The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Umeed Fazli’ Category


sang jab aa_iinaa dikhaataa hai
teshaa kyaa kyaa nazar churaataa hai

sil_silaa pyaas kaa bataataa hai
pyaas dariyaa kahaa.N bujhaataa hai

raig-zaro.n me.n jaise tapatii dhuup
yuu.N bhii us kaa Khayaal aataa hai

sun rahaa huu.N Khiraam-e-umr kii chaap
aks aavaaz banataa jaataa hai

vo bhii kyaa shaKhs hai ke paas aa kar
faasale duur tak bichhaataa hai

ghar to aisaa kahaa.N thaa lekin
dar-badar hai.n to yaad aataa hai

kab talak pyaas ke saharaa me.n jhulasate jaaye.n
ab ye baadal jo uThe hai.n to barasate jaaye.n

[jhulasanaa = to get scorched/burnt]

kaun batalaaye tumhe.n kaise vo mausam hai.n ki jo
mujh se hii duur rahe.n mujh me.n hii basate jaaye.n

haaye kyaa log ye aabaad huye hai.n mujh me.n
pyaar ke lafz likhe.n lahaje se Dasate jaaye.n

[lahajaa = manner/style]

aa_iinaa dekhuu.N to ik chehare ke be-rang nuquush
ek naadiiddaa-sii zanjiir me.n kasate jaaye.n

[nuquush - portrait/sketch; naadiidaa = unseen]

juz muhabbat kise aayaa hai mayassar ummiid
aisaa lamhaa ki jidhar sadiyo.n ke raste jaaye.n

[juz = except; mayassar = available]

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments