The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Sehba Akhtar’ Category


mujhe bhulaanevaale tujhe bhii chain na aaye
tuu bhii jaage tuu bhii ta.Dape tuu bhii niir bahaaye

baadal garaje bijalii chamake ta.Dap ta.Dap rah jaaye
patajha.D aaye chhae udaasii man me.n aag lagaaye
tuu bhii inako yaad kare aur thaam ke dil rah jaaye

aramaano.n kaa mahal banaake aap hii tuune to.D diyaa
ek suhaanaa giit sunaayaa
merii nii.nde.n chhiin lii tuune aise Khvaab dikhaaye

jab bhii saavan lekar aaye pyaar bharii barasaato.n ko
yaad kare tuu baiThakar tanhaa saath guzaarii raato.n ko
merii tarah tere man me.n bhii barakhaa aag lagaay

kaare badarvaa aaye chaaii udaasii
bhigii bhigii palake.n hai.n pyaar kii pyaasii

jab se gae ho chho.D ke hamako
dil ko na jaane kyaa ho gayaa hai
aan milo ab jiyaa na jalaao
saavan bhii ab biit chalaa hai

ek jhalak to aake dikhaa jaa
a.Ndheraa hai man me.n diyaa to jalaa jaa
bhuulanavaale ham ko terii
yaad sataaye

de na sake jo chain bhii man ko
aag lage aise saavan ko
mehaa barase aa.Nsuu.n barase
rimjhim mere diip jalaaye

is duniyaa me.n sab hai.n akele koii kisii kaa nahii.n

May 16, 2009 Author: admin | Filed under: Sehba Akhtar

is duniyaa me.n sab hai.n akele
koii kisii kaa nahii.n

kaisii mohabbat kasii vafaaye.n kaise pyaar ke sapane
aaj Khayaalo.n me.n bhii nahii.n hai.n saath jo the kal apane
jhuuThee hai.n sab jag ke mele
saayaa bhii apanaa nahii.n

kaaGaz kii ek naa.Nv hai jiivan koii nahii.n hai maa.Njhii
biich bhavar me.n kaun banaa hai Duubate man kaa saathii
kahate hai.n maujo.n ke rele
koii kinaaraa nahii.n

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments