The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
Mujhe aawaz de lena
Kabhi jab ankh chalkay to
Kabhi jab dil na sambhlay to
Mujhe aawaz de lena
Kabhi jab door ho koi
Bohat majboor ho koi
Koi aawaz na de to
Mujhe aawaz de lena
Koi ansoo na ponchay to
Koi hansnay se rokay to
Koi tum ko sataye to
Mujhe aawaz de lena
Kabhi jab din na guzray to
Kabhi jab raat tarpaye to
Kabhi din main andhera ho
Mujhe aawaz de lena
Main tere pass hota hoon
Main tere sath rehta hoon
Magar phir bhi guzarish hai
Mujhe aawaz de lena
Wo Keh Ke Chalay Itnee Mulaqat Bohot Hay
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan Jao Gay Barsaat Bohot Hay
Wo Kehnay Lagay Jana Mera Zarori Bohot Hay
Nahi Chahti Dil Toron Tera, Per Majboree Hay
Gar Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena….
Main Nay Kaha Hojao Chup, Itnee Kahi Baat Bohot Hay
Samajh Gaya Hoon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nhi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nhi
Phir KAbhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
Sari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bohot Hay
Aankh sey barsey, to barsaat na qaaboo aaye
tum ney bakhshey they jo sadmaat, na qaaboo aaye
ham ney mar mar ke guzaarey hain judaayi main terii
ye sulagtey hoye din raat na qaaboo aaye
aaina TooT key jese ho zameeN par bikhra
aese bikhrii hai mrii zaat na qaaboo aaye
go keh muThii main raheeN waqt ki saarkash ghariyaan
par trey wasl key lamhaat na qaaboo aaye
Ranj main chhor gaya saath mra saaya bhi
aesey bigrey mrey haalaat… na qaaboo aaye
ham ney chaaha tha tumhaiN bhool key jee lein lekin
is dil-e-wehshii ke jazbaat na qaaboo aaye
aik sey aik naya dard miley hain humko
yeh muqaddar ki mudaraat na qaaboo aaye
Koi mujh ko aisi daleel day
k mae toot ker
teray naqash ko putliyoon say mita sakoon
koi mujh aisi daleel day
k mae dil say pher
teri umer bher ki rafaqatoon ko bhula sakoon
koi mujh ko aisi daleel day
k mae umer bher
teri yaad ka koi jashun hi na mana sakoon
ager koi sabeel hai to pher aazma
jo nahin to pher
mujhay yaad ker…………….m ujhay yaad aaa!!!!!
Muqaddar k sitaron per,
Zamanon k ishaaron per,
Udaasi k kinaron per,
Kabhi veeran sheron mein,
Kabhi sunsaan raahon per,
Kabhi hairaan aankhon mein,
Kabhi beejan lamhon mein,
Tumhari yaad chupke se koi Sarghosi karti hai,
Ye palkein bheeg jati hain,
Main palkon ko jhukati hon,
bazahir muskurati hon,
Faqt itna hi kehtii hon….
Mujhe kitna satatey ho..
Mujhe tum yaad aatay ho ….
——–x——–x——–x——–
Suno!
Kabhi Yun Karein k…
Kahin Mil Baith k Koi Udas Aur SogWar Sham Duhrayein
Aur Beetnay Na Dein
Aur Khud Ko Bhooli Bisrii Yaadon k Sapurd Kar k
Wapis Lautna Bhool Jayein
Yaa Kisi Jungle Mein Ja k
Khud Ko Parindon Ki Qaid Mein Dey Ayein
Kisi Tun-o-Tanha Badal Ko Bulayein
Aur Usay Hamesha Hamesha k Liye Apney Ghar Rakh Lein
Aur Ghar k Sarey Dareechay
Saray Raastey Band Kar Dein
Taakay Usay Koi Milney Na Aa Sakey
Apni Apni Zakhmi Aarzoun Ko Zakhmi Hi Rehney Dein
Aur Aik Doosrey Ko Khuwab Nagrion Ko Rawana Kar k
Rasta Na Bhoolney Ki Dua Mangein
Kisi Roz Apney Apney Payaron Se
Bey Sabab Naraz Ho Jayein
Aur Jahan Jahan Pe Jo Jo Wada Likh Rakha Hay
Usay Mita Daalein
Suno, Kya Khayal Hay..?
Kabhi Yun Na Karein
k Hoslon k Saray Bandh
Aur Tahammul k Saray Sutoon Torr Daalein
Aur Hawaon k Samney
In Kathoor Hawaon k Samney
Deewar Ban Kar Kharrey Ho Jayein Inhein Rok Kar
Un Ka Girebaan Thaamein
Aur Cheekh Cheekh Kar Unhein Bura Bhala Kahein..Aur
Aur Un Se Jurm Poochein
Suno, Kya Khayal Hay…???
———-X———-X———-X———-X———-
Hazar Bar Yeh Chaha K Aik bar Kabhi
Woh Meray Samnay Aay
To Mein Bhi
Ji Bher K
Palak Jhapak Me Usay Dekh Loon Nazar Bher K
Hazar Bar Yeh Socha K Aik Bar Kabhi
Woh Meray Samnay Bethay
To Aik Sa’at Me
Bus Aik Lufz Me Ji Bher K Guftago Kerloo’n
Mein Apnay Husn-e-Talab Hi Ko SurkhRo Kerloo’n
Hazar Bar Yeh Socha Kabhi To Aisa Ho
Her Aik Bar Magar Yun Hoa K Aaker Bhi
Idher Udher Ki
Zamanay Ki
Fulsafay Ki, Sayasat Ki, Ilm-o-Danish Ki
Hazar Batoo’n Ko Usnay
Bana K Shehad Meray Kan Me Utar Dia
Aur Apnay Husn-e-Baya’n Se Mery Sama’at Ko
Ajeeb Dhung Se So So Terha Nikhar Dia
Woh Aee
Baithi
Chali Bhi Gaee
Magar Mujhko______________ _______
Hamesha Aik Hi Hasraat ,Hamesha Aik Lagan
Hamesha Aik Tamana, Hamesha Aik Chubhan
K Bar-e-Gosh Basad Ujz Us K Aik Sukhan
Jalay Jo Shama Kabhi To Idhar Bhi Aik Kiran
Hazar Bar Yeh Socha Kabhi To Aisa Ho
Hazar Bar Yeh Socha Kabhi To Aisa Ho.
Uss ne aik lamhey ko dekha mujhey
aur phir hans diya
Uss hansi mein to wo talkhi thi
ke uss se agey Kiya kaha uss ne..
mujhey yaad nahin hai laiken…
Itna maaloom hay.
Itna maaloom hay
khawabon ka bharam toot gaya
Tum nay apnay pehlay khat main
apna pehla khawab lihka tha
khwahish ki pehli barish main
khud ko khilta phool lihka tha
lakin tum nay pehlay khat main
anjanay say khauf main a ker
yai kyon lihka?
khawab adhoray reh jatay hain
khawahish pori kab hoti hay
sari khusboo ur jati hay
phool akhir murjha jatay hain