The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
Main Sun us ki Sab Batain…
Faqt Itna hi Kehta hon…..
Khafa hona….
Mana Lena…..
Ya Sadiyoon se Riwayat ha…..
Muhabbat ki Aalamat ha…
Gilaay Shikway karo muj se………..
Tumhain Yara Ijazat ha……
Magr ik bat meri b…
Zara Tum yad rahk lena……
Kabhi aisa b hota ha………
Hawayin Rukh Badalti hain….
Khazain loat ati hain…
Khatain ho hi jati hain….
Khata hona b Mumkin ha…
Khafa hona b mumkin ha….
Hamesha Yad rahkna Tum….
Taluq Rooth Jany se Kabi Toot nahi Karty………
Dehki ha us ki ankhoon main Naami…..
Yun lagta ha jasey Samandar udass ho…
Tum Rooth jao muj se…
Aisa Kabi na karna…..
Main ik Nazar ko tarsoon………
Aisa Kabi na karna…..
Main Poouch Poouch Harooon…
So so Sawal Karon……
Tum Kuch Jawab na do….
Aisa Kabi na karna…..
Muj se hi Mil kay hansna….
Muj se hi Mil kay rona……..
Muj se Bichaar Ka ji Lo…
Aisa Kabi na karna…..
Tum Chand Ban Kr Rehna……..
Hum Dehktay Rahin gay…
Tum Kisi Roz Na Niklo..
Aisa Kabi na karna…..
Tum chaly jao gay tu
Dehkain gay Tumhara rasta..
Tum loat kr na aaoo…
Aisa Kabi na karna……
Tum ko tu ye sawan ki ghata kuch nahi kahti,
Hum sokhta logon ko ye kya kuch nahi kehti,
Ho lakh koi shoor machata howa moasam,
Dil chup ho tu bahar ki fiza kuch nahi kehti,
Kyon rait pe bethe ho jhokaye hoye sar ko,
Kya tum ko samundar ki hawa kuch nahi kehti,
Pocha k shakait to nahi ha use hum se,
Ahista se qasid ne kaha “kuch nahi kehtiâ€
Tang aa k ye pocha “dam rukhsat koi jumlah?â€
Qasid ne kaha “ keh tu chukka- Kuch nahi kehtiâ€
A nukta dard! Yeh to batao k sar shab
Kya shama froozan se hawa kuch nahi kehti
Kaise kahain k jaan se pyara nahi raha,
Ye aur baa tab woh hamara nahi raha,
Ansoo tere b khushk hoye aur mere b,
Nam ab kisi nadi ka kinara nahi raha,
Kuch din tumhare laot k ane ki aas thi,
Ab us umeed ka b sahara nahi raha,
Reste Meh-o-Najoom k tabdeel ho gye,
In khidkiyon main aik b tara nahi raha,
Samjhe the dosron se bohat mukhtlaf tujhe,
Kya maan lain k tu b hamara nahi raha?
Hathon pe bujh gai ha muqaddar ki kehkshan,
Ya rakh ho gya woh sitara nahi raha,
Tum aitbar is k lye kyon udas ho,
Ik shakhs jo kabi b tumhara nahi raha
Tere jaisa mera b halt ha, na skoon tha na qrar tha,
Yahi umar thi mere hamnasheen k kisi se mujh ko b pyar tha,
Main samjh raha hon teri kask, tera mera dard ha mushtrak,
Isi gum ka tu b aseer ha, isi dukh ka mai b shikar tha,
Faqt aik dhun thi k raat din isi khawab zaar main guum rahain,
Woh saroor aisa saroor tha, woh khumar aisa khumar tha,
Kabi lamha bhar ki b guftgu meri us k saath na ho saki,
Mujhe furstain nahi mil sakin, woh hawa k rath pr swart tha,
Hum ajeeb tarz k log the k hamare aur he rog the,
Main khazan main us ka tha muntzar, use intzar bahar tha,
Use padh k tum na samjh sake k meri kitab k roop main,
Koi qarz tha kai saal ka, kai rat jogoon ka udhar tha
Mujhe khyal thay na qayas thay wohi log mujh se bichad gye,
Jo mhaboton ki asas thay wohi log mujh se bichad gye,
Jinhain manta he nahi ye di, wohi log hain mere hain humsafar,
Mujhe hr tarha se jo raas thay, wohi log mujh se bichad gye,
Mujhe lamha bhar ki rafaqton, k srab aur staien ge,
Meri umar bhar ki jo pyas thay wohi log mujh se bichad gye,
Yeh khyal sare hain aarzi, ye gulab sare hain kagzi,
Gul aarzo ki jo baas thay wohi log mujh se bichad gye,
Jinhain kr ska na qabol main, woh sharik rah-e-safar hoye,
Jo merit alb, meri aas thay wohi log mujh se bichad gye,
Meri dadhknon k qreeb thay, meri chah thay, mera khawab thay.
Woh jo roz-o-shab mere pas thay wohi log mujh se bichad gye
Tumhe jab kabi milain furstain mere dil se bhoj utar do,
Main bohat dinon se udas hon mujhe koi sham udhar do,
Mujhe apne roop ki dhop do ke chamak sakain mere khal-o-khad,
Mujhe apne rang main rang do mere sare zang utar do,
Kisi aur ko mere haal se na garz ha koi na wasta,
Main bikhr gya hon smait lo, main bigad gya hon sanwar do,
Meri wehshton ko badha dya ha jodaion k azab ne,
Mere dil pe haath rakho zara meri dadhknon ko qrar do,
Tumhe subhu kaisi lagi, kaho, meri khawahshon k dyar ki,
Jo bhali lagi to yahi raho, ise chahton se nikhar do,
Wahan ghar main kon ha muntzar k ho fikar dair sawair ki,
Badi mukhtsar si ye raat ha isi chandni main guzar do,
Koi baat krni ha chand se kisi shakhsar ki oot main,
Mujhe raste main yahin kahin kisi kunj gul main utar do
khusbo’on ki tarha meri har saans main
piyar apna basanay ka wada karo
ranng jitnay tumhari mohabbat kay hain
meray dil main sajanay ka wada karo
hai tumhari wafaon pay mujko yakeen
phir bhi dil chahta hai meray dil nasheen
yoonhi meri tasali ki khatir zara
mujko apna bananay ka wada karo
jab mohabbat ka iqrar kartay ho tum
dhadkanoon main naya rang bhartay ho tum
baarha kar chukay ho, magar aj phir
mujhko apna bananay ka wada karo
sirf lafzoon say iqrar hota nahi
ik janib say hi piyar hota nahi
main tumhain yaad rakhnay ki khaon qasam
tum mujko na bhulanay ka wada karo
Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia
Kaaghaz Pay Shaam Kaat Kay Phir Shaam Likh Dia
Bikhri Pari Thi Toot Kay Kaliyaan Zameen Per
Tarteeb Day Kay Mein Nai Tera Naam Likh Dia
Aasan Nahi Thi Tark-E-Mohabbat Ki Dastaan
Jo Aansoon Nay Aakhr nakaam Likh Dia
Allah! Zindagi Say Kahan Tak Nibhaoon Mein
Kay Bewafa muhabat main Mera Naam Likh Dia
Taqseem Ho Rahi Thi Khudai Ki Naimatein
Ik Ishq Bach Gaya So Mere Naam Likh Dia
Kisi Ki Dain Hai Yeh Shairi Meri
Iski Ghazal Pay Jiss May Mera Naam Likh Dia
Seene main dhadkta ek chota sa dil hai, Dil main ek armaan rakha hai
Armanoo main meri jindagi
tumharee pyar ke sahare
Pyar ka naam phir jaan rakha hai.
Mehak jata hai jevan tere laboo ki hansi ke sath
Hansi main jeene ka mukam rakha hai
Mukam hasil hua jo aaye tum bahar ban ker
Bahar ka naam phir jaan rakha hai
Jane kyoo madosh ho jatee hai
teri bahoo main aaker
Bahoo main teri nasha tamam rakha hai
Nasha milta hai teri jheel si sharmai aankho main
Aankho ka naam phir jaam rakha hai
Jism jab ban jati hair ruh, ruh ko phir milta hai khuda
Khuda tuje humdam khud ko insaan rakha hai
Insaan hu tou darr jata hu ,sochker tujse judai ki baat
Judai ka naam jindagi ki aakhri sham rakha hai.