The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
subah-dam yuu.N hii fasurdaa ho gayaa
ai dil-e-naazuk tujhe kyaa ho gayaa
[fasurdaa=sad]
siinaa-e-baranat se sholaa saa uThaa
Gam-zado.n ke dil kaa naGmaa ho gayaa
[baranat=a musical instrument]
shukriyaa ai gardish-e-jaam-e-sharaab
mai.n bharii mahafil me.n tanhaa ho gayaa
[gardish-e-jaam-e-sharaab=round of drinks]
raat dil ko thaa sahar kaa i.ntazaar
ab ye Gam hai kyo.n saveraa ho gayaa
[sahar=dawn]
bujh ga_ii kuchh is tarah shama-e-"Salaam"
jaise ik biimaar achchhaa ho gayaa
bahut dino.n kii baat hai
fizaa ko yaad bhii nahii.n
ye baat aaj kii nahii.n
bahut dino.n kii baat hai
shabaab par bahaar thii
fizaa bhii Khush-gavaar thii
na jaane kyuu.N machal pa.Daa
mai.n apane ghar se chal pa.Daa
kisii ne mujh ko rok kar
ba.Dii adaa se Tok kar
kahaa thaa lauT aa_iiye
merii qasam na jaa_iiye
par mujhe Khabar na thii
maahaul par nazar na thii
na jaane kyuu.N machal pa.Daa
mai.n apane ghar se chal pa.Daa
mai.n shahar se phir aa gayaa
Khayaal thaa ke paa gayaa
use jo mujhase duur thii
magar merii zaruur thii
aur ik hasiin shaam ko
mai.n chal pa.Daa salaam ko
galii kaa rang dekh kar
na_ii tarang dekh kar
mujhe ba.Dii Khushii hu_ii
mai.n kuchh isii Khushii me.n thaa
kisii ne jhaa.Nk kar kahaa
paraaye ghar se jaa_iiye
meri qasam na aa_iiye
vahii hasiin shaam hai
bahaar jis kaa naam hai
chalaa huu.N ghar ko cho.Dakar
na jaane jaauu.Ngaa kidhar
ko_ii nahii.n jo Tok kar
ko_ii nahii.n jo rok kar
kahe ke lauT aa_iiye
merii qasam na jaa_iiye
merii qasam naa jaa_iiye…