ham ko dushman kii nigaaho.n se na dekhaa kiije
pyaar hii pyaar hai.n ham ham pe bharosaa kiije 

chand yaado.n ke sivaa haath na kuchh aayegaa
is tarah umr-e-gurezaa.N kaa na piichhaa kiije

roshnii auro.n ke aa.Ngan me.n gavaaraa na sahii
kam se kam apane hii ghar me.n to ujaalaa kiije 

kyaa Khabar kab vo chale aaye.nge milane ke liye
roz palako.n pe na_ii shamae.n jalaayaa kiije