The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
ye zard mausam ke Khushk patte havaa jinhe.n le ga_ii u.Daakar agar kabhii in ko dekh paao to soch lenaa ki in me.n har barg ke namuu me.n ziyaa.N gayaa arq shaaKh-e-gul kaa kabhii ye sar_sabz ko.npale.n the kabhii ye shaadaab bhii rahe hai.n khule huye ho.nTh kii tarah narm aur shaguftaa bahut dino.n tak ye sabz patte havaa ke relo.n me.n bebasii se ta.Dap chuke hai.n magar ab ye Khushk ho rahe hai.n magar ye ab Khushk ho chuke hai.n agar kabhii is taraf se guzaro to dekh lenaa barahanaa shaaKhe.n havaa ke dil me.n ga.Dii hu_ii hai.n ye ab tumhaare liye nahii.n hai.n
aivaan-e-adaalat me.n patharaa_ii hu_ii aa.Nkhe.n patharaaye hue chehare patharaa_ii hu_ii saa.Nse.n chama.De kii zubaano.n par patharaa_ii hu_ii baate.n [aivaan = house/palace] fariyaad kaTaghare me.n ro ro ke ta.Dapatii thii qaanuun ke rakhavaale kal le ke gaye jis ko ab us ko yahaa.N laaye.n vo naash to dikhalaaye.n [fariyaad = plea; naash = dead body] patharaaye hue chehare ek dam ko_ii dil dha.Dakaa sholaa-saa kahii.n bha.Dakaa jab tak ki ko_ii samajhe lo phuut bahe dhaare aavaaze.n mile baaham aur guu.Nj uThe naare maasuum-sii jaano.n ke betaab javaano.n ke kyaa shor lahuu kaa thaa kyaa guu.Nj thii naaro.n me.n aivaan-e-adaalat me.n patharaaye hue kamare dam rok ke sunate the jab surKh salaam aayaa maqatuul kaa naam aayaa ghuu.Nsaa-saa lagaa dil par aa.Nkho.n se lahuu phuuTaa jiite raho dil vaalo patthar to ko_ii TuuTaa