The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
bhiigii hu_ii aa.Nkho.n kaa ye ma.nzar na milegaa
ghar chho.D ke mat jaao kahii.n ghar na milegaa
phir yaad bahur aayegii zulfo.n kii ghanii shaam
jab dhuup me.n saayaa ko_ii sar par na milegaa
aa.Nsuu ko kabhii os kaa qataraa na samajhanaa
aisaa tumhe.n chaahat kaa samu.ndar na milegaa
is Khvaab ke maahaul me.n be-Khvaab hai.n aa.Nkhe.n
baazaar me.n aisaa ko_ii zevar na milegaa
ye soch lo ab aaKhirii saayaa hai muhabbat
is dar se uthoge to ko_ii dar na milegaa
aisaa lagataa hai zindagii tum ho
ajanabii jaise ajanabii tum ho
ab ko_ii aarazuu nahii.n baakii
justajuu merii aaKhirii tum ho
mai.n zamii.n par ghanaa a.Ndheraa huu.N
aasamaano.n kii chaa.Ndanii tum ho
dosto.n se vafaa kii ummiide.n
kis zamaane ke aadamii tum ho
ai husn-e-be-paravaah tujhe shabnam kahuu.N sholaa kahuu.N
phuulo.n me.n bhii shoKhii to hai kisako magar tujh saa kahuu.N
gesuu u.De mahakii fizaa jaduu kare.n aa.Nkhe terii
soyaa huaa ma.nzar kahuu.N yaa.N jaagataa sapanaa kahuu.N
cha.ndaa kii tuu hai chaa.Ndanii laharo.n kii tuu hai raaginii
jaan-e-tamannaa mai.n tujhe kyaa kyaa kahuu.N kyaa na kahuu.N
abhii is taraf na nigaah kar mai.n Gazal ke palke.n sa.Nvaar luu.N
meraa lafz lafz ho aa_iinaa tujhe aa_iine me.n utaar luu.N
mai.n tamaam din kaa thakaa huaa tuu tamaam shab kaa jagaa huaa
zaraa Thahar jaa isii mo.D par tere saath shaam guzaar luu.N
agar aasamaa.N kii numaa_isho.n me.n mujhe bhii izn-e-qayaam ho
to mai.n motiyo.n kii dukaan se terii baaliyaa.N tere haar luu.N
[izn-e-qaayam=command to stop]
ka_ii ajanabii terii raah ke mere paas se yuu.N guzar gaye
ji.nhe.N dekh kar ye ta.Dap hu_ii teraa naam leke pukaar luu.
ab kise chaahe.n kise Dhuu.NDhaa kare.n
vo bhii aaKhir mil gayaa ab kyaa kare.n
halkii halkii baarishe.n hotii rahe.n
ham bhii phuulo.n kii tarah bhiigaa kare.n
aa.Nkh muu.Nde us gulaabii dhuup me.n
der tak baiThe use sochaa kare.n
dil muhabbat diin duniyaa shaayarii
har dariiche se tujhe dekhaa kare.n
ghar nayaa kapa.De naye bartan naye
in puraane kaaGazo.n kaa kyaa kare.n
aas hogii na aasaraa hogaa
aane vaale dino.n me.n kyaa hogaa
mai.n tujhe bhuul jaauu.Ngaa ik din
vaqt sab kuchh badal chukaa hogaa
naam ham ne likhaa thaa aa.Nkho.n me.n
aa.nsuuo.n ne miTaa diyaa hogaa
aasamaa.N bhar gayaa pari.ndo.n se
pe.D ko_ii haraa giraa hogaa
kitanaa dushvaar thaa safar us kaa
vo sar-e-shaam so gayaa hogaa
aa.Nsuuo.n kii jahaa.N paayamaalii rahii
aisii bastii charaaGo.n se Khaalii rahii
dushmano.n kii tarah us se la.Date rahe
apanii chaahat bhii kitanii niraalii rahii
jab kabhii bhii tumhaaraa Khayaal aa gayaa
phir ka_ii roz tak beKhayaalii rahii
lab tarasate rahe ik ha.Nsii ke liye
merii kashtii musaafir se Khaalii rahii
chaa.Nd taare saabhii ham-safar the magar
zindagii raat thii raat kaalii rahii
mere siine pe Khushbuu ne sar rakh diyaa
merii baa.Nho.n me.n puulo.n kii Daalii rahii
aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai
ye baat ki suurat ke bhale dil ke bure ho.n
allaah kare jhuuTh ho bahuto.n se suunii hai
vo maathe kaa matalaa ho ki ho.nTho.n ke do misare
bachapan kii Gazal hii merii mahabuub rahii hai
Gazalo.n ne vahii.n zulfo.n ke phailaa diye saaye
jin raaho.n pe dekhaa hai bahut dhuup ka.Dii hai
ham dillii bhii ho aaye hai.n laahaur bhii ghume
ai yaar magar terii galii terii galii hai