The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Urdu Ghazal’ Category


Ae Maa Mujhe sona Hai
Ae Maa Mujhe sona Hai

Teri Godd Main ser rakh k
Mujhe Khoob Rona Hai

Mehsus kar k tera Lams
Muje Tujh Main Samona Hai

Kissi sheh ki talab nahi
Tera Haath hi mera Khilona Hai

Janey ka woh pal , Socha
Mujhe Tumhain bhi Khona Hai

Dayyar Ghair Main kuch nahi
Mujhe Tere Saath hona Hai

Dekhti Hun kamyabi ka Haaar
doori k pal pal pironaa hai

khatam kar k fasley sab
Tanhai k yeh ghum dhona hai

"Kainat" , Tu samajh na Payii Gi
Jaa Ro , WOHi Tera Konaa Hai

Kaisay sukoon paaon tujhe dekhnay ke baad
Abb kyaa Ghazal sunaao tujhe dekhnay ke baad
Aawaaz dey rahii hai merii zindagii mujhe
Jaaon main yaa naa jaaon tujhe dekhnay ke baad
Kaabay kaa ehataraam bhii merii nazar main hai
Sar kis taraf jhukaaon tujhe dekhnay ke baad
Terii nigah-e-mast ne makhmoor kar diyaa
Kyaa maikaday ko jaaon tujhe dekhnay ke baad
Nazaron main taab-e-diid hii baaqii nahii rahii
Kis se nazar milaaon tujhe dekhnay ke baad

Ae Maa Mujhe sona Hai
Ae Maa Mujhe sona Hai

Teri Godd Main ser rakh k
Mujhe Khoob Rona Hai

Mehsus kar k tera Lams
Muje Tujh Main Samona Hai

Kissi sheh ki talab nahi
Tera Haath hi mera Khilona Hai

Janey ka woh pal , Socha
Mujhe Tumhain bhi Khona Hai

Dayyar Ghair Main kuch nahi
Mujhe Tere Saath hona Hai

Dekhti Hun kamyabi ka Haaar
doori k pal pal pironaa hai

khatam kar k fasley sab
Tanhai k yeh ghum dhona hai

"Kainat" , Tu samajh na Payii Gi
Jaa Ro , WOHi Tera Konaa Hai

Kaisay sukoon paaon tujhe dekhnay ke baad
Abb kyaa Ghazal sunaao tujhe dekhnay ke baad
Aawaaz dey rahii hai merii zindagii mujhe
Jaaon main yaa naa jaaon tujhe dekhnay ke baad
Kaabay kaa ehataraam bhii merii nazar main hai
Sar kis taraf jhukaaon tujhe dekhnay ke baad
Terii nigah-e-mast ne makhmoor kar diyaa
Kyaa maikaday ko jaaon tujhe dekhnay ke baad
Nazaron main taab-e-diid hii baaqii nahii rahii
Kis se nazar milaaon tujhe dekhnay ke baad

Kaisay kaisay haadsay sehtay rahay
Hum yun hii jiite rahe hanstay rahay

Us ke aa jaanay kii ummiiden liye
Raastaa murr murr ke hum taktay rahay

Waqt to guzaraa magar kuchh is tarah
Hum chiraghon kii tarah jaltay rahay

Kitanay cheharay thay humaaray aas-paas
Tum hii tum dil main magar bastay rahay…!!!

kahii.n aisaa naa ho daaman jalaa lo
hamaare aa.Nsuo.n par Khaak Daalo

manaanaa hii zaruurii hai to phir tum
hame.n sab se Khafaa hokar manaa lo

bahut ro_ii hu_ii.n lagatii hai.n aa.Nkhe.n
merii Khaatir zaraa kaajal lagaa lo

akelepan se Khauf aataa hai mujh ko
kahaa.N ho ai mere Khvaabo.n Khayaalo.n

bahut maayuus baiThii huu.N mai.n tum se
kabhii aakar mujhe hairat me.n Daalo

kabhii youn bhii to ho
dariyaa kaa saahil ho
poray chaand kii raat ho
"aur tum aao"

kabhi youn bhii to ho
pariyon kii mehfil ho
koii tumharii baat ho
"aur tum aao"

kabhii youn bhii to ho
ye narm mulaayam thandi hawaein
jab ghar say tumhaaray guzrein
tumhaarii Khushbuu churaaye.n
mere ghar lay aaye.n

kabhii youn bhii to ho
soonii har manzil ho
koii na meray saath ho
"aur tum aao"

kabhii youn bhii to ho
ye baadal aisaa toot ke barsay
mere dil kii tarah milnay ko
tumhaaraa dil bhii tarase
tum nikalo ghar se

kabhii youn bhii to ho
tanahaaii ho, dil ho
boondein hoon, barsaat ho
"aur tum aao"

"kabhii youn bhii to ho

Kabhii youn bhii aa merii aankh main ke merii nazar ko Khabar na ho
Mujhe ek raat navaaz dey magar uskey baad sehar na ho

Wo bara rahiim-o-kariim hai mujhey ye sifaat bhii ataa karey
Tujhey bhulaney kii duaa karon to duaa main merii asar na ho

Mere baazuon main thakii thakii , abhii mehaw-e-Khwaab hai chaandnii
Na uthay sitaaron kii paalkii, abhii aahaton kaa guzar na ho

Ye Ghazal ki jaisey hiran kii aankhon main pichhalii raat kii chaandnii
Naa bujhey Kharaabe kii roshanii, kabhii becharaag ye ghar na ho

Wo firaaq ho yaa visaal ho, terii yaad mehkegii ek din
Wo gulaab ban ke khilegaa kyaa, jo chiraag ban ke jalaa na ho

Kabhii dhoop dey, kabhii badliyaan, dil-o-jaan se dono qabool hain
Magar us nagar main na qaid kar jahaan zindagii kii hawaa na ho

Kabhii din kii dhoop main jhoom ke kabhii shab ke phool ko choom ke
Youn hii saath saath chalein sadaa kabhii Khatam apanaa safar na ho

Mere paas mere habeeb aa zaraa aur dil ke qariib aa
Tujhe dharkano main basaa loon main ke bichharnay kaa kabhii Dar na ho

jala kay tu bhi agar asra na day mujhko
yeh khauf hai kay hawa phir bujha na day mujhko

main is khayal say mur mur kay dekhta hun ussay
bichar kay woh bhi kahin phir sada na day mujhko

fiza-e-dasht agar ab main ghar ko yaad karun
woh khak uray kay hawa rasta na day mujhko

bus is khayal say main shab bhar soo nahi sakta
kay khauf-e-khuwab-e-gushta jaga na day mujhko

teray bagair teri tarha main zinda rahun
yeh hosla bhi dua kar khuda na day mujhko

main is liye bhi ussay khud manaoo ga MOHSIN
kay mujhsay roothnay wala bhula na day mujhko

Muhabbat ki aseeri say rahaye mangtay rehna
Buhat asaa nahi hota judaye mangtay rehna

Zara sa ishq karlena,zara se ankh bhar lena
Iwaz iskay magar sari khudaye mangtay rehna

Kabhi mehroom honton par dua ka harf rakh dena
Kabhi wehsht main iski narasaee mangtay rehna

Wafaoon kay tasalsul say muhabbat rooth jati hai
Kahani main zara si bewafaye mangtay rehna

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay aadat hogaye dil ki
Sakoot-e-shaam-e-gham say hum nawaye mangtay rehna

Kabhi buchay ka nanhay haath par titli kay par rakhna
Kabhi phir uskay rangon say rahaye mangtay rehna!! 

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments