The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Firaq Gorakhpuri’ Category


ye to nahii.n ke Gam nahii.n

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Firaq Gorakhpuri
ye to nahii.n ke Gam nahii.n
haa.N merii aa.Nkh nam nahii.n 

tum bhii to tum nahii.n ho aaj
ham bhii to aaj ham nahii.n 

ab na Khushii kii hai Khushii
Gam kaa bhii ab to Gam nahii.n 

maut agarche maut hai
maut se ziist kam nahii.n 

ye nikhato.n kii narm ravii ye havaa ye raat

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Firaq Gorakhpuri
ye nikhato.n kii narm ravii ye havaa ye raat
yaad aa rahe hai.n ishq ke TuuTe ta’alluqaat 

maayuusiyo.n kii god me.n dam to.Dataa hai ishq
ab bhii ko_ii banaa le to biga.Dii nahii.n hai baat 

ik umr kaT ga_ii hai tere intazaar me.n
aise bhii hai.n ke kaT na sakii jin se ek raat 

ham ahal-e-intazaar ke aahaT pe kaan the
Tha.NDii havaa thii Gam thaa teraa Dhal chalii thii raat 

har saa_i-o-har amal me.n muhabbat kaa haath hai
taamiir-e-zi.ndagii ke samajh kuchh muharakaat 

ahal-e-razaa me.n shaan-e-baGaavat bhii ho zaraa
itanii bhii zi.ndagii na ho paaba.nd-e-rasmiyaat 

uTh ba.ndagii se maalik-e-taqadiir ban ke dekh
kyaa vasvasaa azaab kaa kyaa kaavish-e-nijaat 

mujh ko to Gam ne fursat-e-Gam bhii na dii "Firaq"
de fursat-e-hayaat na jaise Gam-e-hayaat 

ye maanaa zindagii hai chaar din kii

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Firaq Gorakhpuri
ye maanaa zindagii hai chaar din kii
bahut hote hai.n yaaro chaar din bhii 

Khudaa ko paa gayaa vaa_iz magar hai
zaruurat aadamii ko aadamii kii 

milaa huu.N muskuraa ke us se har baar
magar aa.Nkho.n me.n bhii thii kuchh namii sii thii 

muhabbat me.n kahe.n kyaa haal dil kaa
Khushii hii kaam aatii hai na Gam hii 

bharii mahafil me.n har ek se bachaakar
terii aa.Nkho.n ne mujh se baat kar lii 

la.Dakapan kii adaa hai jaan-levaa
Gazab kii chhokarii hai haath-bhar kii 

raqiib-e-Gamazadaa ab sabr kar le
kabhii us se merii bhii dostii thii 

thar_tharii sii hai aasamaano.n me.n

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Firaq Gorakhpuri
thar_tharii sii hai aasamaano.n me.n
zor kuchh to hai naatavaano.n me.n

[thar_tharii = tremors; naatavaa.N = weak]

kitanaa Khaamosh hai jahaa.N lekin
ik sadaa aa rahii hai kaano.n me.n

ko_ii soche to farq kitanaa hai
husn aur ishq ke fasaano.n me.n

[farq = difference]

maut ke bhii u.De hai.n aksar hosh
zindagii ke sharaab_Khaano.n me.n

jin kii taamiir ishq karataa hai
kaun rahataa hai un makaano.n me.n

[taamiir = construction]

inhii.n tinako.n me.n dekh ai bul_bul
bijaliyaa.N bhii hai.n aashiyaano.n me.n

sitaaro.n se ulajhataa jaa rahaa huu.N

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Firaq Gorakhpuri
sitaaro.n se ulajhataa jaa rahaa huu.N
shab-e-furqat bahut ghabaraa rahaa huu.N 

tere Gam ko bhii kuchh bahalaa rahaa huu.N
jahaa.N ko bhii samajhaa rahaa huu.N 

yaqii.n ye hai haqiiqat khul rahii hai
gumaa.N ye hai ki dhokhe khaa rahaa huu.N 

agar mumkin ho le le apanii aahaT
Khabar do husn ko mai.n aa rahaa huu.N 

hade.n husn-o-ishq kii milaakar
qayaamat par qayaamat Dhaa rahaa huu.N 

Khabar hai tujhako ai zabt-e-muhabbat
tere haatho.n me.n luTataa jaa rahaa huu.N 

asar bhii le rahaa huu.N terii chup kaa
tujhe kaayal bhii karataa jaa rahaa huu.N 

bharam tere sitam kaa khul chukaa hai
mai.n tujhase aaj kyo.n sharmaa rahaa huu.N 

tere pahaluu me.n kyo.n hotaa hai mahasuus
ki tujhase duur hotaa jaa rahaa huu.N 

jo ulajhii thii kabhii aadam ke haatho.n
vo gutthii aaj tak sulajhaa rahaa huu.N 

muhabbat ab muhabbat ho chalii hai
tujhe kuchh bhuulataa-saa jaa rahaa huu.N 

ye sannaaTaa hai mere paa.Nv kii chaap
"Firaq" apanii kuchh aahaT paa rahaa huu.N 

shaam-e-Gam kuchh us nigaah-e-naaz kii baate.n karo

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Firaq Gorakhpuri
shaam-e-Gam kuchh us nigaah-e-naaz kii baate.n karo
beKhudii ba.Dhatii chalii hai raaz kii baate.n karo 

nakhat-e-zulf-e-pareshaa.N, daastaan-e-shaam-e-Gam
subah hone tak isii a.ndaaz kii baate.n karo 

[nakhat-e-zulf-e-pareshaa.N=disarrayed fragrant hair] 

ye sukuut-e-yaas ye dil kii rago.n kaa TuuTanaa
Khaamoshii me.n kuchh shikast-e-saaz kii baate.n karo 

[sukuut=silence; yaas=disappointment]
[shikast-e-saaz=breakdown of musical instruments] 

har rag-e-dil vazd me.n aatii rahe dukhatii rahe
yuu.N hii us ke jaa-o-bejaa naaz kii baate.b karo 

[vajd=extreme happiness; jaa-o-bejaa=right and wrong] 

kuchh qafas kii tiiliyo.n se chhan rahaa hai nuur saa
kuchh fazaa kuchh hasarat-e-paravaaz ki baate.n karo 

[qafas=cage/prison; nuur=light; hasarat-e-paravaaz=desire to fly] 

jis kii furqat ne palaT dii ishq kii kaayaa "Firaq"
aaj usii isaa-nafas dam-saaz kii baate.n karo 
sar me.n saudaa bhii nahii.n dil me.n tamannaa bhii nahii.n
lekin is tark-e-mohabbat kaa bharosaa bhii nahii.n 

[saudaa=madness; tark-e-mohabbat=giving up of love] 

yuu.N to hangaame uThaate nahii.n diivaanaa-e-ishq
magar ai dost kuchh aiso.n kaa Thikaanaa bhii nahii.n 

muddate.n guzarii.n terii yaad bhii aaii na hame.n
aur ham bhuul gae ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n 

ye bhii sach hai ke mohabbat me.n nahii.n mai.n majabuur
ye bhii sach hai ke teraa husn kuchh aisaa bhii nahii.n 

dil kii gi.ntii na yagano.n me.n na begaano.n me.n
lekin is jalvaagaah-e-naaz se uThataa bhii nahii.n 

[yaganaa=kindred; begaanaa=stranger]
[jalvaagaah=place of manisfestation/gathering] 

badagumaa.N ho ke mil aaii dost jo milanaa hai tujhe
ye jhijhakte hue milanaa koi milanaa bhii nahii.n 

[badagumaa.N=without doubt/suspicion] 

shikvaa-e-jaur kare kyaa koii us shoKh se jo
saaf qaayal bhii nahii.n saaf mukartaa bhii nahii.n 

[shikvaa-e-jaur=complain about oppression; qaayal=fond (of)] 

meharbaanii ko mohabbat nahii.n kahate ai dost
aah mujhase to merii ra.njish-e-bejaa.N bhii nahii.n 

baat ye hai ki sukuun-e-dil-e-vahashii kaa maqaam
ku.nj-e-zi.ndaa.N bhii nahii.n vusa’at-e-seharaa bhi nahii.n 

[vahashii=wild/untamed; zi.ndaa.N=prison; vusa’at=expanse] 

muu.Nh se ham apane buraa to nahii.n kahate, ke ’Firaq’
hai teraa dost magar aadamii achchhaa bhii nahii.n 

sakuut-e-shaam miTaao bahut a.Ndheraa hai

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Firaq Gorakhpuri
sakuut-e-shaam miTaao bahut a.Ndheraa hai
suKhan kii shamaa jalaao bahut a.Ndheraa hai 

[sakuut=silence] 

dayaar-e-Gam me.n dil-e-beqaraar chhuuT gayaa
sambhal ke Dhuu.DHane jaao bahut a.Ndheraa hai 

ye raat vo ke suujhe jahaa.N na haath ko haath
Khayaalo duur na jaao bahut a.Ndheraa hai 

laTo.n ko chehare pe Daale vo so rahaa hai kahii.n
zayaa-e-ruKh ko churaao bahut a.Ndheraa hai 

[zayaa=radiance] 

havaaye.N niim shabii ho.n ki chaadar-e-a.njum
naq aab ruKh se uThaao bahut a.Ndheraa hai 

[niim shabii=midnight; chaadar-e-a.njum=sheet of stars] 

shab-e-siyaah me.n gum ho ga_ii hai raah-e-hayaat
qadam sambhal ke uThaao bahut a.Ndheraa hai 

guzashtaa ahd kii yaado.n ko phir karo taazaa
bujhe chiraaG jalaao nahut a.Ndheraa hai 

[gu zashtaa=past] 

thii ek uchakatii hu_ii nii.nd zi.ndagii usakii
’Firaq’ ko na jagaao bahut a.Ndheraa hai 

ras me.n Duuba huaa laharaataa badan kyaa kahanaa

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Firaq Gorakhpuri
ras me.n Duuba huaa laharaataa badan kyaa kahanaa
karavaTe.n letii hu_ii subah-e-chaman kyaa kahanaa 

baaG-e-jannat me.n ghaTaa jaise baras ke khul jaaye
so.ndhii so.ndhii terii Khushbuu-e-badan kyaa kahanaa 

jaise laharaaye ko_ii sholaa kamar kii ye lachak
sar ba-sar aatish-e-sayyaal badan kyaa kahanaa 

qaamat-e-naaz lachakatii hu_ii ik qaus-o-e-qazaah
zulf-e-shab ra.ng kaa chhayaa huaa gahan kyaa kahanaa 

jis tarah jalvaa-e-firdaus havaao.n se chhiine
pairaahan me.n tere rangiinii-e-tan kyaa kahanaa 

jalvaa-o-pardaa kaa ye ra.ng dam-e-nazzaaraa
jis tarah adh-khule ghu.NghaT me.n dulhan kyaa kahanaa 

jagamagaahaT ye jabii.n kii hai ke pau phaTatii hai
muskuraahaT hai terii subah-e-chaman kyaa kahanaa 

zulf-e-shab_guu.N kii chamak paikar-e-siime.n kii damak
diip maalaa hai sar-e-gang-o-jaman kyaa kahanaa 

raat bhii niind bhii kahaanii bhii

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Firaq Gorakhpuri
raat bhii niind bhii kahaanii bhii
haaye kyaa chiiz hai javaanii bhii 

ek paiGaam-e-zi.ndaganii bhii
aashiqii marg-e-naagahaanii bhii 

[paiGaam=message; marg-e-naagahaanii - sudden death] 

is adaa kaa terii javaab nahii.n
meharabanii bhii saragaraanii bhii 

[saragaraanii=anger] 

dil ko apane bhii Gam the duniyaa me.n
kuchh balaaye.N thii aasmaanii bhii 

ma.nsab-e-dil Khushii luTaataa hai
Gam-e-pi.nhaa.N bhii paasabaanii bhii 

[ma.nsab=stature] 

dil ko sholo.n se karatii hai sairaab
zi.ndagii aag bhii hai paanii bhii 

[sairaab=to water/irrigate] 

shaad-kaamo.n ko ye nahii.n taufiiq
dil-e-Gamagii.n kii shaadamaanii bhii 

[shaad-kaamo.n=fortunate people; taufiiq=capability]
[Gamagii.n=immersed in sorrow; shaadamaanii=joy] 

laakh husn-e-yaqii.n se ba.Dakar hai
in nigaaho.n kii badagumaanii bhii 

ta.nganaa-e-dil-e-malaal me.n hai
behr-e-hastii kii bekaraanii bhii 

[ta.nganaa-e-dil-e-malaal=within the limited space of a sad heart]
[behr-e-hastii=ocean of life; bekaraanii=unbounded/limitless] 

ishq-e-naakaam kii hai parachhaa_ii
shaadamaanii bhii kaamaraanii bhii 

[ishq-e-naakaam=failed love/unrequited love]
[shaadamaanii=happiness; kaamaraanii=success] 

dekh dil ke nigaar-Khaane me.n
zaKhm-e-pi.nhaa.N kii hai nishaanii bhii 

[nigaar-Khaanaa=studio (art)/also a place where many beautiful girls collect]
[zaKhm=wound; pi.nhaa.N=hidden/buried] 

Khalq kyaa-kyaa mujhe nahii.n kahatii
kuchh sunuu.N mai.n terii zabaanii bhii 

[Khalq=world] 

aaye taariiKh-e-ishq me.n sau baar
maut ke daur-daramiyaanii bhii 

[taariiKh-e-ishq=history of love; daur=age/era]
[darmiyaanii=in between] 

apanii maasuumiyo.n ke parde me.n
ho ga_ii vo nazar sayaanii bhii 

[maasuumiyaa.N=innocence; sayaanii=grown up] 

din ko suuraj-mukhii hai vo naugul
raat ko vo hai raat-raanii bhii 

[suuraj-mukhii=sunflower; naugul=new flower]
[raat-raanii=a flower known for its heady fragrance] 

dil-e-badanaam tere baare me.n
log kahate hai.n ik kahaanii bhii 

nazm karate ko_ii na_ii duniyaa
ki ye duniyaa hu_ii puraanii bhii 

[nazm=reconstruct/build again] 

dil ko aadaab-e-ba.ndagii bhii na aaye
kar gaye log hukmaraanii bhii 

[aadaab-e-ba.ndagii=ways of servitude] 

jaur-e-kam-kam kaa shukriyaa bas hai
aap kii itanii meharabaanii bhii 

[jaur=oppression] 

dil me.n ik huuk bhii uThe ai dost
yaad aa_ii terii javaanii bhii 

sar se paa tak sapurdagii kii adaa
ek andaaz-e-turkamaanii bhii 

[paa=feet; sapurdagii=to give in; turkamaanii=rebellious] 

paas rahanaa kisii kaa raat kii raat
mehamaanii bhii mezabaanii bhii 

[mezabaan=host] 

jo na aks-e-jabiin-e-naaz ki hai
dil me.n ik nuur-e-kahakashaanii bhii 

[aks-e-jabiin-e-naaz=image of one’s beloved’s forehead]
[nuur=light; kahakashaa.N=Milky Way] 

zindagii ain diid-e-yaar "Firaq"
zindagii hijr kii kahaanii bhii 

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments