The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Sufi Ghulam Mustafa Tabassum’ Category


ye kyaa ke ek jahaa.N ko karo vaqf-e-iztaraab

ye kyaa ke ek jahaa.N ko karo vaqf-e-iztaraab
ye kyaa ke ek dil ko shakebaa.N na kar sako 

aisaa na ho ye dard bane dard-e-laazaval
aisaa na ho ke tum bhii mudaavaa na kar sako 

shaayad tumhe.n bhii chain na aaye mere baGair
shaayad ye baat tum bhii gavaaraa na kar sako 

kyaa jaane phir sitam bhii mayassar ho na ho
kyaa jaane ye karam bhii karo yaa na kar sako 

allaah kare jahaa.N ko merii yaad bhuul jaaye
allaah kare ke tum kabhii aisaa na kar sako 

mere sivaa kisii kii na ho tum ko justajuu
mere sivaa kisii kii tamannaa na kar sako 
vo mujh se hue ham_kalaam allaah allaah
kahaa.N mai.n kahaa.N ye makaam allaah allaah 

vo ruu-e-daraKhshaa.N vo zulfo.n ke saaye
vo hangaamaa-e-subah-o-shaam allaah allaah 

vo sahamaa huaa aa.Nsuo.n kaa talaatum
vo aab-e-ravaa besharam allaah allaah 

vo zabt-e-suKhan me.n labo.n kii Khaamoshii
nazar kaa vo lutf-e-karam allaah all
tujh ko aate hii nahii.n chhupane ke andaaz abhii
mere siine me.n hai.n larzaa.N terii aavaaz abhii 

us ne dekhaa hii nahii.n dard kaa aaGaaz abhii
ishq ko apanii tamannaao.n pe hai naaz abhii 

tujh ko manzil pe pahu.Nchane kaa hai daavaa ham_dam
mujh ko anjaam nazar aataa hai aaGaaz abhii 

kis qadar gosh-bar-aavaaz hai Khaamoshii-e-shab
ko_ii naalaa ki hai fariyaad kaa kaa dar_baaz ko_ii 

mere chehare kii ha.Nsii rang-e-shikastaa meraa
tere ashko.n me.n ’Tabassum’ kaa hai andaaz abhii 
sau baar chaman mahakaa sau baar bahaar aa_ii
duniyaa kii vahii raunaq dil kii vahii tanhaa_ii 

har dard-e-muhabbat se ulajhaa hai Gam-e-hastii
kyaa kyaa hame.n yaad aayaa jab yaad terii aa_ii 

dekhe hai.n bahut ham ne hangaame muhabbat ke
aaGaaz bhii rusvaa_ii anjaam bhii rusvaa_ii 

[aaGaaz=beginning; anjaam=result/end; rusvaa_ii=disgrace/infamy] 

ye bazm-e-muhabbat hai is bazm-e-muhabbat me.n
diivaane bhii saudaa_ii farzaane bhii saudaa_ii 

[bazm=gathering; saudaa_ii=crazy; farzaanaa=intelligent/wise] 
nazar me.n Dhal ke ubharate hai.n dil ke afasane
ye aur baat hai duniyaa nazar na pahachane 

ye bazm dekhii hai merii nigaah ne ki jahaa.N
baGair shamaa bhii jalate rahe hai.n paravaane 

ye kyaa bahaar kaa jauban hai ye kyaa nashaat kaa rang
fasurdaa maikade vaale udaas maiKhaane 

mere nadiim teri chashm-e-iltafaat kii Khair
biga.D biga.D ke sa.Nvarate gaye hai.n afasaane 

ye kis kii chashm-e-fusuu.N_saaz kaa karishmaa hai
ki Tuut kar bhii salaamat hai.n dil ke but_Khaane 
kuchh aur gum_raahii-e-dil kaa raaz kyaa hogaa
ik ajanabii thaa kahii.n raah me.n kho gayaa hogaa 

[gu_-raahii-e-dil=lost heart] 

isii Khayaal se raate.n uja.D ga_ii.n apanii
ko_ii hamaarii bhii haalat ko dekhataa hogaa 

tumhaare dil me.n kahaa.N merii yaad kaa paratau
vo ek halkaa saa baadal thaa chhaT gayaa hogaa 

[paratau=shadow] 

vo jin kii raat tumhaare hii dam se raushan thii
jo tum vahaa.N se gaye hoge kyaa huaa hogaa 
jab bhii do aa.Nsuu nikal kar rah gaye
dard ke unavaa.N badal kar rah gaye

[unavaa.N = title/preface]

kitanii fariyaade.n labo.n par ruk ga_ii.n
kitane ashk aaho.n me.n Dhal kar rah gaye

[fariyaad = plea]

ruKh badal jaataa merii taqadiir kaa
aap hii tevar badal kar rah gaye

[tevar = countenance]

khul ke rone kii tamannaa thii hame.n
ek do aa.Nsuu nikal kar rah gaye

zindagii bhar saath denaa thaa jinhe.n
do qadam ham_raah chal kar rah gaye

tere andaaz-e-tabassum kaa fusuu.N
haadise pahaluu badal kar rah gaye

[andaaz-e-tabassum = way of smiling; fusuu.N = magic]
hazaar gardish-e-shaam-o-sahar se guzare.n hai.n
vo qaafile jo terii rah_guzar se guzare.n hai.n 

abhii havas ko mayyassar nahii.n dilo.n kaa gudaaz
abhii ye log muqaam-e-nazar se guzare.n hai.n 

har ek naqsh pe thaa tere naqsh-e-paa kaa gumaa.N
qadam qadam pe terii rah_guzar se guzare.n hai.n 

na jaane kaun sii manzil pe jaa ke ruk jaaye.n
nazar ke qaafile diivar-o-dar se guzare.n hai.n 

kuchh aur phail ga_ii.n dard kii kaThin raahe.n
Gam-e-firaaq ke maare jidhar se guzare.n hai.n 

jahaa.N suruur mayyassar thaa jaam-o-mai ke baGair
vo maikade bhii hamaarii nazar se guzare.n hai.n 
ashko.n se sharar Tapak rahe hai.n
ye shole kahaa.N bha.Dak rahe hai.n

[sharar = spark]

hai kis kii ye rah_guzar ki zarre
taaro.n se sivaa chamak rahe hai.n

[zarre = specks/minute particles; sivaa = more]

murjhaane lagii firaaq kii raat
yaado.n ke diye sisak rahe hai.n

[firaaq = separation]

nazaro.n ne to kho diye nazaare
dil hai.n ki abhii dha.Dak rahe hai.n

yuu.N baiThe hai.n ham fiir jaise
sayyaad kii raah tak rahe hai.n

[fiir = friend; sayyaad = hunter]

gul_shan gul_shan thii apanii manzil
saharaa saharaa bhaTak rahe hai.n

un aa.Nkho.n kaa ye hasii.n tabassum
jalvo.n ke nagii.n damak rahe hai.n

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments