The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
ye kaun Duub gayaa aur ubhar gayaa mujh me.n ye kaun saaye kii suurat guzar gayaa mujh me.n ye kis ke soG me.n shoridaa-haal phirataa huu.N vo kaun shaKhs thaa aisaa ki mar gayaa mujh me.n [soG=mourning; shoridaa-haal=wretched condition] ajab havaa-e-bahaaraa.N ne chaaraasaazii kii vo zaKhm jis ko na bharanaa thaa bhar gayaa mujh me.n [havaa-e-bahaaraa.N=winds of spring; chaaraasaazii=cure] vo aadamii ki jo patthar thaa jii rahaa hai abhii jo aa_iinaa thaa vo bikhar gayaa mujh me.n bisaal kyaa ki vo jab bhii qariib se guzaraa vo yuu.N lagaa ki ko_ii raqs kar gayaa mujh me.n [raqs=dance] vo saath thaa to ajab dhuup chaa.Nv rahatii thii bas ab to ek hii mausam Thahar gayaa mujh me.n