The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
phir vahii maa.Nge hue lamhe, phir vahii jaam-e-sharaab phir vahii taariik raato.n me.n Khayaal-e-maah_taab phir vahii taaro.n kii peshaanii pe rang-e-laazavaal phir vahii bhuulii hu_ii baato.n kaa dhundhalaa saa Khayaal phir vo aa.Nkhe.n bhiigii bhiigii daaman-e-shab me.n udaas phir vo ummiido.n ke madafan zindagii ke aas-paas phir vahii fardaa kii baate.n phir vahii miiThe saraab phir vahii bedaar aa.Nkhe.n phir vahii bedaar Khvaab phir vahii vaaraftagii tanhaa_ii afasaano.n kaa khel phir vahii ruKhsaar vo aaGosh vo zulf-e-siyaah phir vahii shahar-e-tamannaa phir vahii taariik raah zindagii kii bebasii uff vaqt ke taariik jaal dard bhii chhinane lagaa ummiid bhii chhinane lagii mujh se merii aarazuu-e-diid bhii chhinane lagii phir vahii taariik maazii phir vahii bekaif haal phir vahii besoz lamhe.n phir vahii jaam-e-sharaab phir vahii taariik raato.n me.n Khayaal-e-maah_taab [madafan=tomb; fardaa=tomorrow/future; saraab=illusion] [bedaar=sleepless; vaaraftagii=to be lost in oneself] [saragoshii=whispering; taariik=dark; bekaif=lifeless]
tum se berangii-e-hastii kaa gilaa karanaa thaa dil pe anbaar hai Khuu.Ngashtaa tamannaao.n kaa aaj TuuTe hue taaro.n kaa Khayaal aayaa hai ek melaa hai pareshaan sii ummiido.n kaa chand paz_murdaa bahaaro.n kaa Khayaal aayaa hai paa.Nv thak thak ke rah jaate hai.n maayuusii me.n pur_mahan raah_guzaaro.n kaa Khayaal aayaa hai saaqii-o-baadaa nahii.n jaam-o-lab-e-juu bhii nahii.n tum se kahanaa thaa ki ab aa.Nkh me.n aa.Nsuu bhii nahii.n [Khuu.Ngashtaa=dripping with blood; paz_murdaa=wilted] [pur_mahan=full of sorrow; lab-e-juu=river side]
dabii hu_ii hai mere labo.n me.n kahii.n pe vo aah bhii jo ab tak na sholaa ban ke bha.Dak sakii hai na ashk-e-besuud ban ke nikalii ghuTii hu_ii hai nafas kii had me.n jalaa diyaa jo jalaa sakii hai na shamaa ban kar pighal sakii hai na aaj tak duud ban ke nikalii diyaa hai beshak merii nazar ko vo paratau jo dard baKhshe na mujh par Gaalib hii aa sakii hai na meraa masjuud ban ke nikalii [ask-e-besuud =worthless tears; duud=smoke; paratau=image] [Gaalib=victorious; masjuud=prayer]
dayaar-e-Gair me.n ko_ii jahaa.n na apanaa ho shadiid karb kii gha.Diyaa.N guzaar chukane par kuchh ittefaaq ho aisaa ki ek shaam kahii.n kisii ek aisii jagah se ho yuu.N hii meraa guzar jahaa.N hujuum-e-gurezaa.N me.n tum nazar aa jaao aur ek ek ko hairat se dekhataa rahe [karb=sorrow; hujuum-e-gurezaa.N=running crowd]
tumhaare lahaje me.n jo garmii-o-halaavat hai ise bhalaa saa ko_ii naam do vafaa kii jagah ganiim-e-nuur kaa hamalaa kaho a.Ndhero.n par dayaar-e-dard me.n aamad kaho masiihaa kii ravaa.N-davaa.N hue Khushbuu ke qaafile har suu Khalaa-e-subah me.n guu.Njii sahar kii shahanaa_ii ye ek koharaa saa ye dhu.Ndh sii jo chhaa_ii hai is iltahaab me.n surmagii.n ujaale me.n sivaa tumhaare mujhe kuchh nazar nahii.n aataa hayaat naam hai yaado.n kaa talKh aur shiirii.n bhalaa kisii ne kabhii rang-o-buu ko paka.Daa hai shafaq ko qaid me.n rakhaa sabaa ko band kiyaa har ek lamahaa gurezaa.N hai jaise dushman hai na tum milogii na main ham bhii dono.n lamhe hai.n vo lamhe.n jaake jo vaapas kabhii nahii.n aate [halaavat=sweetness; ganiim=enemy; aamad=arrival] [ravaa.N-davaa.N=scattered/spread] [Khalaa-e-subah=morning silence] [iltahaab=stupor; surmagiin=surmaa_ii = kohl lined] [talKh=bitter; shiirii.n=sweet; shafaq=twilight/night] [gurezaa.N=fleeing/fleeting]
shaam hotii hai sahar hotii hai ye vaqt-e-ravaa.N jo kabhii mere sar pe sang-garaa.N ban ke giraa raah me.n aayaa kabhii merii himaalaa ban kar jo kabhii ukdaa banaa aisaa ki hal hii na huaa ashk ban kar merii aa.Nkho.n se kabhii Tapakaa hai jo kabhii Khuun-e-jigar ban ke mizshGaa.N par aayaa aaj bevaastaa yuu.N guzaraa chalaa jaataa hai jaise mai.n kashmakash-e-ziist me.n shaamil hii nahii.n [vaqt-e-ravaa.N=passing time; sang-garaa.N=heavy stone] [himaalaa=Himalayas; ukdaa=problem; mizshGaa.N = eyelash] [bevaastaa=without any relationship]
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham aatii nahii.n kahii.n se dil-e-zindaa kii sadaa suune pa.De hai.n kuuchaa-o-baazaar ishq ke hai shama-e-anjuman kaa nayaa husn-e-jaa.N gudaaz shaayad nahii.n rahe vo patango.n ke val_vale taazaa na rakh sakegii rivaayaat-e-dasht-o-dar vo fitnaasar gaye jinhe.n kaa.NTe.n aziiz the ab kuchh nahii.n to niind se aa.Nkhe.n jalaaye.N ham aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham sochaa na thaa ki aayegaa ye din bhii phir kabhii ik baar ham mile hai.n zaraa muskuraa to le.n kyaa jaane ab na ulfat-e-deriinaa yaad aaye is husn-e-iKhtiyaar pe aa.Nkhe.n jhukaa to le.n barasaa labo.n se phuul terii umr ho daraaz sanbhale hue to hai.n. par zaraa Dagamagaa to le.n [jashn-e-marg-e-muhabbat=celebration of the death of love] [gudaaz=melted; val_vale=enthusiasm; fitnaasar=mad] [ulfat-e-deriinaa=old love]