The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Iqbal Azeem’ Category


Zamii.n-o-aasmaa.N

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Iqbal Azeem, Sir Mohammed Iqbal

mumkin hai ke tu jisako samajhataa hai bahaaraa.N
auro.n kii nigaaho.n me.n wo mausam ho Khizaa.N kaa

hai sil-silaa ehawaal kaa har lahajaa dagaraguu.N
ae saalek-rah fikr na kar suudo-zayaa.N kaa

shaayad ke zamii.N hai wo kisii aur jahaa.N kii
tuu jisako samajhataa hai falak apane jahaa.N kaa

tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar
misr-o-hijaaz se guzar, paares-o-shaam se guzar

[misr=Egypt; paares=Paris]

jis kaa amaal hai be-garaz, us kii jazaa kuchh aur hai
huur-o-Khayaam se guzar, baadaa-o-jaam se guzar

garche hai dil_kushaa bahot husn-e-firang kii bahaar
taayarek bula.nd baal daanaa-o-daam se guzar

koh shiGaaf terii zarab tujhase kushaad sharq-o-Garab
teze-hilaahal kii tarah aish-o-nayaam se guzar

teraa imaam be-huzuur, terii namaaz be-suruur
aisii namaz se guzar, aise imaam se guzar

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Iqbal Azeem, Sir Mohammed Iqbal

tere ishq kii intahaa chaahataa huu.N
merii saadagii dekh kyaa chaahataa huu.N

[intahaa=limit; saadagii=simplicity]

sitam ho ki ho vaadaa-e-behijaabii
ko_ii baat sabr-aazamaa chaahataa huu.N

[vaadaa-e-behijaabii=promise to be unveiled]
[sabr-aazamaa=testing the patience]

ye jannat mubaarak rahe zaahido.n ko
ki mai.n aap kaa saamanaa chaahataa huu.N

[jannat=heaven; zaahid=a person belonging to a higher plane of existence]

ko_ii dam kaa mehamaa.N huu.N ai ahal-e-mahafil
chiraaG-e-sahar huu.N, bujhaa chaahataa huu.N

[ahal-e-mahafil=people present at the gathering]
[chiraaG-e-sahar=light of dawn]

bharii bazm me.n raaz kii baat kah dii
ba.Daa be-adab huu.N, sazaa chaahataa huu.N

taraanaa-e-hind

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Iqbal Azeem, Sir Mohammed Iqbal
saare jahaa.N se achchhaa hindustaan hamaaraa
ham bul_bule.n hai.n is kii ye gulistaa.N hamaaraa

Note: While the books I have quote the last line
as "...gulistaa.N hamaaraa", I have always heard
the song sung as "...gulsitaa.N hamaaraa". 

Gurbat me.n ho.n agar ham rahataa hai dil vatan me.n
samajho vahii.n hame.n bhii dil ho jahaa.N hamaaraa

[Gurbat = exile/in an alien land]

parvat vo sab se uu.Nchaa ham_saayaa aasmaa.N kaa
vo santarii hamaaraa vo paasabaa.N hamaaraa

[ham_saayaa = neighbour]
[santri = sentry; paasabaa.N = guardian/watchdog]

godii me.n khelatii hai.n is kii hazaaro.n nadiyaa.N
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-janaa.N hamaaraa

[rashk-e-janaa.N = envy of Paradise]

ai aab-e-ruud-e-gangaa vo din hai yaad tujh ko
utaraa tere kinaare jab kaaravaa.N hamaaraa

mazhab nahii.n sikhaataa aapas me.n bair rakhanaa
hindii hai.n ham vatan hai hindustaa.N hamaaraa

[mazhab = religion]

yuunaan -o-mishr-o-romaa sab miT gaye jahaa.N se
ab tak magar hai baaqii naam-o-nishaa.N hamaaraa

[yuunaan = Greece; misr = Egypt; romaa = Rome]

kuchh baat hai ki hastii miTatii nahii.n hamaarii
sadiyo rahaa hai duhman daur-e-zamaa.N hamaaraa

’Iqbal’ ko_ii maharam apanaa nahii.n jahaa.N me.n
maaluum kyaa kisii ko dard-e-nihaa.N hamaaraa

sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Iqbal Azeem, Sir Mohammed Iqbal

sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n
abhii ishq ke imtihaa.N aur bhii hai.n

taahii zindagii se nahii.n ye fazaaye.n
yahaa.N saika.Do.n kaaravaa.N aur bhii hai.n

kanaa’at na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhii, aashiyaa.N aur bhii hai.n

agar kho gayaa ek nasheman to kyaa Gam
maqaamaat-e-aah-o-fugaa.N aur bhii hai.n

tuu shahii.n hai parwaaz hai kaam teraa
tere saamane aasmaa.N aur bhii hai.n

isii roz-o-shab me.n ulajh kar na rah jaa
ke tere zamiin-o-makaa.N aur bhii hai.n

gae din kii tanhaa thaa mai.n a.njuman me.n
yahaa.N ab mere raazadaa.N aur bhii hai.n

saKhtiyaa.N karataa huu.N dil par Gair se Gaafil huu.N mai.n
haay kyaa achchhii kahii zaalim huu.N mai.n jaahil huu.N mai.n

[Gaafil=unaware/inattentive; zaalim=tyrant; jaahil=illiterate]

** Gaafil also means negligent/careless as used in the next sher**

hai merii zillat hii kuchh merii sharaafat kii daliil
jis kii Gafalat ko malak rote hai.n vo Gaafil huu.N mai.n

[zillat=insult; Gafalat=carelessness/negligence]
[malak=angel; Gaafil=one who is negligent]

bazm-e-hastii apanii aaraa_ish pe tuu naazaa.N na ho
tuu to ik tasviir hai mahafil kii aur mahafil huu.N mai.n

[aaraa_ish=decoration; naazaa.N=proud/arrogant]

Dhuu.NDhataa phirataa huu.N ai "Iqbal" apane aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii ma.nzil huu.N mai.n

nayaa shivaalaa

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Iqbal Azeem, Sir Mohammed Iqbal
sach kah duu.N ai brahman gar tuu buraa na maane
tere sanam kado.n ke but ho gaye puraane

apano.n se bair rakhanaa tuu ne buto.n se siikhaa
jang-o-jadal sikhaayaa vaa_iz ko bhii Khudaa ne

tang aake aaKhir mai.n ne dair-o-haram ko chho.Daa
vaa_iz kaa vaaz chho.Daa, chho.De tere fasaane

patthar kii muurato.n me.n samajhaa hai tuu Khudaa hai
Khaak-e-vatan kaa mujh ko har zarraa devataa hai

aa Gairat ke parde ik baar phir uThaa de.n
bichha.Do.n ko phir milaa de.n naqsh-e-du_ii miTaa de.n

suunii pa.Dii hu_ii hai muddat se dil kii bastii
aa ik nayaa shivaalaa is des me.n banaa de.n

duniyaa ke tiiratho.n se uu.Nchaa ho apanaa tiirath
daamaan-e-aasmaa.N se is kaa kalas milaa de.n

har subah mil ke gaaye.n mantar vo miiThe miiThe
saare pujaariyo.n ko mai piit kii pilaa de.n

shaktii bhii shaantii bhii bhakto.n ke giit me.n hai
dharatii ke baasiyo.n kii muktii priit me.n hai

nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaa.N merii
Khaamoshii guftaguu hai, bezubaanii hai zabaa.N merii

ye dastuur-e-zabaa.N-ba.ndii hai kaisii terii mahafil me.n
yahaa.N to baat karane ko tarastii hai zabaa.N merii

uThaaye kuchh varaq laalaa ne kuchh naragis ne kuchh gul ne
chaman me.n har taraf bikharii hu_ii hai daastaa.N merii

u.Daa lii kumariyo.n ne tuutiyo.n ne a.ndaliibo.n ne
chaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fugaa.N merii

Tapak ai shama aa.Nsuu ban ke paravaane kii aa.Nkho.n se
saraapaa dard huu.N hasarat bharii hai daastaa.N merii

ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaa.N duniyaa me.n rahane kaa
hayaat-e-jaavidaa.N merii na marg-e-naagahaa.N merii

mohabbat ka junuu.N baaqii nahii.n hai

May 15, 2009 Author: admin | Filed under: Iqbal Azeem, Sir Mohammed Iqbal

mohabbat ka junuu.N baaqii nahii.n hai
musalamaano.n me.n Khuun baaqii nahii.n hai

safe.n kaj, dil pareshan, sajdaa bezuuk
ke jazabaa-e-a.ndruun baaqii nahii.n hai

rago.n me.n lahuu baaqii nahii.n hai
wo dil, wo aawaaz baaqii nahii.n hai

namaaz-o-rozaa-o-qurbaanii-o-haj
ye sab baaqii hai tuu baaqii nahii.n hai

lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii
zindagii shammaa kii surat ho Khudaayaa merii

duur duniyaa kaa mere dam a.Ndheraa no jaaye
har jagah mere chamakane se ujaalaa ho jaaye

ho mere dam se yuu.N hii mere watan kii ziinat
jis tarah phuul se hotii hai chaman kii ziinat

zindagii ho merii parawaane kii surat yaa rab
ilm kii shammaa se ho mujhako mohabbat yaa rab

ho meraa kaam Gariibo.n kii himaayat karanaa
dard-ma.ndo.n se zaiifo.n se mohabbat karanaa

mere allaah buraaii se bachaanaa mujhako
nek jo raah ho us raah pe chalaanaa mujhako

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments