The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n Dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n [uja.De=desolated, ruined; Kharaab=bad] tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n [hijaab - veil, here it means barrier] Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraaz’, jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n [maazii=past; saraab - illusion, mirage]
ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun zaKhm phuulo.n kii tarah mahake.nge par dekhegaa kaun dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaaye.nge jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai log to phal-phuul dekhe.nge shajar dekhegaa kaun [maharuum=deprived; shajar=tree] ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun [chiraaG-e-shab=night lamp] aa fasiil-e-shahar se dekhe.n Ganiim-e-shahar ko shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun [fasiil-e-shahar=city wall/boundary; Ganiim-e-shahar=city’s enemy]
ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N yaad kyaa tujh ko dilaaye.N teraa paimaa.N jaanaa.N [tajdiid=renewal; imkaa.N=possibility] [jaanaa.N=dear one/beloved; paimaa.N=promise] yuu.N hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai kis qadar jald badal jaate hai.n insaa.N jaanaa.N zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaa.N jaanaa.N [ataa=given by; basar=to live; ehasaa.N=favour] dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii dil kii kyaa baat kare.n dil to hai naadaa.N jaanaa.N [fasurdaa=sad/disappointed] avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar bepiye bhii teraa cheharaa thaa gulistaa.N jaanaa.N [avval-avval=the very first] aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahii.n rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaa.N jaanaa.N [rag=veins; miinaa=wine-holder; jaa.N=life] muddato.n se ye aalam na tavaqqo na ummiid dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaa.N jaanaa.N [muddat=awhile; tavaqqo=hope] ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa Gam-e-dauraa.N se judaa hai Gam-e-jaanaa.N jaanaa.N [Gam-e-dauraa.N=sorrows of the world] ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraa.N jaanaa.N sar-ba-zaanuu hai ko_ii sar-ba-girebaa.N jaanaa.N [sar-ba-zaanuu=forehead touching the knees] [sar-ba-girebaa.N=lost in worries] har ko_ii apanii hii aavaaz se kaa.Np uThataa hai har ko_ii apane hii saaye se hiraasaa.N jaanaa.N [hiraasaa.N=scared of] jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zindaa.N jaanaa.N [zanjiir-ba-paa=feet encased in chains; zindaa.N=prison] ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal me.n aaye aur se aur huaa dard kaa unvaa.N jaanaa.N [unvaa.N=start of chapter/title] ham ki ruuThii hu_ii rut ko bhii manaa lete the ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraa.N jaanaa.N [mausam-e-hijraa.N=season of separation] hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa jaise u.Date huye auraaq-e-pareshaa.N jaanaa.N [rezaa-rezaa=piece by piece; auraaq-e-pareshaa.N=strewn pages of a book]
ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa ab kis ke giit sunaate ho us tan-man kaa jo do-niim huaa [taqsiim=divided; do-niim=cut in two] us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadiir huaa us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir huaa [rezaa-rezaa=pieces; be-tauqiir=disrespect] us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam hu_ii us miTTii kaa jis kii hurmat mansuub uduu ke naam hu_ii [parcham=flag; hurmat=respect/honour; niilaam=auction] [mansuub=nominated/appointed; uduu=enemy] us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhii nahii.n [jang=war; vaaranaa=to offer in sacrifice] us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa us phuul kaa jo beqiimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa [ban=jungle] us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajhaa [mashriq=east; nezaa=spear; anii=spear’s point] [marham=salve/ointment; maGarib=west] un maasuumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n yaa un mazaluumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n [farozaa.N=illuminate; mazaluum=oppressed] us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro.n me.n [iffat=chastity] in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n aise bhii kahii.n dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai.n [nauhaagar=mourner; dam_saaz=supporting; jallaad=executioner (cruel)] un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n [Dhaa.Nchaa=skeleton; raqs=dance; qazzaaq=dacoit] yaa un JhuuTe iqaraaro.n kaa jo aaj talak aifaa na hue yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishaanaa hue [aifaa=to fulfill] is shaahii kaa jo dast-ba-dast aa_ii hai tumhaare hisse me.n kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n [shaahii=royal] aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye is jashn me.n bhii shaamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye [nauhaa=lamentation; kashkol=beggar’s bowl
ab naye saal kii mohalat nahii.n milane vaalii aa chuke ab to shab-o-roz azaabo.n vaale [mohalat=time; shab-o-roz=night and day; azaab=pain/misfortune] ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaa.N bolate hai.n ab kahaa.N log muhabbat ke nisaabo.n vaale [dashnaa=dagger] zindaa rahane kii tamannaa ho to ho jaate hai.n faaKhtaao.n ke bhii kirdaar uqaabo.n vaale na mere zaKhm khile hai.n na teraa rang-e-hinaa mausam aaye hii nahii.n ab ke gulaabo.n vaale
aise chup hai.n ke ye manzil bhii ka.Dii ho jaise teraa milanaa bhii judaa_ii ki gha.Dii ho jaise apane hii saaye se har gaam laraz jaataa huu.N raaste me.n ko_ii diivaar kha.Dii ho jaise manzile.n duur bhii hai.n manzile.n nazadiik bhii hai.n apane hii paao.n me.n zanjiir pa.Dii ho jaise kitane naadaan hai.n tere bhulane vaale ke tujhe yaad karane ke liye umr pa.Dii ho jaise aaj dil khol ke roye hai.n to yuu.N Khush hai ’Faraz’ chand lamho.n kii ye raahat bhii ba.Dii ho jaise
badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai kahaa.N vo qurb ke ab to ye haal hai jaise tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai magar kabhii ko_ii dekhe ko_ii pa.Dhe to sahii dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai vo saamane hai magar tishnagii nahii.n jaatii ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai [tishnagii=thirst, saraab=illusion/mirage ] ’Faraz’ sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii hame.n aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai
baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan apanaa bhii haal hai ab logo ’Faraz’ kaa saa
beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa tum bhii auro.n kii tarah mujh se judaa ho jaanaa mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa Khalq kii sang_zanii merii Khataao.n kaa silaa tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
chhe.De mai.n ne kabhii lab-o-ruKhsaar ke qisse gahe gul-o-bul_bul kii hikaayat ko nikhaaraa gahe kisii shahazaade ke afsaane sunaaye gahe kyaa duniyaa-e-paristaa.N kaa nazaaraa mai.n khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaa.N me.n har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa baraso.n yuu.N hii dil_jamii-e-aurang kii Khaatir sau phuul khilaaye kabhii sau zaKhm Khariide mai.n likhataa rahaa hijv baGaavat manshuu.n kii mai.n pa.Dhataa rahaa qasr_nashiino.n ke qasiide ubharaa bhii agar dil me.n ko_ii jazabaa-e-sar_kash is Khauf se chup thaa ke ko_ii ho.nTh na sii de lekin ye tilismaat bhii taa der na rah paaye aaKhir mai-o-miinaa-o-Daf-o-chang bhii TuutTe yuu.N dast-o-garebaa.N huaa insaan-o-Khudaaband nakhachiir to ta.Dape qafas-e-rang bhii TuuTe is kashmakash-e-zarraa-o-anjum kii fizaa me.n kash_kol to kyaa afsar-o-aurang bhii TuuTe mai.n dekh rahaa thaa mere yaaro.n ne ba.Dhakar qaatil ko pukaaraa kabhii maqtal ko sadaa dii gahe rasn-o-daar ke aaGosh me.n jhuule gahe haram-o-dair kii buniyaad hilaa dii jis aag se bhar_puur thaa maahaul kaa siinaa vo aag mere lauh-o-qalam ko bhii pilaa dii aur aaj shikastaa huaa har tauq-e-talaa_ii ab fan meraa darbaar kii jagiir nahii.n hai ab meraa hunar hai mere jamahuur kii daulat ab meraa junuu.N kaif-e-taaziir nahii.n hai ab dil pe jo guzaregii be-Tok kahuu.Ngaa ab mere qalam mai.n ko_ii zanjiir nahii.n hai