The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
tum se ulfat ke taqaaze na nibaahe jaate varnaa ham ko bhii tamannaa thii ke chaahe jaate [taqaaze = demands] dil ke maaro kaa na kar Gam ki ye andoh_nasiib zaKhm bhii dil me.n na hotaa to karaahe jaate [andoh_nasiib = unfortunate (people)] dii na mohalat hame.n hastii ne vafaa kii varnaa aur kuchh din Gam-e-hastii se nibaahe jaate
nazar se justajuu bekaar nikalii Khud apane aap se do-chaar nikalii Kirad ko thii ye Khush_fahamii ki dar hai pas-e-diivaar bhii diivaar nikalii mujhe hasarat thii jis taab-e-suKhan kii vahii shai is kii bhii dar_kaar nikalii chhuTaa aaKhir ko duniyaa se to dekhaa mohabbat hii gale kaa haar nikalii nigaahe.n jhuk ga_iii.n jab Khud_pasandii barahanaa barasar-e-darbaar nikalii nihaal-e-fiqr kii shaaKhe.n namuudaar qalam hokar bhii kyaa gul_naar nikalii bhalaa hotaa hai kyaa kahane se ’Haqi’ chalo kuchh Khvaahish-e-izhaar nikalii
bhulaa do ranj kii baato.n me.n kyaa hai idhar dekho merii aa.Nkho.n me.n kyaa hai bahut taariik din hai phir bhii dekho ujaalaa chaa.Ndanii raato.n me.n kyaa hai [taariik - dark] nahii.n paatii.n jise bedaar nazare.n Khudaayaa ye mere Khvaabo.n me.n kyaa hai [bedaar - sleepless/wakeful] ye kyaa Dhuu.NDhe chale jaatii hai duniyaa tamaashaa-saa galii-kuucho.n me.n kyaa hai hai vahashat-sii ye har chehare pe kaisii na jaane saham-saa nazaro.n me.n kyaa hai [vahashat = fear] ye ik haijaan-saa dariyaa me.n kyo.n hai ye kuchh saamaan-saa maujo.n me.n kyaa hai [haijaan = disturbance; saamaan = arrangement] zaraa-saa bal hai ik zulfo.n kaa us kii vagarnaa zor zanjiiro.n me.n kyaa hai hai.n Khamyaaze suruur-e-aarazuu ke nishaat-o-Gam kaho naamo.n me.n kyaa hai [Khamyaaze = result; suruur-e-aarazuu = intoxication of desire] [nishaat-o-Gam = happiness and sorrow] tumhaarii der-aamezii bhii dekhii takalluf lakhanau vaalo.n me.n kyaa hai [der-aamezii = late (for a) meeting; takalluf = formality]