The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
itanaa tuu karam ham pe ai sayyaad kare hai par noch ke ab qaid se aazaad kare hai [karam=kindness/favour; sayyaad=hunter; par=wing] [qaid=imprisonment; aazaad=free] ai baad-e-sabaa un se ye kah diijiiyo jaa kar parades me.n ek shaKhs tujhe yaad kare hai [baad-e-sabaa=morning breeze; shaKhs=individual/person] aave hai terii yaad to ha.Ns deve hai aksar diivaanaa teraa yuu.N bhii tujhe yaad kare hai farazaanaa ujaa.De hai bhare shaharo.n ko lekin diivaanaa to saharaa ko bhii aabaad kare hai [farazaanaa=wise/intelligent; saharaa=desert/wilderness] likh likh ke miTaa deve hai tuu naam ye kis kaa sach kahiyo "Farosh" aaj kise yaad kare hai