The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
sunate hai.n ki mil jaatii hai har chiiz duaa se ek roz tumhe.n maa.Ng ke dekhe.nge Khudaa se tum saamane baiThe ho to hai kaif kii baarish vo din bhii the jab aag barasatii thii ghaTaa se ae dil tuu u.nhe.n dekh kar kuchh aise ta.Dapanaa aa jaaye ha.Nsii un ko jo baiThe hai.n Khafaa se duniyaa bhii milii hai Gam-e-duniyaa bhii milaa hai vo kyuu.N nahii.n milataa jise maa.Ngaa thaa Khudaa se jab kuchh na milaa haath duaao.n ko uThaakar phir haath uThaane hii pa.De, hamako duaa se aaiine me.n vo apanii adaa dekh rahe hai.n mar jaaye ki jii jaaye koii unakii balaa se