The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
ye husn-e-raaz muhabbat chhupaa rahaa hai ko_ii
hai ashk aa.Nkho.n me.n aur muskuraa rhaa hai koii
nazar nazar me.n tajallii dikhaa rahaa hai koii
nafaz nafaz pe mujhe yaad aa rahaa hai koii
taKhayulaat ke dhoke hai.n sab shab-e-vaadaa
na aa rahaa hai koii aur na jaa rahaa hai koii
ye husn-o-ishq kii tasviir ke hai.n do ma.nzar
ki ro rahaa hai koii muskuraa rahaa hai koii
"Qadeer" hashr me.n pahu.Nche to ham ne kyaa dekhaa
kisii ke haath se daaman chhu.Daa rahaa hai koii
saaqiiyaa chho.D na khaalii mere paimaane ko
itanii hii de de ke ho jaaaye qasam khaane ko
saaqii ye ahad-e-shikan is me.n biga.Danaa kaisaa
ko_ii paimaan ko to.De ko_ii paimaane ko
kuchh to ho jaatii hai kam sifat-e-taubaa_shikanii
pii ke ham to.D diyaa karate hai.n paimaane ko
jitane muu.Nh utanii hii baate.n hai.n ba.De kyuu.N na junuu.N
sab ne diivaanaa banaa rakhaa hai diivaane ko