ham ko yaa.N dar dar phiraayaa yaar ne
laamakaa.N m.en ghar banaayaa yaar ne

aap apane dekhane ke vaaste
ham ko aa_iinaa banaayaa yaar ne

apane ik adanaa tamaashe ke liye
ham ko suulii par cha.Dhaayaa yaar ne

aap chhup ke ham ko kar ke ruu-bar-ruu
Khuub hii rusvaa karaayaa yaar ne

aap to but ban ke kii jalvaa-garii
aur hame.n kaafir banaayaa yaar ne

zer-e-shaan-e-beniyaazii khul ga_ii
jis taraf ruKh ko phiraayaa yaar ne