The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Surender Malik Gumnam’ Category


zindagii ek kiraaye kaa ghar hai ek na ek din badalanaa pa.Degaa
maut jab ham ko aavaaz degii ghar se baahar nikalanaa pa.Degaa

Dher miTTii kaa har aadamii hai baad marane ke honaa yahii hai
yaa zamiino.n me.n turbat bane.nge yaa chitaao.n pe jalanaa pa.Degaa

raat ke baad hogaa saveraa dekhanaa hai agar tum ko din suneharaa
paao.n phuulo.n pe rakhane se pahale tum ko kaa.NTo.n pe chalanaa pa.Degaa

aitabaar un ke vaado.n kaa mar kar varnaa ai dil mere zindagii bhar
tujh ko bhii mombattii kii tarah qataraa qataraa pighalanaa pa.Degaa

ye javaanii hai pal bhar kaa sapanaa Dhuu.ND le ko_ii mahabuub apanaa
ye javaanii agar Dhal ga_ii to umr bhar haath malanaa pa.Dega
ye kaisii muhabbat kahaa.N ke fasaane
ye piine pilaane ke sab hai.n bahaane 

vo daaman ho un kaa ke sun_saan seharaa
bas ham ko to aaKhir hai.n aa.Nsuu bahaane 

ye kis ne mujhe mast nazaro.n se dekhaa
lage Khud-ba-Khud hii qadam la.Dakha.Daane 

chalo tum bhii ’Gumnaam’ ab maikade me.n
tumhe.n dafn karane hai.n ka_ii Gam puraane 
mastii bharii nazar kaa nashaa hai mujhe abhii
ye jaam duur rakh do pii luu.Ngaa phir kabhii 

dil ko jalaa ke bazm ko raushan na kiijiye
us mah_jabii.n ko aane me.n kuchh der hai abhii 

ham ne to ashk pii ke guzaarii hai saarii umr
ham se Khafaa hai kis liye aaKhir ye zindagii 

jaam-e-subuu ko duur hii rahane de saaqiiyaa
mujh ko utaaranaa hai kal kaa nashaa abhii 
kaa.NTo.n kii chubhan pa_ii phuulo.n kaa mazaa bhii
dil dard ke mausam me.n royaa bhii ha.Nsaa bhii 

aane kaa sabab yaad na jaane kii Khabar hai
vo dil me.n rahaa aur use to.D gayaa bhii 

har ek se manzil kaa pataa puuchh rahaa hai
gum_raah mere saath huaa rah_numaa bhii 

’Gumnaam’ kabhii apano.n se jo Gam huye haasil
kuchh yaad rahe un me.n kuchh bhuul gayaa bhii 

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments