The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!
2 Responses for "Main sun k uski sub batain"
nice…..
” Main sunke unki sab baatain
faqat itna he kahta tha,
khafa hona mana lena
ye sadiyon se riyayet hai.”
Bahut khoob surat kalaam
se nawaza aapne. Shukriya.
Wakai kabile tareef her dil aziz
ghazal hai. Ek Sher batur daad
pesh kerta hoon.
“Shikwe hazaar dil main the lekin huzoore husna
lasb sil gaye , jaban hilayi na ja saki.”
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.