The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
zamaanaa yaad teraa ai dil-e-naakaam aataa hai Tapak pa.Date hai.n aa.Nsuu jab vafaa kaa naam aataa hai [naakaam=failed/unsuccessful] vafaa tum se kare.nge dukh sahe.nge naaz uThaaye.nge jise aataa hai dil denaa use har kaam aataa hai akele karavaTe.n hai.n raat bhar bistar pe aur ham hai.n kahaa.N pahaluu ko Khaalii dekh kar aaraam aataa hai hasiino.n me.n basar kar dii javaanii ’Arzoo’ ham ne lagaanaa dil kaa siikhe hai.n yahii ik kaam aataa hai
kis ne bhiige hue baalo.n se ye jhaTakaa paanii jhuum ke aa_ii ghaTaa TuuT ke barasaa paanii ro liyaa phuuT ke siine me.n jalan ab kyo.n hai aag pighalaa ke nikalaa hai ye jalataa paanii ko_ii matavaalii ghaTa thii ke javaanii kii umang jo bahaa le gayaa barasaat kaa pahalaa paanii Tik-Tikii baa.Ndhe vo phirate hai.n mai.n is fikr me.n huu.N kahii.n khaane lage chakkar na ye geharaa paanii baat karane me.n vo un aa.Nkho.n se amrit Tapakaa ’Arzoo’ dekhate hii muu.Nh me.n bhar aayaa paanii
avval-e-shab vo bazm kii raunaq shamaa bhii thii paravaanaa bhii raat ke aaKhir hote hote Khatm thaa ye afasaanaa bhii qaid ko to.D ke nikalaa jab mai.n uThake baguule saath hue dasht-e-adam tak jangal jangal bhaag chalaa viiraanaa bhii haath se kis ne saaGar paTakaa mausam kii bekaifii par itanaa barasaa TuuT ke baadal Duub chalaa maiKhaanaa bhii Khuun hii kii shirkat vo kyo.n na ho shirkat chiiz hai jhaga.De kii apano.n se vo dekh rahaa huu.N jo na kare begaanaa bhii ek lagii ke do hai.n asar aur dono.n hasb-e-maraatib hai.n lau jo lagaaye shammaa kha.Dii hai raqs me.n hai paravaanaa bhii