Mera Ideal !

Gaal Par Ghaza Na Ho, Chehray Par Maskara Na Ho…

Dar-Haqeeqat Chand Ho, Masnooi Sayyara Na Ho…

Ba-Haya Ho, Ba-Wafa Ho, Saanwli Ho, Khair Hai…

Chat Se Kankar Maarti Ho, Aisi Fankara Na Ho….

Itni Shereen Bhi Na Ho, Ke Oh`Honey Kehna Paray…

Ho Zara Namkeen Ho, Lekin Namak Para Na Ho…

Mashriqi Tehzeeb Ka, Naadir Sa Ho Ek Shahkaar…

Magribi Tehzeeb Ka, Naayaab Fanpara Na Ho…

Shama-e-Mehfil Na Ho, Ho Chiraag-e-Aashiyaan…

So Kisi Bhi Ajnabi Ki Aankh Ka Taara Na Ho