The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
pyaar tunay aisa kya kiya….
darbadar bayhosh bankay bhatak ti hu….
har saans ki intayja tera pyaar hai….
teray ishq mai tabah honay ka bhi koi gham nahi….
saath ho tera to hans kar bhi sah lu mai har sitam…
teray hi pyaar ka hai yeh honsla
Rukhsat hoya to haath mila ker naheen gaya
wo ja raha hia yeh bata ker naheen gaya.
yun lag raha hia abi laut aye ga .
jaltay hoyey chiragh buja ker naheen gaya.
Gher main aaj be hia khushboo basi hoi.
yun lag raha hia wo aa ker naheen gaya.
REhnay diya na kisi kaam ka us nay mujey.
Jatay hoyey Khaak main mila ker naheen gaya .
Kagaz pe humne zindagi likh di,
Ashkon se seench har khushi likh di,
Dard jab humne ubhara lafzo pe,
Logon ne kaha wah kya gazal likh di…
Mohabbat kar ke dekhi to,
Mohabbat ko pehchana hai,
Wafa bas naam ki hai,
Bewafaai ka fasana hai….
Aao neend ki aaghosh main
Phir Mulakaat karain…
Is jahaan say us jahaan tak ka Faasla
Ik lamhay main paar karay
Teri Aankhein jo bandh ho gaee is jahaan say
Chalo yehi rah Ikhtiyaar karay
Jhilmilatay Taaro kay Saath
Aao phir say Tumhain yaad karay
Neend ki aaghosh main
Aik Mulakaat karay….