The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

Archive for the ‘Urdu Ghazal’ Category


Teri Khushboo ka pata karti hai

Mujh pay ehsaan hawa karti hai

Shab ki tanhaii main ab tu aksar
Guftagu tujh say raha karti hai

Dil ko uss rah pay chalna hi nahein
Jo mujhay tujh say juda karti hai

Zindagi meri thii lekin ab tu
Teray kehne mein raha karti hai

Uss ne dekha hi nahein warna ye aankh
Dil ka ehwaal kaha karti hai

Beniyaaz-e-kaaf-e-dariya angusht
Rait per naam likha karti hai

Shaam partay hi kisi shakhs ki yaad
Kucha-e -jaan mein sada karti hai

Mujh say uss ka hai waisa hi suluk
Haal jo tera anaa?? karti hai

Dukh howa karta hai kuch aur bayaan
Baat kuch aur howa karti hai

Abrr barsay tu inaayat uss ki
Shaakh tu sirf duaa karti hai

Masla jab bhi utha chiraagoon ka
Faisala sirf hawa karti hai

Kiya zamana tha kay hum roz mila kartay thay

Raat bhar chaand kay humrah phira kartay thay

Jahaan tanhaiyan sir phorr kay soo jati hain
In makanoo mein ajab log raha kartay thay

Kar deya aaj zamane nay unhain bhi majboor
Kabhi ye log meray dukh ki dawa kartay thay

Dekh kar jo humein chupchaap guzar jata hai
Kabhi is shaks ko hum piyaar kiya kartay thay

Itifaaq-e -zamanabhi ajab hai Nasir
Aaj woh dekh rahay hain jo souna kartay thay

محبتوں کی جو کتاب لکھنا میرا
میرا بھی اس میں حساب لکھنا
جو کب کی نیندیں لٹا چکا ہے
وہ آج بھی ہے بے خواب لکھنا
جو تجھ سے لمحے چرا لیے تھے
بنے ہیں اب وہ عذاب لکھنا
صدا خطائیں نہ گنتے رہنا
کوئی تو میرا ثواب لکھنا

sunte hain k har shai men hai anvaar-e-muhabbat
ho jaaye kabhii hum ko bhii deedaar-e-muhabbat

dekho ye mirii aankh ka dhokaa hai k sach hai
dikhne to lage hain mujhe aasaar-e-muhabbat

ujlat men ye purlutf safar Khatm na ho jaaye
behtar hai k dheemii rahay raftaar-e-muhabbat

aaqil ko aseerii k taqaaze kahan manzuur
naadaan hii hotaa hai giriftaar-e-muhabbat

pahle to har ik baat bigar jaatii hai, yaaro
aate hain zaraa der se atvaar-e-muhabbat

yun lagne lagaa, aaj to har kaam hai mumkin
main ne jo kiyaa yaar se izhaar-e-muhabbat

mere dil-e-deevaanaa kii hasrat bhii nikal jaaye
jhuutaa hii sahii, kar len vo iqraar-e-muhabbat!

darkaar hai Khuun qalb kaa tazeen ko is kii
khiltaa nahiin varnaa kabhii gulzaar-e-muhabbat

har shaKhs hai is jazba-e-fitrii kaa mukhaalif
ik hum hain zamaane men tarafdaar-e-muhabbat

rusvaa bhii hue, vasl kii lazzat bhii na paayii
naahaq hii bane hum to gunah gaar-e-muhabbat

marte hain magar zakhm pay marham nahiin rakhtay
Abid hain ajab log ye beemaar-e-muhabbat

Yeh lamhafikr-o-ghamka guzer kyun nahi jata
Akhir ko hai pemana bhar kyun nahi jata

Aata hai kucch yaqeen mager badguman bhi hoon
Maazi se jo mila hai asar kyun nahi jata

Usne bare khuloos se yeh kehdiya
Jeena hai nagawar tou marr kyun nahi jata

Nakaam hasraton ka tasalsul nahi toota
Jane mager yeh shouq-e-safer kyun nahi jata

Mana ke iss qader nahi per kucch tou hai
Woh shakhs khayalon se utar kyun nahi jata

tumhari Yaad Say Jab Ham Guzarnay Lagtay Hen
Jo Koi Kaam Na Ho Bus Wo Karnay Lagtay Hen

Tumhary Aaina Zaat K Tassawwur Men
Ham Apnay Aaina Aagay Sanwarnay Lagtay Hen

Ham Apni Haalat E Bayhaaliyey Aziyat Men
Najanay Kis Ko , Kisay Yaad Karnay Lagtay Hen

Boht Udaas Hon Men Gham Sada Nahi Rehta
Boht Udaas Hon Men Zakham Bharnay Lagty Hen

Unhen Men Teri Tamanna Ka Funn Seekhata Hon
Jo Log Teri Tamanna Say Darnay Lagtay Hen

Yahaan Men Zikir Nahi Kar Raha Makeenon Ka
Kabhe KabheDar O Dewaar Marnay Lagtay Hen

tumhari Yaad Say Jab Ham Guzarnay Lagtay Hen
Jo Koi Kaam Na Ho Bus Wo Karnay Lagtay Hen

Tumhary Aaina Zaat K Tassawwur Men
Ham Apnay Aaina Aagay Sanwarnay Lagtay Hen

Ham Apni Haalat E Bayhaaliyey Aziyat Men
Najanay Kis Ko , Kisay Yaad Karnay Lagtay Hen

Boht Udaas Hon Men Gham Sada Nahi Rehta
Boht Udaas Hon Men Zakham Bharnay Lagty Hen

Unhen Men Teri Tamanna Ka Funn Seekhata Hon
Jo Log Teri Tamanna Say Darnay Lagtay Hen

Yahaan Men Zikir Nahi Kar Raha Makeenon Ka
Kabhe Kabhe Dar O Dewaar Marnay Lagtay Hen

Hum na hoye to koye ufaq-e-mehtab nahin dekhay ga
Aaisi neend uray gi phir koye khoa’ab nahin dekhay ga

Narmi aur mithas main dooba ye hi mohazzib lehja
Talkh hoa to mehfil k aadab nahin dekhay ga

Pesh lafz say ikhtitam tak parhnay wala qaari
Hum jis main tehreer hain bas wohi baab nahin dekhay ga

Aik hijrat aur aik musalsal dar-badari ka qissa
Sab taaberen dekhen gay koye khoa’ab nahin dekhay ga

Ho Gaye Khawab kirchiyaan kitnay
Aa gaye dard darmayaan kitnay
.
.
Tum ne kiya soch kar mujhe chaha?
Tum ne dekhay hain raayegaan kitnay?
.
.
Hum tau lagta hai gin-nay aaye hain
Zindagi k hain imtihaan kitnay
.
.
Baat sach ki nahin tau phir jaana
Mil hi jaayein gay yak zubaan kitnay
.
.
Aik waaday ki baat thi FARHAT
Us ne badlay mar bayaan kitnay……….!!

Sare taqe jaan na chiragh hai pase baame shab na seher koi
ajab ek arsa-e-darazhai, na guman hai na khabar koi

Nahi ab to koi malal bhi, kisi wapsi ka khayal bhi
ghame bekasi ne mita diya mere dil me tha bhi agar koi

Tujhe kya khabar ke raat bhar, tujhe dekh pane ko ek nazar
raha sath chand ke muntazir teri khidkiyon se idhar koi

Sare shakhe jaan tere naam ka ajab ek taaza gulab tha
jise andhiyon se khatar na tha jise tha khizan ka na darr koi

Teri berukhi ke dariya me ghani teergi ke hisaar me
jale kis trha se chiraghe jaan kare kis taraf ko safar koi

Kate waqt chahe azab me, kisi khwab me ya saraab me
jo nazar se door nikal gaya use yaad karta hai har koi

Sare bazm jitne chiraagh the, woh tamam ramz shanas the
teri chashme khush lihaz se nahi bolta tha magar koi

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory

Recent Comments