantey hain ye nawab
Chahey paoon mei pehni ho phati hui jarab
Shadi se pehle kartey hai wadey hazar
Phir maa k paloo mei rotey hai zaar zaar
Kehney ko ye hamey Kharab kehte hain
Yahi…per hum ko chand-e-mahtab kehtey hain
Masoom larkiyoon ki le kar badduwaein
College ke bahir khud ko khawar karte hain
Maa baap se jhirke hazar khaye gain
Par larki k liye tohfa zaroor udhaar layain gain
Lakh bhai…bhai. … keh ker larki pukarey
Par us pe ye nazar kharab hi rakhte hain
Batein kare gain chand aur stars ki
Chahey nobat ho ghar mai achar ki
Aur bhi inki kartoote kar sakti hon zeb-e-kartaas
Par kagaz ki izat ka bhi mujh ko hai paas
Bas ek guzaish hai in (MISTERS) se
K hamesha rakhe muhabbat hum (SISTERS) se
HAZAL
khichdi hi sahi , kuch to pakane ke liye aa
aa tu hi meri daal galaane ke liye aa
pahnai thi jis meN kabhi maiN ne hi aNguthi
mujhko usi uNgli pe nachaane ke liye aa
tu bhi to kabhi dekh mere hathoN ka jadoo
tu bhi to kabhi mujh se khujaane ke liye aa
ro ro ke teri yaad meN tub bhar diye maiN ne
Ay qahet zada ab to nahaane ke liye aa[/b][/size][size=3][b]
princess of hearts ye mazak kaha’n hai
ye to haqiqat hai
aap double mubarak baad ki mustahiq hain
aik taraf paigham doosri taraf atacha shair
5 ***** sharing hai
iss tarah k agar aur ashaar bhi hon to
zaroor thread karain
Sawab ki bhi baat hai Mashaallah
aaj kal ki larkian apne husn per naaz karti hain
dosra kalma aata nahi aur english mein baat karti hain
shair to aakhir shair hai chahe mazaqiya hi ho
waise likha bilqul sahi hai jisne b likha hai![]()
Sardar G Naha Rahy Thy…..
Bahir 1 Dost Aya Sardar G
Nangy Hi Bahir Aye..
Bola Sardar G Keya Chast Hy…?
Sardar G Proudly Boly….
Oye…………….
Haly Tu Apny Bharjai Di Nae Waikhi………?
2 GADHY(DUNKIES) APAS ME BAAT KER RAHY THY……….
PEHLA: MERA MAALIK MUJHY DAILY MARTA HY….
DUSRA: TU BHAG JAO…..
PEHLA: YAAR YAHAN FUTURE BRIGHT HY..
DUSRA: WO KAISY?
PEHLA: MAALIK KI BEAUTIFUL GIRL JUB KOI ..
GHALTI KERTI HY TU MAALIK KEHTA HY KEH.
TERE SHADDI GHADY SE KER DOON GA..
ISSI UMEED PER YAHAN RUKA HOWA HOON.
Murga mera murghioun main bara mashoor huva hai
Jaisay Filmoun main Amir khan ka dour huva hai
Har rooz ek nai murghi k sath gali main tehalna
Iss baat ka murghoun main bara shoor huva hai
Kaai bar ho chuki hai raqeebon k hath pitaai
Kha kha kar maar, dheet or moun zor huva hai
Ek baar pakra giya beywa murghi k sang sar-e-aam
Randway murghoun main iss baat par ghoor huva hai
Kambakht deta nahi hai abb kabhi sehar ki azan
Aayashioun main doob kar aisa kam choor huva hai
Kuch na poocho thanaydar k ghar iss par kya guzri
Bas yaaro ek adad tang say maazoor huva hai
Molvi sahib ki murghi jab say kar gai intayqal
Tab say bechara laa char or kamzoor huva hai
Parosan nay mara tana, murgha mera bhi meray jaisa
Sun kar yeh baat Tahir sharmindah zaroor huva hai
us ki nazar meri taraf uthi..
meri nazar uski taraf uthi….
maine ne pehle us ko dekha….
us ne phir mujh ko dekha….
wo kuch mujh se pochna chata tha
main kuch us se kehna chahti thi
dono hi is uljhan main baithe reh gay
aur phir………..
exam ka time over ho gaya
ghoonghat main tujhe deekha to
sangeet ka tarana hoa
shamma ka parwana hoa
masti ka mastana hoa
jaise hi ghoonghat uthaya….+o +o +o
dunya se rawana hoa