Doob te ko tinkay ka sahara chahye
Shadi k liay behnon ka ek ishara chahye

Hazar nuks nikalti hain larke k chahre main
Koi pooche to un se kia sitara chahye??

Chaar shararon se baat nahi banne wali
Saath main to un ko ek khatara chahye

Behno! karo khayal kam hogaye hain baal
Warna kahen ge woh larka hamen karara chahye

Kitni bar kaha baaji larki hai yehi behter
Mughay bhi to aakhir gunahon ka kuffara chahye

Tum bhi sunlo larki walon yeh daastaaan
Phir na kehna hamen interview doobara chahye

Ab to reh guzar main aakay par gaya hoon
Le jao jis ko bhi yeh baaboo bichara chahye

Kyun dikhayi larki walon ki itni sharafat azfar
Woh kehte hain hamen larka thora aawara chahye