The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Miraji’ Category


tum ne tahariiq mujhe dii ki jaao dekho
chaa.Nd taaro.n se pare aur duniyaaye.N hai.n
tum ne hii mujh se kahaa thaa ki Khabar le aao
mere dil me.n vahii.n jaane kii tamanaaye.N hai.n [tahariiq=in writing]

aur mai.n chal diyaa Gaur kiyaa kab is par
kitanaa mahaduud hai i.nsaan kii quvvat kaa tilism
bas yahii jii ko Khayaal aayaa tumhe.n Khush kar duu.N
ye na sochaa ki yuu.N miT jaayegaa raahat kaa tilism

[Gaur karanaa=pay attention to; mahaduud=limited]
[quvvat=strength; tilism=magic; raahat=comfort/ease]

aur ab ham-damii-o-ishrat-e-raftaa kaise
aah ab duurii hai duurii hai faqat duurii hai
tum kahii.n aur mai.n kahii.n ab nahii.n pahalii haalat
lauT ke aa bhii nahii.n sakataa ye hai majabuurii

[ham-damii=friendship; ishrat-e-raftaa=past joys; faqat=merely]

merii qismat ki judaa_ii tumhe.n ma.nzuur hu_ii
merii qismat ki pasa.nd aa_ii na merii baate.n
ab nahii.n jalvaagah-e-Khilavat-e-shab afsaane
ab to bas tiiraa-o-taariik hai apanii raate.n

[jalvaagah-e-Khilavat-e-shab afsaane=tales of her beauty in the solitude of the evenings]
[tiiraa-o-taariik=extremely dark]

pyaare lamhe aaye.Nge aur majabuurii miT jaayegii
ham dono.n mil jaaye.nge aur sab duurii miT jaayegii
har dam bahane vaalii aa.Nkho.n kii maalaa bhii TuuTegii
teri merii hastii is bairii ba.ndhan se chhuTegii

lekin ye sab baate.n hai.n apane jii ke bahalaane kii
dukh kii raat me.n dhiire dhiire dil kaa dard miTaane kii
rote rote ha.Nsate ha.Nsate rukate rukate gaane kii

sukh kaa sapanaa suukhaa hai aur suukhaa hii rah jaayegaa
suunii sej pe prem kahaanii premii yuu.N kah jaayegaa
hote hote saaraa jiivan aa.Nkho.n se bah jaayegaa

nagarii nagarii phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhuul gayaa
kyaa hai teraa kyaa hai meraa apanaa paraayaa bhuul gayaa

apanii biitii jag biitii hai jab se dil ne jaan liyaa
ha.Nsate ha.Nsate jiivan biitaa ronaa dhonaa bhuul gayaa

a.Ndhyaare se ek kiran ne jhaa.Nk ke dekhaa sharmaa_ii
dhu.Ndh sii chhab to yaad rahii kaisaa thaa cheharaa bhuul gayaa

ha.Nsii ha.NSii me.n khel khel me.n baat kii baat me.n rang gayaa
dil bhii hote hote aaKhir ghaav kaa risanaa bhuul gayaa

ek nazar kii ek hii pal kii baat hai Dorii saa.Nso.n kii
ek nazar kaa nuur miTaa jab ek pal biitaa bhuul gayaa

jis ko dekho us ke dil me.n shiavaa hai to itanaa hai
hame.n to sab kuchh yaad rahaa par ham ko zamaanaa bhuul gayaa

ko_ii kahe ye kis ne kahaa thaa kah do jo kuchh jii me.n hai
"Miraji" kah kar pachhataayaa aur phir kahanaa bhuul gayaa

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments