The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
shaam ho jaam ho subuu bhii ho tujh ko paane kii justajuu bhii ho dil se dil kii kahaaniyaa.N bhii sune aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n guftaguu bhii ho jhiil sii gaharii sabz aa.Nkho.n me.n Duub jaane kii aarazuu bhii ho sirf tere badan kii shamaa jale aur a.Ndheraa-saa chaar_suu bhii ho
aa.Nkhe.n merii talavo.n se mal jaaye to achchhaa hai hasrat-e-paa-bos nikal jaaye to achchhaa [paa-bos=kissing the feet;] jo chashm ke be-nam ho.n, vo ho kor to bahatar jo dil ke ho be-daaG, vo jal jaaye to achchhaa [kor=sightless;] furqat me.n terii taar-e-nafas siine me.n mere kaa.NTaa saa khaTakataa hai, nikal jaaye to achchhaa [furqat=separation; taar-e-nafas=here it implies pain like needles pricking] vo subah ko aaye to karuu.N baate.n mai.n do-pahar aur chaahuu.N ke din tho.Daa sa Dhal jaaye to achchhaa Dhal jaaye jo din bhii to isii tarah karuu.N shaam aur chaahuu.N ke gar aaj se kal jaaye to achchhaa jab kal ho to phir vahii karuu.N kal kii tarah se gar aaj ka din bhii yuu.N hii Tal jaaye to achchhaa al-qissaa nahii.n chaahataa mai.n, jaaye vo yaa.N se dil usakaa yahii.n garache bahal jaaye to achchhaa [al-qissaa= in short]
munsifo.n saliibo.n par faisale nahii.n hote besabab baGaavat ke saanahe nahii.n hote jhuuTh aur sadaaqat kii jang to azal se hai phir bhii sach pe jiine ke hausale nahii.n hote soch ke judaa honaa phir ke mil na paaye.nge kyo.n ke is zamaane me.n mojeze nahii.n hote jo bhii the gile shikave duur kar ke jaanaa thaa kam se kam bichha.Dane par dil bure nahii.n hote chaa.Nd se kahaa ham ne tum hii raat bhar jaago ham se us kii yaado.n me.n rat_jage nahii.n hote
Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakataa hai sannaaTaa hii guu.Nj rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai meraa maazii mujh se bichha.D kar kyaa jaane kis haal me.n hai merii tarah vo bhii tanhaa ho aisaa bhii ho sakataa hai saharaa saharaa kab tak mai.n Dhuu.NDhuu.N ulfat kaa ek aalam aalam aalam ik saharaa ho aisaa bhii ho sakataa hai ahl-e-tuufaa.N soch rahe hai.n saahil Duubaa jaataa hai Khud un kaa dil Duub rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
jiite rahane kii sazaa de zindagii ai zindagii ab to marane kii duaa de zindagii ai zindagii mai.n to ab uqtaa gayaa huu.N kyaa yahii hai qaayanaat bas ye aa_iinaa haTaa de zindagii ai zindagii Dhuu.NDane nikalaa thaa tujh ko aur Khud ko kho diyaa tuu hii ab meraa pataa de zindagii ai zindagii yaa mujhe ehasaas kii is qaid se kar de rihaa varnaa diivaanaa banaa de zindagii ai zindagii
jo dil ne kahii lab pe kahaa.N aa_ii hai dekho ab mahafil-e-yaaraa.N me.n bhii tanhaa_ii hai dekho phuulo.n se havaa bhii kabhii ghabaraa_ii hai dekho Guncho.n se bhii shabanam kabhii kataraa_ii hai dekho ab zauq-e-talab vajah-e-junuu.N Thair gayaa hai aur arz-e-vafaa baa_is-e-rusvaa_ii hai dekho [vajah-e-junuu.N = reason for madness] [baa_is-e-rusvaa_ii = reason for disgrace/disrepute] Gam apane hii ashko.n kaa Khariidaar huaa hai dil apanii hii haalaat kaa tamaashaa_ii hai dekho
haath meraa ai merii parachhaa_ii.n tuu hii thaam le ek muddat se mujhe to suujhataa kuchh bhii nahii.n shahar-e-shab me.n kaun-saa ghar thaa na dii jis par sadaa niind ke andhe musaafir ko milaa kuchh bhii nahii.n umr bhar umr-e-gurezaa.N se na merii ban sakii jo kare karatii rahe mai.n puchhataa kuchh bhii nahii.n [umr-e-gurezaa.N = fleeting life] vo bhii shaayad ro pa.De viiraan kaaGaz dekh kar mai.n ne us ko aaKhirii Khat me.n likhaa kuchh bhii nahii.n
phir se mausam bahaaro.n kaa aane ko hai phir se rangii.n zamaanaa badal jaayegaa ab kii bazm-e-charaaGaa.N sajaa le.nge ham ye bhii aramaa.N dil kaa nikal jaayegaa aap kar de.n jo mujh pe nigaah-e-karam merii ulfat kaa rah jaayegaa kuchh bharam yuu.N fasaanaa to meraa rahegaa yahii.n sirf unavaan us kaa badal jaayegaa phiikii phiikii sii kyuu.N shaam-e-maiKhaanaa hai lutf-e-saaqii bhii kam Khaalii paimaanaa hai apanii nazaro.n se hii kuchh pilaa diijiye rang mahafil kaa Khud hii badal jaayegaa mere miTane kaa un ko zaraa Gam nahii.n zulf bhii un kii ai dost bar_ham nahiN apane hone naa hone se hotaa hai kyaa kaam duniyaa kaa yuu.N hii to chal jaayegaa aap ne dil jo ’Zahid’ kaa to.Daa to kyaa aap ne us kii duniyaa ko chho.Daa to kyaa aap itane to aaKhir pareshaa.N na ho.n vo sambhalate sambhalate sambhal jaayegaa
tumhe.n bhuul jaa_uu.N ye hotaa nahii.n ko_ii vaqt ho dard sotaa nahii.n na ho jaao bad_naam tum is liye mai.n ro ro ke daaman bhigotaa nahii.n ye vo fasl hai jo uge Khud-ba-Khud ko_ii dard ke biij botaa nahii.n ye maanaa ke tuufaan kaa zor hai mai.n ghabaraa ke kashtii Dubotaa nahii.n
tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal log tuufaan uThaa de.nge mere saath na chal pahalehaq thaa terii chaahat ke chaman par meraa pahale haq thaa terii Khushbuu-e-badan par meraa ab meraa pyaar tere pyaar kaa haq_daar nahii.n mai.n tere gesuu-o-ruKhsaar kaa haq_daar nahii.n ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal mai.n tere pyaar se ghar apanaa basaa_uu.N kaise mai.n terii maa.Ng sitaaro.n se sajaa_uu.N kaise merii qismat me.n nahii.n pyaar kii Khushbuu shaayad mere haatho.n kii lakiiro.n me.n nahii.n tuu shaayad apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal mujh se kahatii hai.n ye Khaamosh nigaahe.n terii merii paravaaz se uu.Nchii hai.n panaahe.n terii aur Gairat-e-ehasaas pe sharmindaa huu.N ab kisii aur kii baaho.n me.n hai.n baahe.n terii ab kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N teraa mahal