The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
chiTThii aaii hai aaii hai chiTThii aaii hai
chiTThii hai vatan se chiTThii aayii hai
ba.De dino.n ke baad, ham bevatano.n ko yaad
vatan kii miTTii aaii hai, chiTThii aaii hai …
uupar meraa naam likhaa hai.n, a.ndar ye paigaam likhaa hai.n
o parades ko jaane vaale, lauT ke phir naa aane vaale
saat samu.ndar paar gayaa tuu, hamako zi.ndaa maar gayaa tuu
khuun ke rishte to.D gayaa tuu, aa.Nkh me.n aa.Nsuu chho.D gayaa tuu
kam khaate hai.n kam sote hai.n, bahut zyaadaa ham rote hai.n,
chiTThii …
suunii ho gaI.n shahar kii galiyaa.N, kaa.nTe ban gaI.n baag kii kaliyaa.N
kahate hai.n saavan ke jhuule, bhuul gayaa tuu ham nahii.n bhuule
tere bin jab aaii diivaalii, diip nahii.n dil jale hai.n khaalI
tere bin jab aaii holii, pichakaarii se chhuuTii golii
piipal suunaa panaghaT suunaa ghar shamashaan kaa banaa namuunaa
fasal kaTii aaii baisaakhii, teraa aanaa rah gayaa baakii,
chiTThii …
pahale jab tuu Kat likhataa thaa kaagaz me.n cheharaa dikhataa thaa
ba.nd huaa ye mel bhii ab to, khatam huaa ye khel bhii ab to
Dolii me.n jab baiThii bahanaa, rastaa dekh rahe the nainaa
mai.n to baap huu.N meraa kyaa hai, terii maa.N kaa haal buraa hai
terii biivii karatii hai sevaa, suurat se lagatii hai.n bevaa
tuune paisaa bahut kamaayaa, is paise ne desh chhu.Daayaa
pa.nchhii pi.njaraa to.D ke aajaa, desh paraayaa chho.D ke aajaa
aajaa umar bahut hai chhoTii, apane ghar me.n bhii hai.n roTii,
chiTThii
MASOOM MOHABBAT
MASOOM MOHABAT KA BAS ITNA FASANA HAI…….
KAGAZKI HAVELI HAI BARISH KA ZAMANA HAI….
KYA SHART E MOHABAT HAI KYA SHART E ZAMANA HAI ….
AWAZ BHI ZAKHMI HAI OR GEET GHI GANA HA I…
US PAAR UTARNAY KI UMEED BUHAT KAM HAI …
KASHTI BHI PURANI HAI TOFAN KO BHI ANA HAI ….
SAMJAY YEH NA SAMHAY WO ANDAZ MOHBAT K…
AK SHAKHS KO ANKHON SE AK SHAIR SUNANA HAI…
BHOLI SE ADA KOI PHIR ISQ KI ZID PAR HAI ……
PHIR AAG KA DARYIA HAI AUR DUB KAY JANA HAI
Yeh kaisi Majboori?
Maanaa k kuch juda sa hai rishta tera mera
Maanaa k manzil shayud iska haasil nahiN
Faqt kuch hi pal haiN teray-meray
Maanaa k is mauj-e-ishq ka saahil nahiN
Teri zulfoN kay dasht main milay jo chaNd lamhaiN
RiNd ho jauN tab teray laboN ka ras pi kar
Aur doobaa rahuN teray mast nainoN ki waadioN main
God main teri meri jaaN ! sir rakh kar
Uff!shiddat say ho meray aagosh main jab tu
Mil jayay un lamhoN main umr bhar ka saqooN
Teray badan ki khusbu bus jayay saaNsoN main meri
Aur har samt ho teri ulfat ka fasooN
Woh teray chayray par khailtaa tabssum
Woh tera meray paas hona to itraanaa
Woh gaanaa tera meray liyay koi naghmaa
Woh haNstay haNstay teri aaNkhoN ka dubdbaa jaanaa
Farz ki zanjeeroN main jakraa
Teray ankahay swaaloN ka bhi gunhagaar hooN main
Aur sun kar tarap jaataa hooN gehray tak
Tera kehnaa dafaatun k tera pyaar hooN main
Yeh bante toot te rishte..
Yeh bante toot te rishte
Kaya mol hai inka es jeevan mein
Jab chahe bane dost, jab chahe bane dushman
Khele mere jeevan se, yeh nirmohe rishte
Kabhi to bahar aayege
Kabhi to zindagi muskurayege
Rote huey hans denge hum
Unke aagosh mei kho jayenge hum
Tootay huey rishton ko jor lena tum
Muskura kar, udassi se daaman chhurana tum
Kabhi jo yaad aaye hamari, utha kar tasveer meri
Meri kavita ke saath hi chhippha (hide) dena tum
jab gardishon mein jaam the
kitane haseen ayyaam the
ham hi na the rusavaa faqat
vo aap bhi bad_naam the
kahate hain kuch arsaa huaa
qaabe mein bhii asanaam the
anjaam kii kyaa sochate
naa-vaaqif-e-anjaam the
ahad-e-javaaniimein "Adam"
sab log gul_andaam the
Jab Namaaz-e-Muhabbat Adaa Kiijiye…
Gair Ko Bhii Shareek-e-Duaa Kiijiye…
Aankh Waaley Nigaahein Churaatey Hain…
Aaiienaa Kyuun Na Ho Saamnaa Kiijiye…
Aankh mein Ashk-e-Ghum Aa Bhii Jaayen To Kyaa…
Chundd Qatrey To Hain, Pii Liyaa Kiijiye…
Aap Kaa Ghar Sadaa Jagamagaataa Rahey…
Raah Mein Bhii Diyaa Rakh Diyaa Kiijiye…
Zer-e-Paa Hain Samandar Kii Gehraaiiyaan…
Abb To Saahil Pey Bhii Tajurbaa Kiijiye…
Majaal hai koi muj say tujhay judaa karay
JahaN bhi jaey gha to maiN tujay sadaa duN ga
Tery ghali main bahut dair say khara huN magar
Kisi nay pooch liya to kia jawaab duN ga
Mery Khamosh nigaahuN ko chashm-e-nam say na dekh
Main ro para to diluN kay tabaq hala dhuN gha
YuhiN udaas raha to main dekhna aik din
Tammam sheher meiN tanhaiyaN bichaa dhuN gha
Yeah paas shuhbat-e-direena koi baat bhi kar
Nazar milla to sehi main tujay duwa dhuN ga
BhulaoN ga na miluN gha na khat likhuN gha tujay
Tery khushi kay liye main tujay bhulla dhuN gha
WO sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch kehna tha.
kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.
kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.
meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.
rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.
ghalat fehmi ne batoun ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.
ab kabhii bolnaa waqt par bolnaa
Muddaton bolnaa mukhtasar bolnaa
Daal degaa halaaqat mein ik din tujhey
Ae parindey teraa shaakh par bolnaa
Pahley kuchh door tak saath chal key parakh
Phir mujhe hum_safar, hum_safar bolnaa
Umr bhar ko mujhe bey-sadaa kar gayaa
Teraa ik baar muu.Nh pher kar bolnaa
Merii Khaanaa-badoshii sey pochhey koii
Kitnaa mushkil hai raastey ko ghar bolnaa
Kyoon hai Khaamosh soney kii chiriyaa bataa
Lag gaiii tujh ko kis kii nazar bolnaa
Bas Itni Si Inaayat Mujh Pe Aik Baar Kijiye
Kabhi Aa Ke Mere Zakhmon Ka Deedaar Kijiye
Ho Jaaiye Begaane Aap Shauq Se Sanam
Aapki Houn Aapki Rahoungi Aitbaar Kijiye
Parhne Waale Hi Darr Jaaen Dekh Kar Isay
Kitaab-E-Dil Ko Itnaa Na Daagdaar Kijiye
Na Majboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaoun
Mujhe Meri Wafaaon Ka Na Gunehgaar Kijiye
In Jalte Diyon Ko Dekh Kar Na Muskuraaiye
Zara Hawaaon Ke Chalne Ka Khayaal Kijiye
Karna Hai Ishq Aapse Karte Rahengay Hum
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkaar,Kijiye
Phir Sapnon Ka Aashiyaan Banaa Liya Hai Maine
Phir Aandhiyon Ko Aap Khabardaar Kijiye
Hamain Na Dekhaaiye Ye Daulatien Ye Shohratien
Hum Pyaar Ke Bhookhe Hain Hame Pyaar Kijiye…..