The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
ye saaraa jism jhuk kar bojh se duharaa huaa hogaa mai.n sajde me.n nahii.n thaa aap ko dhokaa huaa hogaa [jism = body; duharaa = doubled; sajdaa = prostrated in prayer] yahaa.N tak aate aate suukh jaatii hai.n sabhii nadiyaa.N mujhe maaluum hai paanii kahaa.N Thaharaa huaa hogaa Gazab ye hai ki apanii maut kii aahaT nahii.n sunate vo sab ke sab pareshaa.N hai.n vahaa.N par kyaa huaa hogaa [Gazab = amazing/surprising] tumhaare shahar me.n ye shor sun-sun kar to lagataa hai ki insaano.n ke jangal me.n ko_ii hanaakaa huaa hogaa ka_ii faake bitaakar mar gayaa jo us ke baare me.n vo sab kahate hai.n ab aisaa nahii.n aisaa huaa hogaa [faake = hunger] yahaa.N par sirf guu.nge aur bahare log basate hai.n Khudaa jaane yahaa.N par kis tarah jalasaa huaa hogaa [jalasaa = celebration/festive gathering] chalo ab yaad_gaaro.n kii andherii koTharii khole.n kam_az_kam ek vo cheharaa to pahachaanaa huaa hogaa
kahaa.N vo tay thaa charaaGaa.N har ek ghar ke liye kahaa.N charaaG mayassar nahii.n shahar ke liye [mayassar = available] yahaa.N daraKhto.n ke saaye me.n dhuup lagatii hai chalo yahaa.N se chale aur umr bhar ke liye [daraKht = tree na ho qamiiz to ghuTano.n se peT Dhak le.nge ye log kitane munaasib hai.n is safar ke liye [munaasib = appropriate] Khudaa nahii.n na sahii aadamii kaa Khvaab sahii ko_ii hasiin nazaaraa to hai nazar ke liye vo mutama_in hai.n ki patthar pighal nahii.n sakataa mai.n beqaraar huu.N aavaaz me.n asar ke liye [mutama_in = content] jiye.n to apane baGiiche me.n gul_mohar ke liye mare.n to Gair kii galiyo.n me.n gul_mohar ke liye
ho ga_ii phir parbat-sii pighalanii chaahiye is himaalay se ko_ii gangaa nikalanii chaahiye aaj ye diivaar pardo.n kii tarah hilane lagii shart lekin thii ki buniyaad hilanii chaahiye har sa.Dak par har galii me.n har nagar har gaao.n me.n haath leharaate huye har laash chalanii chaahiye sirf hangaamaa kha.Daa karanaa meraa maqsad nahii.n merii koshish ye hai ki ye suurat badalanii chaahiye mere siine me.n nahii.n to tere siine me.n sahii ho kahii.n bhii aag lekin aag jalanii chaahiye
chaa.Ndanii chhat pe chal rahii hogii ab akelii Tahal rahii hogii phir meraa zikr aa gayaa hogaa vo barf-sii pighal rahii hogii kal kaa sapanaa bahut suhaanaa thaa ye udaasii na kal rahii hogii sochataa huu.N ki band kamare me.n ek shama-sii jal rahii hogii tere gahano.n sii khan_khanaatii thii baajare kii fasal rahii hogii jin havaao.n ne tujh ko dularaayaa un me.n merii Gazal rahii hogii