The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Hasrat Mohani’ Category


yaad hai.n saare vo aish-e-baafaraaGat ke maze

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Hasrat Mohani
yaad hai.n saare vo aish-e-baafaraaGat ke maze
dil abhii bhulaa nahii.n aaGaaz-e-ulfat ke maze 

[aaGaaz-e-ulfat=beginning of love] 

vo saraapaa naaz thaa begaanaa-e-rasm-e-jafaa
aur mujhe haasil the lutf-e-benihaayat ke maze 

[saraapaa=from head to toe] 

husn se apane vo Gaafil thaa mai.n apane ishq se
ab kahaa.N se laauu.N vo naa-vaaqfiyat ke maze 

[naa-vaaqfiyat=ignorance] 

merii jaanib se nigaah-e-shauq kii betaabiyaa.N
yaar kii jaanib se aaGaaz-e-sharaart ke maze 

yaad hai.n vo husn-o-ulfat kii niraalii shoKhiyaa.N
iltamaas-e-uzr-o-tamahiid-e-shikaayat ke maze 

sehate.n laakho.n merii biimaarii-e-Gam par nisaar
jis me.n uThe baarahaa un kii ayaadat ke maze 

to.D kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Hasrat Mohani
to.D kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye
bandaa paravar jaayiye achchhaa Khafaa ho jaayiye 

raah me.n miliye kabhii mujh se to azaraah-e-sitam
ho.Nth apane kaaT kar fauran judaa ho jaayiye 

jii me.n aataa hai ke us shoKh-e-taGaaful kesh se
ab na miliye phir kabhii aur bevafaa ho jaayiye 

haaye re be-iKhtiyaarii ye to sab kuchh ho magar
us saraapaa naaz se kyuu.N kar Khafaa ho jaayiye 

raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Hasrat Mohani
raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dahakaa huaa hai aatish-e-gul se chaman tamaam 

hairat Guruur-e-husn se shoKhii se iztaraab
dil ne bhii tere siikh liye hai.n chalan tamaam 

allaah re husn-e-yaar kii Khuubii ke Khud-ba-Khud
ra.ngiiniyo.n me.n Duub gayaa pairahan tamaam 

dekho to husn-e-yaar kii jaaduu nigaahiyaa.N
behosh ik nazar me.n hu_ii anjuman tamaam 

phir bhii hai tumako masihaa_ii kaa daavaa dekho

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Hasrat Mohani
phir bhii hai tumako masihaa_ii kaa daavaa dekho
mujhako dekho, mere marane kii tamannaa dekho 

jurm-e-nazzaaraa pe kaun itanii Khushaamad karataa
ab vo ruuThe hai.n lo aur tamaashaa dekho 

do hii din me.n vo baat hai na vo chaah na pyaar
ham ne pahale hi ye tum se na kahaa thaa dekho 

ham na kahate the banaavaT se hai saaraa Gussaa
ha.Ns ke lo phir vo u.nho.n ne hame.n dekhaa dekho 

mastii-e-husn se apanii bhii nahii.n tum ko Khabar
kyaa suno araz merii, haal meraa kyaa dekho 

ghar se har vaqy nikal aate ho khole hue baal
shaam dekho na merii jaan saveraa dekho 

Khaanaa-e-jaa.N me.n namudaar hai ek paikar-e-nuur
hasarato aao ruKh-e-yaar kaa jalvaa dekho 

saamane sab ke munaasin nahii.n ham par ye itaab
sar se Dhal jaaye na Gusse me.n dupaTTaa dekho 

mar miTe ham to kabhii yaad bhii tum ne na kiyaa
ab muhabbat kaa na karanaa kabhii daavaa dekho 

dosto tark-e-muhabbat kii nasiihat hai fazuul
aur na maano to dil-e-zaar ko samajhaa dekho 

sar kahii.n baal kahii.n haath kahii.n paa.No kahii.n
us kaa sonaa bhii hai kis shaan kaa sonaa dekho 

ab vo shoKhii se ye kahate hai.n sitamagar jo hai.n ham
dil kisii aur se kuchh roz bahalaa dekho 

havas-e-diid miTii hai na miTegii "Hasrat"
dekhane ke liye chaaho u.nhe.n jitanaa dekho 

mastii ke phir aa gaye zamaane

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Hasrat Mohani
mastii ke phir aa gaye zamaane
aabaad hu_e sharaab Khaane

[aabaad = bustling with life]

har phuul chaman me.n zar-ba-kaf hai
baa.NTe hai.n bahaar ne Khazaane

[zar = gold; ba-kaf = hands filled with; Khazaane = treasure]

sab ha.Ns pa.De khil-khilaa ke Gunche
chhe.Daa jo latifaa sabaa ne

[Gunche = buds; latifaa = playfully; sabaa = breeze]

sar-sabz huaa nihaal-e-Gam bhii
paidaa vo asar kiyaa havaa ne

[sar-sabz = green]

rindo.n ne p??? kar pilaa dii
vaa_iz ke na chal sake bahaane

[rind = one who drinks; vaa_iz = preacher]

kar duu.Ngaa mai.n har valii ko maiKhvaar
taufiiq jo dii mujhe Khudaa ne

[valii = saint; maiKhvaar = drinker]
[taufiiq = divine guidance/help]

ham ne to nisaar kar diyaa dil
ab jaane vo shoKh yaa na jaane

[nisaar = offer]

begaanaa-e-mai kiyaa hai mujh ko
saaqii kii nigaah-e-aashnaa ne

to.D kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Hasrat Mohani
kaise chhupaauu.N raaz-e-Gam diidaa-e-tar ko kyaa karuu.N
dil kii tapish ko kyaa karuu.N soz-e-jigar ko kyaa karuu.N 

shorish-e-aashiqii kahaa.N aur merii saadagii kahaa.N
husn ko tere kyaa kahuu.N apanii nazar ko kyaa kahuu.N 

Gam kaa na dil me.n ho guzar vasl kii shab ho yuu.N basar
sab ye qubuul hai magar Khauf-e-sahar ko kyaa karuu.N 

haal meraa thaa jab butar tab na hu_ii tumhe.n Khabar
baad mere huaa asar ab mai.n asar ko kyaa karuu.N 

jazb-e-kaamil ko asar apanaa dikhaa denaa thaa

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Hasrat Mohani
jazb-e-kaamil ko asar apanaa dikhaa denaa thaa
mere pahaluu me.n u.nhe.n laa ke biThaa denaa thaa 

kuchh to denaa thaa tere taGaaful kaa javaab
yaa Khudaa ban ke tujhe dil se bhulaa denaa thaa 

tair-e-jaa.N ke sivaa kisako banaate qaasid
us sitamgar ko paiGaam-e-qazaa denaa thaa 

dard mohataaj-e-davaa ho ye sitam hai yaa rab
jab diyaa thaa to kuchh is se bhii savaa denaa thaa 

vo jo biga.De to Khafaa tum bhii hue kyo.n "Hasrat"
paa-e-nakhuvat pe sar-e-shauq jhukaa denaa thaa 

husn-e-beparavaah ko Khud_bib-o-Khudaaraa kar diyaa

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Hasrat Mohani
husn-e-beparavaah ko Khud_bib-o-Khudaaraa kar diyaa
kyaa kiyaa mai.n ne ki izahaar-e-tamannaa kar diyaa 

ba.D gayii.n tumase to milakar aur bhii betaabiyaa.N
ham ye samajhe the ki ab dil ko shakebaa kar diyaa 

pa.Dake teraa Khat mere dil kii ajab haalat huii
iztaraab-e-shauq ne ek hashr barpaa kar diyaa 

ham rahe yaa.N tak terii khidmat me.n sargarm-e-nayaaz
tujhako aaKhir aashanaa-e-naz-e-bejaa kar diyaa 

ab nahii.n dil ko kisii suurat kisii pahaluu qaraar
is nighat-e-naaz ne kyaa sahir aisaa kar diyaa 

ishq se tere ba.De kyaa kyaa dilo.n ke martabe
mahr zarro.n ko diyaa qatro.n ko dariyaa kar diyaa 

terii mahafil se uThaataa Gair mujhako kyaa majaal
dekhataa thaa mai.n ki tuune bhii ishaaraa kar diyaa 

sab Galat kahate the lutf-e-yaar ko wajah-e-sukuun
dard-e-dil is ne to ’Hasrat’ aur duunaa kar diyaa 

hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii kii mushaqqat bhii

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Hasrat Mohani
hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii kii mushaqqat bhii
ek turfaa tamaashaa hai "Hasrat" kii tabiiyat bhii 

[mashq-e-suKhan=drill of poetry; jaarii=running/in operation]
[chakkii kii mushaqqat=grinding of the mill]
[ek turfaa tamaashaa=a strange or wonderous feat/a sight to see]
tabiiyat=dispositon] 

jo chaaho sazaa de do tum aur bhii khul khelo
par ham se qasam le lo kii ho jo shikaayat bhii 

[khul kelo= take liberties; shikaayat=complain] 

Khud ishq kii gustaaKhii sab tujh ko sikhaa degii
ai husn-e-hayaa-parvar shoKhii bhii sharaat bhii 

[gustaaKhii=audacity; husn-e-hayaa-parvar=coy sweetheart]
[shoKhii=coquetry; sharaarat=mischief] 

ushaaq ke dil naazuk us shoKh kii khuu naazuk
naazuk isii nisabat se hai kaar-e-muhabbat bhii 

[ushaaq=lovers; khuu=habit; naazuk=delicate]
[nisabat=related to this/due to this; kaar-e-muhabbat=task of love] 

ai shauq kii bebaakii vo kyaa terii Khvaahish thii
jis par u.nhe.n gussaa hai i.nkaar bhii hairat bhii 

[shauq kii bebaakii=impudence of love; Khvaahish=desire]
[gussaa=anger; i.nkaar=refusal; hairat=surprise] 

hai.n ’Shad’-o-’Safi’ shaayar yaa ’Shauq’-o-’Wafa’ "Hasrat"
phir ’Danish’-o-’Mahashar’ hai.n ’Iqbal’ bhii ’Vahashat’ bhii 

dekhanaa bhii to u.nhe.n duur se dekhaa karanaa

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Hasrat Mohani
dekhanaa bhii to u.nhe.n duur se dekhaa karanaa
shevaa-e-ishq nahii.n husn ko rusavaa karanaa 

[shevaa=tradition/way] 

ik nazar hii terii kaafii thii ki ai raahat-e-jaan
kuchh bhii dushvaar na thaa mujh ko shakebaa karanaa 

[raahat=relief; shakebaa=console/to make one patient] 

un ko yaa.N vaade pe aa lene de ai abr-e-bahaar
jis tarah chaahanaa phir baad me.n barasaa karanaa 

[yaa.N=here] 

shaam ho yaa ki sahar yaad unhii.n kii rakh le
din ho yaa raat hame.n zikr unhii.n kaa karanaa

kuchh samajh me.n nahii.n aataa ki ye kyaa hai ’Hasrat’
un se milakar bhii na izhaar-e-tamannaa karanaa 

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments