The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
kahane ko bahut kuchh thaa magar kah nahii.n paaye
samajhaa na meraa Gam ko_ii is baat kaa Gam hai
phir bhii mere dil kuchh to vafaao.n kii kasam hai
aa.Nkho.n me.n ho.n aa.nsuu bhii magar bah nahii.n paaye
phuulo.n se chaman aasmaa.N taaro.n se bharaa hai
ummiid kaa daaman meraa yaado.n se bharaa hai
qismat ne sitam aise kiye sah nahii.n paaye