The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Nawaz Deobandi’ Category


vo rulakar ha.Ns na paayaa der tak
jab mai.n rokar muskuraayaa der tak

bhuulanaa chaahaa agar us ko kabhii
aur bhii vo yaad aayaa der tak

bhuukhe bachcho.n kii tasallii ke liye
maa.N ne phir paanii pakaayaa der tak

gun_gunaataa jaa rahaa thaa ik faqiir
dhuup rahatii hai naa saayaa der tak

tere aane kii jab Khabar mahake
tere Khushbuu se saaraa ghar mahake

shaam mahake tere tasavvur se
shaam ke baad phir sahar mahake

[tasavvur=thought; sahar=morning]

raat bhar sochataa rahaa tujh ko
zahan-o-dil mere raat bhar mahake

[zahan=mind]

yaad aaye to dil munavvar ho
diid ho jaaye to nazar mahake

[munavvar=illuminated; diid=seen/to see]

vo gha.Dii do gha.Dii jahaa.N baiThe
vo zamii.n mahake vo shajar mahake

[shajar=tree]

saaqiyaa teraa isaraar apanii jagah
tere maikash kaa inkaar apanii jagah

teG apanii jagah daar apanii jagah
aur haqiiqat kaa izhaar apanii jagah

ab kha.nDahar hai kha.nDar hii kaho dosto
shiish mahalo.n ke aasaar apanii jagah

tuur par laakh muusaa se ho guftaaguu
arsh-e-aazam pe diidaar apanii jagah

avvalan haq ne taKhliiq jis ko kiyaa
sab ke baad us kaa izhaar apanii jagah

muKhtasar ye bataa sar baa-kaf kaun thaa
jiit apanii jagah haar apanii jagah

bhaa_ii se bhaa_ii ke kuchh taqaaze bhii hai.n
sahan kii biich kii diivaar apanii jagah

leke maazii ko jo haal aayaa to dil kaa.Np gayaa
jab kabhii unakaa Khayaal aayaa to dil kaa.Np gayaa

aisaa to.Daa thaa muhabbat me.n kisii ne dil ko
jab kisii shiishe me.n baal aayaa to dil kaa.Np gayaa

sar bala.ndii pe to maGaruur the ham bhii lekin
cha.Dhate suuraj pe zavaal aayaa to dil kaa.Np gayaa

bad_nazar uThane hii vaalii thii kisii kii jaanib
apane beTii kaa Khayaal aayaa to dil kaa.Np gayaa

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments