The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
sochaaa nahii.n achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahii.n
maa.ngaa khudaa se raat din tere sivaa kuchh bhii nahii.n
dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe puujaa tujhe
merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuchh bhii nahii.n
jis par hamaarii aa.Nkh ne motii bichhaaye raat bhar
bhejaa wahii kaaGaz use hamane likhaa kuchh bhii nahii.n
ik shaam kii dahaliiz par baiThe rahe wo der tak
aa.Nkho.n se kii baate.n bahut muu.Nh se kahaa kuchh bhii nahii.n
do chaar din kii baat hai dil Khaak me.n so jaayegaa
jab aag par kaaGaz rakhaa baakii bachaa kuchh bhii nahii.n
ahasaas kii Khushbuu kahaa.N, aavaaz ke juganuu kahaa.N
Khaamosh yaado.n ke sivaa, ghar me.n rahaa kuchh bhii nahii.n
siyaahiyo.n ke bane harf harf dhote hai.n ye log raat me.n kaaGaz kahaa.N bhigote hai.n [siyaahii = ink; harf = words (letters of the alpahabet)] kisii kii shah me.n dahaliiz par diyaa na rakho kivaa.D suukhii hu_ii laka.Diyo.n ke hote hai.n [dahaliiz = threshold; kivaa.D = door; laka.Dii = wood] charaaG paanii me.n maujo.n se puuchhate ho.nge vo kaun log hai.n jo kashtiyaa.N Dubote hai.n [charaaG = lamp; mauj = wave; kashtii = boat] qadiim qasbo.n me.n kyaa sukuun hotaa hai thake thakaaye hamaare buzurg sote hai.n [qadiim = old; sukuun = peace; buzurg = elders] chamakatii hai kahii.n sadiyo.n me.n aa.Nsuo.n kii zamii.n Gazal ke sher kahaa.N roz roz hote hai.n
sisakate aab me.n kis kii sadaa hai
ko_ii dariyaa kii tah me.n ro rahaa hai
savere merii in aa.Nkho.n ne dekhaa
Khudaa charo taraf bikharaa huaa hai
sameTo aur siine me.n chhupaalo
ye sannaaTaa bahut phailaa huaa hai
pak gehuu,N kii Khushbuu chiikhatii hai
badan apanaa suneharaa ho chalaa hai
haqiiqat surKh machhalii jaanatii hai
samandar kaisaa buu.Dhaa devataa hai
hamaarii shaaKh kaa nau-Khez pattaa
havaa ke ho.nTh aksar chuumataa hai
mujhe un niilii aa.Nkho.n ne bataayaa
tumhaaraa naam paanii par likhaa hai
shabanam ke aa.Nsuu phuul par ye to vahii qissaa huaa
aa.Nkhe.n merii bhiigii hu_ii.n cheharaa teraa utaraa huaa
[shabanam=dew; qissaa=incident/happening]
ab in dino.n merii Gazal Khushbuu kii ik tasviir hai
har lafz gu.nche kii tarah khil kar teraa cheharaa huaa
[lafz=word]
ma.ndir gaye masjid gaye piiro.n fakiiro.n se mile
ik us ko paane ke liye kya kyaa kiyaa kyaa kyaa huaa
shaayad ise bhii le gaye achchhe dino.n ke qaafile
is baaG me.n ik phuul thaa terii tarah ha.Nsataa huaa
[qaafilaa=caravan]
anmol motii pyaar ke, duniyaa churaa ke le ga_ii
dil kii havelii kaa ko_ii daravaazaa thaa TuuTaa huaa
sau Khuluus baato.n me.n sab karam Khayaalo.n me.n
bas zaraa vafaa kam hai tere shahar vaalo.n me.n
[Khuluus=sweetness]
pahalii baar nazaro.n ne chaa.Nd bolate dekhaa
ham javaab kyaa dete kho gaye savaalo.n me.n
raat terii yaado.n ne dil ko is tarah chhe.Daa
jaise ko-ii chuTakii le narm narm gaalo.n me.n
merii aa.Nkh ke taare ab na dekh paaoge
raat ke musaafir the kho gaye ujaalo.n me.n
sar se chaadar badan se qabaa le ga_ii
zindagii ham faqiiro.n se kyaa le ga_ii
merii muTThii me.n suukhe huye phuul hai.n
Khushbuuo.n ko u.Daakar havaa le ga_ii
mai.n samu.ndar ke siine me.n chaTTaan thaa
raat ek mauj aa_ii bahaa le ga_ii
ham jo kaaGaz the ashko.n se bhiige huye
kyo.n chiraaGo.n kii lau tak havaa le ga_ii
chaa.Nd ne raat mujhako jagaa kar kahaa
ek la.Dakii tumhaaraa pataa le ga_ii
merii shoharat siyaasat se mahafuus hai
ye tavaayaf bhii ismat bachaa le ga_ii
sar pe saayaa saa dast-e-duaa yaad hai
apane aa.Ngan me.n ik pe.D thaa yaad hai
[dast=hand; duaa=prayer]
jis me.n apanii pari.ndo.n se tashbiih thii
tum ko skuul kii vo duaa yaad hai
[pari.ndaa=bird; tashbiih=comparison; skuul=school]
aisaa lagataa hai har imtahaa.N ke liye
zindagii ko hamaaraa pataa yaad hai
[imtahaa.N=test; pataa=address]
maikade me.n azaa.N sun ke royaa bahut
is sharaabii ko dil se Khudaa yaad hai
[azaa.N=call for prayer]
mai.n puraanii havelii ka pardaa mujhe
kuchh kahaa yaad hai kuchh sunaa yaad hai
sar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa
itanaa mat chaaho use wo be-wafaa ho jaayegaa
ham bhii dariyaa hai.n hame.n apanaa hunar maaluum hai
jis taraf bhii chal pa.De.nge raastaa ho jaayegaa
kitanii sachchaa_ii se mujhase zindagii ne kah diyaa
tuu nahii.n meraa to ko_ii duusaraa ho jaayegaa
main Khudaa kaa naam le kar pii rahaa huu.N dosto.n
zahar bhii is me agar hogaa davaa ho jaayegaa
ruuTh jaanaa to mohabbat kii alaamat hai magar
kyaa Khabar thii mujh se wo itanaa Khafaa ho jaayegaa
patthar ke jigar vaalo.n Gam me.n vo ravaanii hai
Khud raah banaa legaa bahataa huaa paanii hai
phuulo.n me.n Gazal rakhanaa ye raat kii raanii hai
is me.n terii zulfo.n kii be-rabt kahaanii hai
[berabt=incongruous/not connected]
ek zahan-e-parenshaa.N me.n vo phuul saa cheharaa hai
patthar kii hifaazat me.n shiishe kii javaanii hai
[zahan=mind; pareshaa.N=troubled; hifaazat=protection]
kyo.n chaa.Ndanii raato.n me.n dariyaa pe nahaate ho
soye hue paanii me.n kyaa aag lagaanii hai
is hausalaa-e-dil par ham ne bhii kafan pahanaa
ha.Ns kar koii puuchhegaa kyaa jaan gavaanii hai
[hausalaa=courage; kafan=shroud; gavaanaa=to lose]
rone kaa asar dil par rah rah ke badalataa hai
aa.Nsuu kabhii shiishaa hai aa.Nsuu kabhii paanii hai
ye shabanamii lahajaa hai aahistaa Gazal pa.Dhanaa
titalii kii kahaanii hai phuulo.n kii zabaanii hai
na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii
ba.Dii aarazuu thii mulaaqaat kii
ka_ii saal se kuchh Khabar hii nahii.n
kahaa.N din guzaaraa kahaa.N raat kii
ujaalo.n kii pariyaa.N nahaane lagii.n
nadii gunagunaa_ii Khayaalaat kii
mai.n chup thaa to chalatii havaa ruk ga_ii
zubaa.N sab samajhate hai.n jazbaat kii
sitaaro.n ko shaayad Kahbar hii nahii.n
musaafir ne jaane kahaa.N raat kii
muqaddar mere chashm-e-pura’ab kaa
barasatii hu_ii raat barasaat kii