The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Rajesh Reddy’ Category


zindagii tuune lahuu leke diyaa kuchh bhii nahii.n
tere daaman me.n mere vaaste kyaa kuchh bhii nahii.n

mere in haatho.n kii chaaho to talaashi le lo
mere haatho.n me.n lakiiro.n ke sivaa kuchh bhii nahii.n

hamane dekhaa hai ka_ii aise Khudaao.n ko yahaa.N
saamane jin ke vo sach much kaa Khudaa kuchh bhii nahii.n

yaa Khudaa ab ke ye kis rang se aa_ii hai bahaar
zard hii zard hai pe.Do.n pe haraa kuchh bhii nahii.n

dil bhii ik zid pe a.Daa hai kisii bachche kii tarah
yaa to sab kuchh hii ise chaahiye yaa kuchh bhii nahii.n

ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai
kahii.n ik hasiin saa Khvaab hai kahii.n jaan-levaa azaab hai

[azaab=torment/anguish]

kahii.n chha.Nv hai kahii.n dhuup hai kahii.n aur hii ko_ii ruup hai
ka_ii chehare is me.n chhupe hu_e ik ajiib sii ye naqaab hai

kahii.n kho diyaa kahii.n paa liyaa kahii.n ro liyaa kahii.n gaa liyaa
kahii.n chhiin letii hai har Khushii kahii.n meharabaan behisaab hai

kahii.n aa.Nsuo.n kii hai daastaa.N kahii.n muskuraahaTo.n kaa bayaa.N
kahii.n barqato.n kii hai baarishe.n kahii.n tishnagii behisaab hai

[bayaa.N=tale; barqat=prosperity/good fortune; tishnagii=thirst]

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments