The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
mujhe tum nazar se giraa to rahe ho
mujhe tum kabhii bhii bhulaa naa sakoge
na jaane mujhe kyuu.N yaqii.n ho chalaa hai
merii yaad ko tum miTaa naa sakoge
merii yaad hogii jidhar jaaoge tum
kabhii naGmaa ban ke, kabhii ban ke aa.Nsuu
taD.apataa mujhe har taraf paaoge tum
shamaa jo jalaayii merii vafaa ne
bujhaanaa bhii chaaho bujhaa naa sakoge
kaabhii naam baato.n me.n aayaa jo meraa
to bechain ho hoke dil thaam loge
nigaaho.n pe chhaayegaa Gam kaa a.ndheraa
kisii ne jo puuchhaa sabab aa.Nsuo.n kaa
bataanaa bhii chaaho bataa naa sakoge
The following ’band’ has been written by Kamraan Mehdi and is usually sung by Mehdi Hasan.
mere dil kii dha.Dakan banii hai jo sholaa
sulagate hai.n armaa.N yuu.N ban-ban ke aa.Nsuu
kabhii to tumhe.n bhii ye ehasaas hogaa
magar ham na ho.nge terii zindagii me.n
bulaanaa bhii chaaho bulaa naa sakoge
ham ko kisake Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii
kisane to.Daa dil hamaaraa ye kahaanii phir sahii
dil ke luTane kaa sabab puuchho na sab ke saamane
naam aayegaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii
nafarato.n ke tiir khaa kar dosto.n ke shahar me.n
ham ne kis kis ko pukaaraa ye kahaanii phir sahii
kyaa bataaye.n pyaar kii baazii vafaa kii raah me.n
kaun jiitaa kaun haaraa ye kahaanii phir sahii