The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
Kisi ki bewafai bais-e-herat nahi hoti
Zara sa dil to dukhta he magar shiddat nahi hoti
Bohat khud ko jalata hoon ye barson ki riazat hai
Meray andar ki lekin door ye zulmat nahi hoti
Yeh dukh hai keh kisi ne bhi hamen dil say nahi chaha
Zara sa piyar mil jata to yeh halat nahi hoti
Zamin-o-aasmaan main ik ta’alluq to he sadyoon say
magar paida kahin bhi rabt ki soorat nahi hoti
Ajab hi falsfa hai yeh ameeri aur gharibi ka
ke umrain sarf ho jati hain kum ghurbat nahi hoti
Bohat sey khoob chehray hain bohat si dilruba nazrain
Teray honay se hoti thi jo kefiiat nahi hoti
Hawala jab talak tera na aa jaye kahin in main
meray sheron main peda tab talak jiddat nahi hoti
Teray gumnaam mar janay main AZHAR kya buraie hay
ke har insaan ki qismat main to shohrat nahin hoti
jo kat gayee us raat kaa maatam nahein karnaa
jo kho gayaa us pal kaa Zaraa Gham nahein karnaa
ik aur nayee Subh kaa sooraj hai ufaq par
aankh apnee gaye vaqt par tum nam nahein karnaa
maanaa keh bohat dukh thay yahaan pichle pehar men
maanaa keh Khushee Doob gayee Gham ke bhanwar men
maanaa keh katee raat bhee ashkon kay safar men
maanaa keh sabhee Khwaab bahe deedah-e-tar men
lekin yeh Haqeeqat hai keh hotaa bhee vohee hai
hanstaa hai jo kal, Subh ko rotaa bhee vohee hai
sach Zehr hai lekin use peenaa hee pare gaa
hanstay huye tum ko yahaan jeenaa hee pare gaa
ik u’mr bitaayee hai to ik u’mr hai baaqee
maloom naheen kitnee rahe kal mai-e-saaqee
haan! apne liye Khud se tumhen larnaa pare gaa!
raushan yeh andheron kaa nagar karnaa pare gaa!
ab Subh nayee door naheen! yaad rakho tum
Khwaabon ko ujaalon kaa safar karnaa pare gaa!
DYAR NO MAIN TEERA SHABON KA SATHI HO
KOI TU HO JO MERI WEHSHATON KA SATHI HO
MAIN US SAY JHOOT BHI BOLON WO MUJH SAY SUCH BOLAY
MERAY MIZAJ K SUB MOSUMON KA SATHI HO
WO MERAY NAAM KI NISBAT SAY MUTABAR TEHRAY
GALI GALI MAIN MERI RUSWAION KA SATHI HO
MAIN US K HAATH NA AON WO MERA HO K RAHAY
MAIN GIL PARON TU MERI PASTION KA SATHI HO
WO KHUWAB DAIKHAY TU DAIKHAY MERAY HAWALAY SAY
MERAY KHAYAAL K SUB MANZARON KA SAATHI HO
BURAY WAQAT MAIN NA RAHAY KHINCH KAR NASIR
HASEEN SAATON MAIN UMAR BHAR KA SAATHI HO
a.nga.Daa_ii bhii vo lene na paaye uThaa ke haath
dekhaa mujhe to chho.D diye muskuraa ke haath
besaaKhtaa nigaahe.n jo aapas me.n mil ga_ii.n
kyaa muu.Nh pe us ne rakh liye aa.Nkhe.n churaa ke haath
vo zaanuo.n pe siinaa chhupaanaa simaT ke haay
aur phir sambhaalanaa vo dupaTTaa chhu.Daa ke haath
denaa vo us kaa saaGar-e-may yaad hai "Nizam"
muu.Nh pher ko udhar ko idhar ko ba.Dhaa ke haath
Eik Hawa Ka Jhonka Janay Kya Kuch Keh GaYa
Eik Bhatka hOa Musafir Jaisay Tanha Reh GaYa…
Karain Gey Kya Gilla Kisi sE Ab Hum…
Kinara Hai Na kOi, Bas Eik Bhanwar Reh GaYa
Khuda Samjha Tha,Kisi kO Main Ne Bhi Apna
Woh Buut Tha, Yaa Eik Saraab Kuch Bhi Na Reh GaYa…
Kehna ChahOn Bhi Tu Kisi sE Ab Kya KahOn…
LafzOn Ka Tu Eik Jaisay KhAli Makaan Reh GaYa…
Akaili rEh Gai Hai Iss Purr AshOOb Dour Mein
Koi Hamsafar Nahi , Bas Eik SaYa sa Reh GaYa
Jis simt bhii dekhoon nazar aataa hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaa ye koii tum saa hai ke tum ho
Ye Khwaab hai, Khushboo hai, ke jhonkaa hai, ke pal hai
Ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
Is diid kii saaat mein kaii rang hain larazaan
Main hoon ke, koii aur hai, duniyaa hai, ke tum ho
Dekho ye kisii aur kii aankhein hain ke merii
Dekhoon ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho
Ye umr-e-gurezaa kahiin tehray to ye jaanoo
Har saans mein mujh ko ye lagtaa hai ke tum ho
Har bazm mein mauzuu-e-suKhan dil zad_gaan kaa
Abb kaun hai, farhaad hai, ke majnoo hai, ke tum ho
Ek dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke main hoon
Ek mauj mein aayaa huaa dariya hai ke tum ho
Wo waqt na aaye ke dil-e-zaar bhii sochey
Is shehar mein tanhaa koii hum saa hai ke tum ho
Ae jaan-e-’Kainat’ itnii bhii taufeeq kisey thii
Hum ko Gam-e-hastii bhii gawaaraa hai ke tum ho
tapti hui raahon pe phiraaya mujhe din bhar
yoon tere tasawur ne sataya mujhe din bhar
dil main wo kasak chorr gaya subha ka taara
ik lamha bhi aaraam na aaya mujhe din bhar
weeraan bayabaan main,kabhi ujrray gharon main
phirta raha lay kar tera saaya mujhe din bhar
deti rahi chaandni shab bhar mujhe aawaaz
sooraj ne bhi reh reh k bulaaya mujhe din bhar
har simt bhare sheher thay kiya jaaniye phir bhi
tanhaaii k ehsaas ne khaaya mujhe din bhar
lehje main ghani chhaaon k,paton ki zubaan main
payrroon ne tera haal sunaaya mujhe din bhar
ik pal main hi batlaa gaiin dam torrti kirnen
wo raaz jo aey "Sham" na paaya mujhe din bhar
Jo log jaan buujh ke naadaan ban gaye
Meraa Khayaal hai ki wo insaan ban gaye…
Hum hashr mein gaye magar kuchh na puuchhiye
Vo jaan buujh kar wahaan anjaan ban gaye…
Hanstey hain hum ko dekh key
Hum aap kii mizaaj kii pahachaan ban gaye..
Majhdhaar tak pahunchnaa to himmat kii baat thii
Saahil key aas paas hii tuufaan ban gaye…
Insaaniyat kii baat to itnii hai jii
Bad_qismatii se aap bhii insaan ban gaye…
Kaantein bahut thay daaman-e-fitrat mein ae "Aadam"
Kuchh phool aur kuchh merey armaan ban gaye…
Jab raat ki naagin dasti hai
Nass nass main zehar utarta hai
Jab chand ki kirnain taizi say
Iss dill ko cheer kay aati hain
Jab aankh kay andarr hi aansoo
Zanjeeron main bandh jaatay hain
Sab jazbon parr chaa jaatay ho
Tab yaad bohat tum aatay ho
Jab dard ki jhanjharr bajti hai
Jab raqs ghamon ka hota hai
Khuwabon ki taal pay saaray dukh
Wehshat kay saaz bajatay hain
Gaatay hain khuwahish ki lae main
Masti main jhoomtay jaatay hain
Sab jazbon parr chaa jaatay hain
Tab yaad bohat tum aatay ho