The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
us kii hasarat hai jise dil se miTaa bhii na sakuu.N Dhuu.NDhane us ko chalaa huu.N jise paa bhii na sakuu.N [hasarat=desire ] Daal kar Khaak mere Khuun pe qaatil ne kahaa kuchh yeh mehandii nahii.n merii ke miTaa bhii na sakuu.N zabt kam_baKht ne aur aa ke galaa gho.NTaa hai ke use haal sunaa_uu.N to sunaa bhii na sakuu.N [zabt=forbearance] us ke pahaluu me.n jo lejaa ke sulaa duu.N dil ko niind aisii use aaye ke jagaa bhii na sakuu.N [pahaluu=lap ] naqsh-e-paa dekh to luu.N laakh karuu.Ngaa sajade sar meraa arsh nahii.n hai ki jhukaa bhii na sakuu.N bevafaa likhate hai.n vo apanii kalam se mujh ko ye vo qismat kaa likhaa hai jo miTaa bhii na sakuu.N is tarah soye hai.n sar rakh ke mere zaano.n par apanii so_ii hu_ii qismat ko jagaa bhii na sakuu.N
tund mai aur aise kam_sin ke liye saaqiyaa halkii sii laa in ke liye mujh se ruKhsat ho meraa ahad-e-shabaab yaa Khudaa rakhanaa naa us din ke liye hai javaanii Khud javaanii kaa singaar saadagii gahanaa hai is sin ke liye sab hasii.n hai.n zaahido.n ko naapasand ab ko_ii huur aayegii in ke liye vasl kaa din aur itanaa muKhtasar din gine jaate the is din ke liye saarii duniyaa ke hai.n vo mere sivaa mai.n ne duniyaa chho.D dii jin ke liye laash par ibarat ye kahatii hai ’Ameer’ aaye the duniyaa me.n is din ke liye
sarakatii jaaye hai ruKh se naqaab aahistaa-aahistaa nikalataa aa rahaa hai aaftaab aahistaa-aahistaa javaa.N hone lage jab vo to ham se kar liyaa pardaa hayaa yak_laKht aa_ii aur shabaab aahistaa-aahistaa shab-e-furkat kaa jaagaa huu.N farishto.n ab to sone do kabhii fursat me.n kar lenaa hisaab aahistaa-aahistaa savaal-e-vasl par un ko uduu kaa Khauf hai itanaa dabe ho.nTho.n se dete hai.n javaab aahistaa aahistaa hamaare aur tumhaare pyar me.n bas farq hai itanaa idhar to jaldii jaldii hai udhar aahistaa aahistaa vo bedardii se sar kaaTe ’Ameer’ aur mai.n kahuu.N un se huzuur aahistaa-aahistaa janaab aahistaa-aahistaa
kah rahii hai hashr me.n vo aa.Nkh sharmaa_ii hu_ii haaye kaise is bharii mahafil me.n rusvaa_ii hu_ii aa_iine me.n har adaa ko dekh kar kahate hai.n vo aaj dekhaa chaahiye kis kis kii hai aa_ii hu_ii kah to ai gul_chii.n asiiraan-e-qafas ke vaaste to.D luu.N do chaar kaliyaa.N mai.n bhii murjhaa_ii hu_ii mai.n to raaz-e-dil chhupaa_uu.N par chhipaa rahane bhii de jaan kii dushman ye zaalim aa.Nkh lalchaa_ii hu_ii Gamzaa-o-naaz-o-adaa sab me.n hai hayaa kaa lagaao haaye re bachapan kii shoKhii bhii hai sharmaa_ii hu_ii vasl me.n Khaalii hu_ii raqiibo.n se mahafil to kyaa sharm bhii jaaye to jaanuu.N ke tanhaa_ii hu_ii gard u.Dii aashiq kii turbat se to jhunjhalaa ke kahaa vaah sar cha.Dhane lagii paa.Nv kii Thukaraa_ii hu_ii
jhonkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa naazuk bahut hai phuul charaaG-e-mazaar kaa phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa phir uTh kha.Daa huaa vahii rog intazaar kaa shaaKho.n se barg-e-gul nahii.n jha.Date hai.n baaG me.n zevar utaar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa har gul se laalaazaar me.n ye puuchhataa huu.N mai.n tuu hii pataa bataade dil-e-daaG_daar kaa is pyaar se fishaar diyaa gor-e-tang ne yaad aa gayaa mazaa mujhe aaGosh-e-yaar kaa hilatii nahii.n havaa se chaman me.n ye Daaliyaa.N muu.Nh chuumate hai.n phuul uruus-e-bahaar kaa uThataa hai naazaa me.n vo sarahaane se ai ’Ameer’ miTataa hai aasaraa dil-e-ummiid_vaar kaa
jab se bul-bul tuu ne do tinake liye TuuTatii hai bijaliyaa.N in ke liye hai javaanii Khud javaanii kaa sinGaar saadagii gahanaa hai us sinn ke liye [sinGaar = adornment; saadagii = simplicity] [gahanaa = jewel; sinn = age/period of life] kaun viiraane me.n dekhegaa bahaar phuul jangal me.n khile kin ke liye saarii duniya ke hain vo mere sivaa mai.n ne duniyaa chho.D dii jin ke liye baaGabaa.N kaliyaa.N ho.n halke rang kii bhejanii hai.n ek kamasin ke liye [baaGabaa.N = gardener; kamasin = of tender years] sab hasii.n hai.n zaahido.n ko naapasand ab ko_ii huur aayegii in ke liye
ishq me.n jaa.N se guzarate hai.n guzarane vaale maut kii raah nahii.n dekhate marane vaale aaKhirii vaqt bhii puuraa na kiyaa vaadaa-e-vasl aap aate hii rahe mar gaye marane vaale [vaadaa-e-vasl=promise to meet] uThe aur kuuchaa-e-mahabuub me.n pahu.Nche aashiq ye musaafir nahii.n raaste me.n Thaharane vaale [kuuchaa-e-mahabuub=the street where one’s beloved stays] jaan dene kaa kahaa mai.n ne to ha.Ns kar bole tum salaamat raho har roz ke marane vaale aasmaa.N pe jo sitaare nazar aaye ’Ameer’ yaad aaye mujhe daaG apane ubharane vaale
ha.Ns ke faramaate hai.n vo dekh kar haalat merii kyo.n tum aasaa.N samajhate the muhabbat merii baad marane ke bhii chho.Dii na rafaaqat merii merii turbat se lagii baiThii hai hasarat merii mai.n ne aaGosh-e-tasavvur me.n bhii khe.nchaa to kahaa pis ga_ii pis ga_ii bedard nazaakat merii aa_iinaa subah-e-shab-e-vasl jo dekhaa to kahaa dekh zaalim ye thii shaam ko suurat merii yaar pahaluu me.n hai tanhaa_ii hai kah do nikale aaj kyo.n dil me.n chhupii baiThii hai hasarat merii husn aur ishq ham_aaGosh nazar aa jaate terii tasviir me.n khi.nch jaatii jo hairat merii kis DhiTaa_ii se vo dil chhiin ke kahate hai.n ’Ameer’ vo meraa ghar hai rahe jis me.n muhabbat merii
bandaa navaaziyo.n pe Khudaa-e-kariim thaa karataa na mai.n gunaah to gunaah-e-aziim thaa baate.n bhii kii Khudaa ne dikhaayaa jamaal bhii vallaah kyaa nasiib janaab-e-kaliim thaa duniyaa kaa haal ahal-e-adam hai ye muKhtasar ik do qadam kaa kuuchaa-e-ummid-o-biim thaa karataa mai.n dard_mand tabiibo.n se kyaa rajuu jis ne diyaa thaa dard ba.Daa vo hakiim thaa samaa.N-e-ufv kyaa mai.n kahuu.N muKhtasar hai ye bandaa gunaah_gaar thaa Khaaliq kariim thaa jis din se mai.n chaman me.n huaa Khvaah-e-gul ’Ameer’ naam-e-sabaa kahii.n na nishaan-e-nasiim thaa
achchhe isaa ho mariizo.n kaa Khayaal achchhaa hai ham mare jaate hai.n tum kahate ho haal achchhaa hai tujh se maa.Nguu.N mai.n tujhii ko ki sab kuchh mil jaaye sau savaalo.n se yahii ek savaal achchhaa hai dekh le bul_bul-o-paravaanaa kii betaabii ko hijr achchhaa na hasiino.n kaa visaal achchhaa hai aa gayaa us kaa tasavvur to pukaaraa ye shauq dil me.n jam jaaye ilaahii ye Khayaal achchhaa hai