The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Urdu Ghazal’ Category


Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do

May 24, 2009 Author: admin | Filed under: Urdu Ghazal

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do

kal aur aaj

May 9, 2009 Author: admin | Filed under: Aale Ahmed Saroor, Urdu Ghazal, Urdu Shairy
vo bhii kyaa log the aasaan thii raahe.n jin kii
band aa.Nkhe.n kiye ik simt chale jaate the
aql-o-dil Khvaab-o-haqiiqat kii na uljhan na Khalish
muKhtalif jalve nigaaho.n ko na bahalaate the

[Khalish=pain/prick; muKhtalif=different types]

ishq saadaa bhii thaa beKhud bhii junuu.N_peshaa bhii
husn ko apanii adaao.n pe hijaab aataa thaa
phuul khilate the to phuulo.n me.n nashaa hotaa thaa
raat Dhalatii thii to shiisho.n pe shabaab aataa thaa

[hijaab=coyness]

chaa.Ndanii kaif_asar ruuh_afzaa hotii thii
abr aataa thaa to bad_mast bhii ho jaate the
din me.n shorish bhii huaa karatii thii hangaame bhii
raat kii god me.n muu.Nh Dhaa.Np ke so jaate the

[kaif_asar=inducing intoxication; ruuh_afzaa=soul refreshing]
[abr=cloud; bad_mast=intoxicated; shorish=tumult]

narm rau vaqt ke dhaare pe safiine the ravaa.N
saahil-o-bahr ke aa_iin na badalate the kabhii
naaKhudaao.n pe bharosaa thaa muqaddar pe yaqii.n
chaadar-e-aab se tuufaan na ubalate the kabhii

[narm rau=gently moving; safiinaa=boat]
[saahil=shore; bahr=sea; aa_iin=law/natural way]
[naaKhudaa=oarsman; muqaddar=fate; aab=water]

ham ke tuufaano.n ke paale bhii sataaye bhii hai.n
barq-o-baaraa.N me.n vo hii shame.n jalaaye.n kaise
ye jo aatish_kadaa duniyaa me.n bha.Dak uTThaa hai
aa.Nsuo.n se use har baar bujhaaye.n kaise

[barq=lightning; baaraa.N=storm; aatish_kadaa=conflagration]

kar diyaa barq-o-buKhaaraat ne mahashar barpaa
apane daftar me.n litaafat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
ghir gaye vaqt kii beraham kashaakash me.n magar
paas tahaziib kii daulat ke sivaa kuchh bhii nahii.n

[bukhaaraat=fevers/great heat; mahashar=day of judgement]
[lataafat=elegance/pleasantness; beraham=merciless]
[kashaakash=struggle; tahaziib=civilization/politeness]

ye andheraa ye talaatum ye havaao.n kaa Kharosh
is me.n taaro.n kii subuk narm ziyaa kyaa karatii
talKhii-e-ziist se ka.Davaa huaa aashiq kaa mizaaj
nigaah-e-yaar kii maasuum adaa kyaa karatii

[talaatum=upheaval; Kharosh=loud noice/cry]
[subuk=delicate (here it means dim); ziyaa=brilliance/shine]
[talKhii-e-ziist=bitterness of reality/life; ka.Davaa=sour taste]

safar aasaan thaa to manzil bhii ba.Dii raushan thii
aaj kis darjaa pur_asaraar hai.n raahe.n apanii
kitanii parachhaa_iyaa.N aatii hai.n tajallii ban kar
kitane jalvo.n se ulajhatii hai.n nigaahe.n apanii

[darjaa=grade/level; pur_asaraar=full of secrets/intricate/complex]
[tajallii=bright light]

aa.Nsuuo.n kii jahaa.N paayamaalii rahii
aisii bastii charaaGo.n se Khaalii rahii

dushmano.n kii tarah us se la.Date rahe
apanii chaahat bhii kitanii niraalii rahii

jab kabhii bhii tumhaaraa Khayaal aa gayaa
phir kaii roz tak beKhayaalii rahii

lab tarasate rahe ik ha.Nsii ke liye
merii kashtii musaafir se Khaalii rahii

chaa.Nd taare saabhii ham-safar the magar
zindagii raat thii raat kaalii rahii

mere siine pe Khushbuu ne sar rakh diyaa
merii baa.Nho.n main puulo.n kii Daalii rahii

Tum meri aankh k tevar naa bhula paaoge
ankahi baat ko samjho ge tau yaad aaunga

hum ne khushiyon ki tarha dukh bhi ikhat.te dekhe
safha_e_zeest ko palto ge tau yaa aaunga

iss judaai main tum andar se bikhar jaaoge
kisi maazoor ko deko ge tau yaad aaunga

issi andaz main hote the mukhaatib mujh se
khat kisi aur ko likho ge tau yaad aaunga

meri khushboo tumhe khole gi gulaabon ki tarha
tum agar khud se naa bolo ge tau yaad aaunga

sard raaton k mehekte hue sannaton main
jab kisi phool ko chumoge tau yaad aaunga

aaj tau mehfil_e_yaaraan pe ho maghroor bohat
jab kabhi toot k bikhroge tau yaad aaunga

ab tau ye ashk main honton se chura leta hoon
haath se khud inhe poonchhoge tau yaad aunga

shawl pehnaaega ab kon december main tumhe
baarishon main kabhi bhigo ge tau yaad aunga

haadse aaenge jeevan main tau tum ho k nidhaal
kisi deevaar ko thaamoge tau yaad aunga

iss shaamil hai mere bakht ki taariki bhi
tum SIYAAH rang jo pehnoge tau yaad aunga

KABI NAZRAIN MILLANY MEIN ZAMANE BEET JATE HAIN
KABI NAZRAIN CHURRANY MEIN ZAMANE BEET JATE HAIN

KISSI NE ANKH BHE KHOLLI TO SONEY KI NAGRI MEIN
KISSI KO GHAR BANANE MEIN ZAMANE BEET JETE HAIN

KAI KALI SIAH RAATAIN HAMAIN IK PAL KI LAGTI HAIN
KABI IK PAL BITANE MEIN ZAMANE BEET JATE HAIN

KABI KHULA DARWAZA KHARRI THE SAMNE MANZIL
KABI MANZIL KO PANE MEIN ZAMANE BEET JATE HAIN

IK PAL MEIN TOOT JATE HAIN UMER BHAR K RISHTAY
WO RISHTAY JO BANANE MEIN ZAMANE BEET JATE HAIN

ab tak terey fitney hen salamat, usey kehna.
yawar! sar-e-mehshar b qayamat usey kehna.

aey hum-nafaso! mehw-e-ghum-e-jaan hen abi tak.
aen ge sar-e-koo-e-malamat usey kehna.

ik wo hi nahi tark-e-ta’alluq pe pasheman.
he ahl-e-wafa ko b nadamat usey kehna.

aey dil-zadgaan! maut he izhar-e-tamanna.
wo but ho khuda b to khuda mat usey kehna.

har-chund faraz in dino ma’atoob he phir b.
halaat ka mara he, bura bat usey kehna..

Dil Ney Tnaha Jhaili Raat
Hijr Ke Raat, Sahaili Raat
Dinn Waley Kub Booj Sakkay
Mushkil Shaam Pahaili Raat
Ikk Safa Ke Tashreehien! !
Chand,chakkor,chanbaili,raat
Din Apney Har Dad Ka Dost
Iss Ke Aik Sahaili Raat
Ikk Sunsan Nagar Har Saans
Ikk Veraan Hawaili Raat
Iss Ka Roop " Harr " Ke Dhoop
Meri Sad Hathaili Raat
Iss Ke Aankh Se Chhalke Sham
Uss Ke Zulf Se Khaili Raat
Muhsin K Anjaam K Naam! !
Hijr Ke Nae Nawaili Raat

kasa lagta ha

khirkhi se barish ki bonde takna

apne ap ko in bondoon ki nazar kerna

kasa lagta ha

jb bijli zor se karak ker apne guse ka izhar kerte ha

or jwab main badal hans ker use manata ha

in ahsasat main jeena

kasa lagta ha

bolo kasa lagta ha

barish ka sang ankh macholi khalna

kasa lagta ha

Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Samaa Kar Chaley Gaye
Khwaabida Zindagi Thi Jaga Kar Chaley Gaye

Chehrey Tak Aasteen Woh Laa Kar Chaley Gaye
Kya Raaz Tha Ki Jiss Ko Chipa Kar Chaley Gaye

Rag Rag Mein Iss Tarah Woh Sama Kar Chaley Gaye
Jaisey Mujh Hi Ko Mujh Say Chura Kar Chaley Gaye

Aaye Thay Dil Ki Pyaas Bujhaaney Ke Waastey
Ikk Aag Si Woh Aur Lagaa Kar Chaley Gaye

Lab Thar-thara Ke Rah Gaye Lekin Woh Aey "Jigar"
Jaatey Huwey Nigaah Mila Kar Chaley Gaye ….!

Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gain Kisi Rooz

Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gain Kisi Rooz

ALLAH Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gain Kisi Rooz

Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gain Kisi Rooz

Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gain Agar Lout Hi Ayein Gain Kisi Rooz

Apnay Sittam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gain Kisi Rooz

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments