The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
muskuraatii hu_ii dhanak hai vahii
us badan me.n chamak damak hai vahii
phuul kumhalaa gaye ujaalo.n ke
saa.Nvalii shaam me.n namak hai vahii
ab bhii cheharaa charaaG lagataa hai
bujh gayaa hai magar chamak hai vahii
ko_ii shiishaa zaruur TuuTaa hai
gunagunaatii hu_ii khanak hai vahii
pyaar kis kaa milaa hai miTTii me.n
is chamelii tale mahak hai vahii
musaafir ke raste badalate rahe
muqaddar me.n chalanaa thaa chalate rahe
ko_ii phuul saa haath kaa.Ndhe pe thaa
mere paa.Nv sholo.n pe chalate rahe
mere raaste me.n ujaalaa rahaa
diye us kii aa.Nkho.n ke jalate rahe
vo kyaa thaa jise hamane Thukaraa diyaa
magar umr bhar haath malate rahe
muhabbat adaavat vafaa beruKhii
kiraaye ke ghar the badalate rahe
sunaa hai u.nhe.n bhii havaa lag ga_ii
havaao.n ke jo ruKh badalate rahe
lipaT ke charaaGo.n se vo so gaye
jo phuulo.n pe karavaT badalate rahe
mujhase bichha.D ke Khush rahate ho
merii tarah tum bhii jhuuThe ho
ik Tahanii par chaa.Nd Tikaa thaa
mai.n ye samajhaa tum baiThe ho
[Tahanii=branch]
ujale ujale phuul khile the
bilkul jaise tum ha.Nste ho
mujh ko shaam bataa detii hai
tum kaise kapa.De pahane ho
tum tanahaa duniyaa se la.Doge
bachcho.n sii baate.n karate ho
muhabbato.n me.n dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahii.n milataa to haath bhii na milaa
gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohade the
bahut talaash kiyaa koii aadamii na milaa
tamaam rishto.n ko mai.n ghar pe chho.D aayaa thaa
phir isake baad mujhe koii ajanabii na milaa
bahut ajiib hai ye qurbato.n kii duurii bhii
vo mere saath rahaa aur mujhe kabhii na milaa
Khudaa kii itanii ba.Dii qaayanaat me.n mai.n ne
bas ek ShaKhs ko maa.Ngaa mujhe vo hii na milaa
mom kii zindagii ghulaa karanaa
kuchh kisii se na tazakaraa karanaa
meraa bachapan thaa aa_iine jaisaa
har khilaunaa kaa muu.N takaa karanaa
cheharaa cheharaa merii kitaabe.n hai.n
pa.Dhane vaalo mujhe pa.Dhaa karanaa
ye rivaayat bahut puraanii hai
nii.nd me.n ret par chalaa karanaa
raaste me.n ka_ii khaNDar ho.nge
shah-savaaro vahaa.N rukaa karanaa
jab bahut ha.Ns chuko to chehare ko
aa.Nsuo.n se bhii dho liyaa karanaa
phuul shaaKho.n ke ho.n ki aa.Nkho.n ke
raaste raaste chunaa karanaa
mere saath tum bhii duaa karo yuu.N kisii ke haq me.n buraa na ho
kahii.n aur ho na ye haadasaa ko_ii raaste me.n judaa na ho
mere ghar se raat kii sej tak vo ik aa.Nsuu kii lakiir hai
zaraa ba.D ke chaa.Nd se puuchhanaa vo isii taraf se gayaa na ho
NOTE: Some books have the first misra of the above sher as:
merii chhat se raat kii subah tak ko_ii aa.Nsuuo.n kii lakiir hai
sar-e-shaam Thaharii hu_ii zamii.n, aasamaa.N hai jhukaa huaa
isii mo.D par mere vaaste vo charaaG le kar kha.Daa na ho
vo farishte aap hii Dhuu.NDhiye kahaaniyo.n kii kitaab me.n
jo buraa kahe.n na buraa sune ko_ii shaKhs un se Khafaa na ho
vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaaG ban ke jalaa na ho
mujhe yuu.N lagaa ki Khaamosh Khushbuu ke ho.Nth titalii ne chhuu liye
i.nhii.n zard patto.n kii oT me.n ko_ii phuul soyaa huaa na ho
isii ehatiyaat me.n mai.n rahaa, isii ehatiyaat me.n vo rahaa
vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho
mil bhii jaate hai.n to kataraa ke nikal jaate hai.n
haaye mausam kii tarah dost badal jaate hai.n
ham abhii tak hai.n giraftaar-e-muhabbat yaaro
Thokare.n khaa ke sunaa thaa ki sambhal jaate hai.n
ye kabhii apanii jafaa par na huaa sharmindaa
ham samajhate rahe patthar bhii pighal jaate hai.n
umr bhar jin kii vafaao.n pe bharosaa kiije
vaqt pa.Dane pe vahii log badal jaate hai.n
mai.n bhii shaayad buraa nahii.n hotaa
vo agar bevafaa nahii.n hotaa
bevafaa bevafaa nahii.n hotaa
Khatm ye faasalaa nahii.n hotaa
kuchh to majabuuriyaa.N rahii ho.ngii
yuu.N ko_ii bevafaa nahii.n hotaa
jii bahut chaahataa hai sach bole.n
kyaa kare.n hausalaa nahii.n hotaa
raat kaa i.ntazaar kaun kare
aaj-kal din me.n kyaa nahii.n hotaa
guftaguu un se roz hotii hai
muddato.n saamanaa nahii.n hotaa
maan mausam kaa kahaa, chhaa_ii ghaTaa, jaam uThaa
aag se aag bujhaa, phuul khilaa, jaam uThaa
pii mere yaar tujhe apanii qasam detaa huu.N
bhuul jaa shikavaa-gilaa, haath milaa, jaam uThaa
haath me.n jaam jahaa.N aayaa muqaddar chamakaa
sab badal jaayegaa qismat kaa likhaa jaam uThaa
ek pal bhii kabhii ho jaataa hai sadiyo.n jaisaa
der kyaa karanaa yahaa.N, haath ba.Daa, jaam uThaa
pyaar hii pyaar hai sab log baraabar hai.n yahaa.N
maikade me.n ko_ii chhoTaa na ba.Daa, jaam uThaa
log TuuT jaate hai.n ek ghar banaane me.n
tum taras nahii.n khaate bastiyaa.N jalaane me.n
aur jaam TuuTe.nge is sharaab-Khaane me.n
mausamo.n ke aane me.n mausamo.n ke jaane me.n
har dha.Dakate patthar ko log dil samajhate hai.n
umr biit jaatii hai dil ko dil banaane me.n
faaKhtaa kii majabuurii ye bhii kah nahii.n sakatii
kaun saa.Np rakhataa hai usake aashiyaane me.n
duusarii ko_ii la.Dakii zindagii me.n aayegii
kitanii der lagatii hai usako bhuul jaane me.n