The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
toot kar zara dekho,
tum agar bikhar jao,
bay basi may ghir jao,
dil say ik sada dena,
bus mujay bula lena,
may tumhe sumbha longa,
zindagi may chalnay ka,
rasta badalnay ka,
ik hunar sikha donga,
tumko hosla donga,
or jab,
sambhal jao,
roshni may dhal jao,
mujko yun sila dena,
tum mujay bhula dena………..
Suno Jana
Judai Maut Hoti Hai!
kabhi fursat mile tu daikhna patton ka girna tum,
k jab yeh shajar se gir k zameen par aan partey hain tu kaise raunde jate hain.
thirthrati raat k khamosh lamhon mein,
kisi bebas akeli bawafa khamosh ladki ki kabi tum siskian sunna,
kabi qitaar se bichri hui koonjon k noohe par nigah karna,
k kaise aik dooje ki judai par tarap kar bain karte hain,
kabi rukhsat k lamhon mein kisi ki ankh se larkhartey huwey ansoo ko daikho gi,
tu shaid jaan jao gi,
judai maut hoti hai,
Abi tum ne muhabbat k baraste bheegte mausam nahi daikhe,
abi tum titliun k rang muthi main chupati ho,
abi tum muskarati ho
suno jana !
kabhi jo zindagi ne ajnabi veran rahon par,
tumhare yeh hansi cheene,
tu phir ansoo bahao gi,
tum itna jaan jao gi
JUDAI MAUT HOTI HAI
Ik Din younhi baithay baithay
Uss ne mujh se pooch liya tha
"Tum ne KISI se Pyar kia hai"
"Ulfat ka Izhaar kia hai"
Lekin main Khamoosh raha tha
Wo khud bhi shurmaii thi
thoora sa Ghabraii thi
MAIN ne soocha Barsoon pehlay,Jitnay Sapnay dekhay thay
Un sapnoon ko Tabeeron se Humahung kar denay ka
Aik yahi to Lamha hai……….
Lekin phir yeh soocha main ne
Janay is k DIL mein kya hoo???
Janay mujh ko samjhti kya ho??
Mujbooori thi Warna main ne
AIK USSI SE PYAR KIA HAI.
Zameen-zaaday chalo baatain karain shehr-e-tamanna ki
Yehan to shaam say pehlay he sooraj doob jaata hai
Yehan her khuaab say pehlay he neendain chonk uthti hain
Baharain yoon guzarti hain ke jaisay waqt say un ki koi azli adaawat ho
Koi baadal nahin rukta hawa’ain bay-murawwat hain
Hueen sadyaan ke aankhon main koi sooraj nahin chamka
Koi shabnam nahin utree koi moti nahin damka
Chalo yeh to humaree kum-nigaahi ki sazaa thehri
Magar hum khuwaab na daikhain to neendain bay-samar apni
Sama’at bay-khabar apni sazaa na-mutabar apni
Zameen-zaaday chalo baatain karain shehr-e-tamanna ki
Yeh baatain jo sulagtee hain magar kirnain nahin banteen
Inhain roshan agar kar paao to kitnay sakhee thehro
Magar kya kar sako gay tum? Magar kya kar sakain gay hum
Keh hum is shehr main bay-khuwaab raaton kay hawaalay hain
Zameen-zaaday zameen pay basnay waalay thaknay waalay hain
Bay-hunar zamaanay may…
Raaeygaa’n safar apna…
Khauf k bayabaa’n may…
soojhhta kuch bhi nahee’n…
Bad-gumaani palti hay…
Saaeybaa’n hi jab apna…
Munharif ho chhaao’n say…
Justujoo parraao ki…
Bay-samar si lagti hay…
Bay hunar zamaanay may…
Raaeygaa’n safar apna….!
Ab meray shanay say lag kar kis liey rotay ho tum
yaad hai tum nay kaha tha
"jab nigahon main chamak ho
lafz jazbon kay asar say kanptay hon, aur tanafuss
iss tarah uljhain ki thakan khushboo banay
to woh ghari ehad-e-wafa ki saa;at-e-nayab hai
woh jo chupkay say bichhar jatay hain lamhay hain, Musafat
jin ki khair paoon par pehray bithati hai
nigahain dhund kay pardon main unko dhoondati hain
aur samaa;at unki naram aahat keliey
daman bichhati hai"
aur woh lamha bhi tumko yaad ho ga
jab hawain sard thin aur sham kay melay kafan par
hath rakh
tum nay lafzon aur ta;luq kay naey ma;ani bataey thay, kaha tha
har ghari apni jagah par saa;at-e-nayab hai
hasil-e-umar-e-guraizan aik bhi lamha nahin
lafz dhoka hain keh n ka kaam iblagh-e-maani ke ilawa kuchh nahin
waqt maani hai jo har lehza naey chehray badalta hai
janay wala waqt saaya hai
keh jab tak jism hai yeh aadmi kay sath chalta hai
yaad misl-e-natq-e-pagal hai, keh iss kay lafz maani say tahi hain
yeh jisko tum ghum, aziet, dard, aansoo
dukh waghaira keh rahay ho
aik lamhaati ta;asur hai, tumhara veham hai
tum ko mera mashwara hai, bhool jao tum say ab tak
jo bhi kuchh main nay kaha hai"
Ab meray shanay say lag kar kis liey rotay ho tum!
Mairay jaanay pay aey jaana’n…
Paraishaa’n tum nahee’n hona…
Kabhi chhup ker nahee’n rona…
Judaaii zeher hoti hay…
Mujhay ma’loom hay laikin…
Firaaq-o-hijr ka mausam yaqeenan beet jaaey ga…
Yaqeenan wasl k lamhay…
Dobaara laut aaey’n gay…
Wohi shaamai’n, wohi raatai’n…
Wohi qissay, wohi baatai’n….
Wohi phir daastaa’n ho gi…
Mohabbat meherbaa’n ho gi…!!!
yeh Ajeeb Meri Mohabatain’……… …
Koi pooch le to main kya kahoon
usay kya bta~oon
yeh roz o shab to janam janam per muheet hy
merey zakhm zakhm dil o nazar
mujhay is janam main nahi milay
merey ratjagay merey hamsafr
merey saath aaj nahi chalay
yeh muheeb wehshat e fikr jo
merey naqsh naqsh ki rooh hy
koi besabaat byaan nahi
yeh to aatmaaoun ka aks hy
yeh to devtaaoun ka dhyaan hy
yeh to janay kesi sadi sadi ki
aziyaton ka gyaan hy
yeh ajeeb merey gham o alam
yeh naseeb sang e siyaah per
yeh warq warq per gaRay qalam
yeh k~Ra hisaar nya nahi
mera intzaar qadeem hy
mera us se pyaar qadeem hy
yeh ajeeb meri mohabatain..sabhi ne yun to kiya tajziya mohabbat ka
kisi se hal na hua maslla mohabbat ka
woh jis ke hijar main rona usko dua dena
samajh main atta nahe FALSAFA MOHABBAT KA
Jamal ban ke meri aankh mein samatay ho
khayaal ban ke mere dil ko Gudgudatay ho
kamal ban ke meri zindagi banatay ho
misaal ban ke mere houslay badhaatay ho
KHUDA GAWAH K "TUM " MUJH KO YAAD ATAY HO
main dekhta hoon tumhari zia sitarooon mein
main dekhta hoon tumhari ada baharoon mein
mein dekhta hoon tum aik ho hazaroon mein
main dekhta hoon k har shey mein muskuratay ho
KHUDA GAWAH K "TUM " MUJH KO YAAD ATAY HO