The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
Wo bazaahir jo zamaanay say khafaa lagtaa hai
Hans kay bolay bhee to dunyaa say jodaa lagtaa hai
Aur kuch dair na bojhnay day issay Rabb-e-sahar
Doobtaa chaand, meraa dast-e-du’aa lagtaa hai
Jiss say moo(n) p’hair kay rastay kee hawaa gozree hai
Kissi ojray howay aangan kaa diyaa lagtaa hai
Ab kay saawan main bhee zardee na gayee chehro(n) kee
Aisay mausam main to jungle bhee haraa lagtaa hai
Shehr kee bheer main k’holtay hain kahaan uss kay nakoosh
Aao tanhayi main sochai(n) keh wo kyaa lagtaa hai ?
Moo(n) ch’hopaayay howay guzraa hai jo ehbaab say aaj
Uss kee aank’ho(n) main koyee zakhm nayaa lagtaa hai
Ab to Mohsin kay tasawwor main otar Rabb-e-Jaleel
Iss odaasee main to pat’har bhee Khodaa lagtaa hai
Yunhi be-sabab na phira karo,koi shaam gher bhi raha karo
Wooh ghazal ki sachi kitab hai isse chupke chupke parha karo
Koi haath bhi na milae ga jo gale milo ge lapak ke
Yeh nae mizaj ka shaher hai zara faasle se mila karo
Abhi raah mein kae mor hain koi aae ga koi jae ga
Tumhain jis ne dil se bhula diya usse bhoolne ki dua karo
Mughe ishtiar se lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan
Jo kaha nahi wooh suna karo,jo suna nahi wooh kaha karo
Kabhi husun parda nashin bhi ho zara ashiqana libas mein
Jo mein ban-sanwar ke kahin chaloon mere saath tum bhi chala karo
Nahi be-hijab wooh chand sa ke nazar ka koi asar na ho
Isse itni garmi shauq se bari dear tak na takka karo
Yeh khizan ki zad si misal mein jo udas pear ke pass hain
Yeh tumhare gher ki bahar hai isse ansoon se hara karo
^~^~^ CHALO HUM FARZ KARTAY HAIN ^~^~^
Chalo Hum Farz Kartay Hain
Vohi Baatein
Jo Dunya Mein Nahi Hoti
Chalo Hum Farz Kartay Hain
k Har Soo Noor Phaila Hay
Na Din Mein Chaya Sannata
Na Raaton Mein Andhera Hay
Na Sooraj Shab Mein Sota Hay
Na Din Mein Chand Khota Hay
Hay Har Dil Roshnee Se PurNoor
Aur Aankhon Mein Ujalay Hain
Chalo Hum Farz Kartay Hain
k Har Mousam Baharaa Hay
Khizaa Mein Phool Khiltay Hain
Nigahein Rangoo Se Nahati Hain
Guloon Ki Khushboo Se
Sab Nazaary Muattar Hain
Parinday ChehChaty Hain
Khushi k Geet Gatay Hain
Chalo Hum Farz Kartay Hain
k Har Dil Mein Muhabbat Hay
Kahin Jaghrray Nahi Hotay
Na Barish Dukh Ki Hoti Hay
Na Aandhi Gham Ki Chalti Hay
Na Nafrat Phaans Banti Hay
Hain Sabhi Chehroon Pe Muskanein
Kahin Jaghrray Nahi Hotay
Chalo Hum Farz Kartay Hain
k Gham Khushion Se Behtar Hain
Chalo Hum Farz Kartay Hain
Yeh Dunya Tum Se Behtar Hay
Zara Thehro…… ..
Magar Hum Farz Kiun Kar Lein
Yakeen Mujh Ko Batata Hay
Haqeeqat To Haqeeqat Hay
Main Sab Kuch Jaan Sakta Hoon
Na Sooraj Shab Mein Chamkay Ga
Na Din Mein Chand Niklay Ga
Khizaa Mein Gul Nahi Khiltay
Yeh Nafrat Mar Nahi Sakti
Na Gham Khushion Se Behtar Hain
Na Dunya Tum Se Behtar Hay
Hay Dunya Ki Haqeeqat Kya
Faqat Ik Tum Hi Achay Ho
Jahanoo Se Zamanoo Se
Makanoo La Makanoo Se
Yeh Sab Kuch Hay Vohi
Jo Iss Dunya Mein Hota Hay
To Phir Hum Farz Kiun Kar Lein
k Dunya Tum Se Behtar Hay
Nahi…..
Faqat Ik Tum Hi Achay Ho…!!!
Mani
Hamare Darmyan Be-Sood Deewar-e-Kadurat hai
Tujhe Meri Zururat hai, Mujhe Teri Zururat hai
Hum apni Fitraton mai Dar-Guzar karne ki Khood dalein
Hamesha Saath rehne ki bas ek Surat hai
Kabi jis k lye Hukm-e-KhudaAadam ne tora tha
Wo Gandoom aaj b Insaan ki Pehli Zururat hai
Falak-Zaaro! ! Tumhari Jag-Magati Kehksha’on se
Meri Zameen ki ye Tairgi b Khubsurat hai
Tujhe Tanveer uski Qurbat tor dalegi!
Tera Mann Kaanch ka aur Wo Pathar ki Murat hai
Hum Kaise Pagal Hotey Thay"
Aik Phool Ko Chunay Ke Khaatir
Kaantoan Say Zakhmee Hotey Thay
Jo Phool Jhooli Main Aa Girtaa
Ussay Chunay Say Dar Jaatey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Kay Dhundalay Aaino Main Apna
Hum Aks Sa Dhoonda Kartey Thay
Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki
Muthi Main Daba Kar Rakhtey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Sarak Per Chalna Hota Tha
Hum Kashti Lay Kar Chaltey Thay
Aur Beech Bawar Janay Ke Liye
Hum Pedal Nikla Kartey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Barish Barsa Karti Thi
Hum Chatri Main Chhup Jaatey Thay
Aur Jalti Dhoop Main Nanggay Sir
Hum Chhut Per Uchla Kartey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Pass Bohat Wo Hota Tha
Hum Us Ko Dekh Na Saktey Thay
Jab Dur Chala Jata Tha Wo
Hum Ahhat Us Ki Suntey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Sari Duniya Soti Thi
Hum Chand Say Khaila Kartey Thay
Jab Sari Duniya Jaag Uthi
Hum Phir Thak Kar So Jatay Thay
Hum Kitney Pagal Hotey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain
Hum Aaj Bhi Waise Pagal Hain
Jo Mare Ankhon Se
Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay
Ke Laakh Chaho Na Hans sako gay
Hazaar chaho na Ro Sako gay’
Ke Khuaab kya hain Azaab Hain ye
Mere Dukhon ki kitaab hain ye
Rifaqatain In main Chotti hain
Mohabbatain in main Roothti hain
Pinapti Hain In main Vahshatain see
Azyatain In main Photti hain
Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay
Un hi se shakhain see tot’ti hain
Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere
Ahal Raha hai Dukhon ka Lava
Rahen Aatish hain khuaab Mere
Khayal sare Jhulaas gay hain
Sulagti Khuahish hain khuaab Mere
Ukharrti Sansain hain Zindagi ki
Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere
Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay
Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,
Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho
Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho
Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho
Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho
To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho
kabhii saayaa hai kabhii dhuup muqaddar meraa
hotaa rahataa hai yuuN hii qarz baraabar meraa
TuuT jaate hain kabhii mere kinaare mujh men
Duub jaataa hai kabhii mujh men samandar meraa
kisii saharaa men bichhaD jaayenge sab yaar mere
kisii jangal men bhaTak jaayegaa lashkar meraa
baavafaa thaa to mujhe puuchhane vaale bhii na the
bevafaa huuN to huaa naam bhii ghar ghar meraa
kitane haNsate hue mausam abhii aate lekin
ek hii dhuup ne kumhalaa diyaa manzar meraa
aaKhirii jur’a-e-pur_kaif ho shaayad baaqii
ab jo chhalakaa to chhalak jaayegaa saaGar meraa
Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein
Mairi Manzilon Ke Hasool Mein Teri Raah Aaye To Kya Keroon
Jo Pukaarta Tha Her Aik Gharri Jo Jurra Tha Dil Say Larri Larri
Koi Shaks Aisa Ager Kabhi Mujhey Bhool Jaye To Kya Keroon
Kabhi Saath Tha Jo Ke Doo-ba-Doo Tha Humeisha Mairey Hi Roo-ba-Roo
Jo Barrha Raha Tha Qadem Mairey Woh Hi Dagma jaye To Kya Keroon
Woh Charaagh-e-Dar Jo Jala Kabhi Main Bujha Chuka Hoon Mager Kabhi
Ke Bujha Huwa Bhi Diya Ager Maira Ghar Jalaye To Kya Keroon
Mainey Aks Tak To Mitta Diye Sabhi Aainey Bhi Chupa Diye
Tujhey Daikhta Koi Door Say Mairey Pass Aaye To Kya Keroon
Phool ashkon k in aankhon main piro bhe na sakay
tujh se bichray tu teray saamnay ro bhe na sakay
tu juda ho k bhe pal bhar ko nahi hum se juda
tujh ko pa bhe na sakay hum tujhay kho bhe na sakay
saath chota tu zabanou ka bharam bhe tota
kitnay nashtar thay k jo loog chabho bhe na sakay
dushman-e-jan sahi ye sooch k insan tu hai
haq main dushman k bhe kaantay kabhi hum bou na sakay
ishq main ho ga sakon "Bazm"kise ko hasil
hum tu dam bhar kabhi araam se so bhe na sakay