The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
hameshaa hai vasl-o-judaa_ii kaa dhandhaa buto.n kii hai ulfat Khudaa_ii kaa dhandhaa agar baiThe rindo.n kii sohabat me.n zaahid to de.n chho.D sab paarasaa_ii kaa dhandhaa [rind = one who drinks; sohabat = company] [zaahid = preacher/religious man; paarasaa_ii = self-restraint] jo honaa hai aaKhir vo hokar rahegaa kare kaun baKht_aazamaa_ii kaa dhandhaa [baKht_aazamaa_ii = testing one’s fate/luck] pareshaa.N rahii umr bhar par na chho.Daa terii zulf ne kaj_adaa_ii kaa dhandhaa [kaj_adaa_ii = crookedness (curliness)] mubaarak ra_iiso.n ko kaar-e-riyaasat gadaa ko hai kaafii gadaa_ii kaa dhandhaa [gadaa = beggar; gadaa_ii = begging] nahii.n Khizr ke piichhe gar aur jhaga.De to hai saath ik rah_numaa_ii kaa dhandhaa [rah_numaa_ii = guidance/to show the path] ’Zafar’ is se bahatar hai naa_aashanaa_ii ki mushkil hai ye aashanaa_ii kaa dhandhaa
din ko bhii itanaa a.Ndheraa hai mere kamare me.n saayaa aate hue Darataa hai mere kamare me.n Gam thakaa haaraa musaafir hai chalaa jaayegaa kuchh dino.n ke liye Thaharaa hai mere kamare me.n subah tak dekhana afasaanaa banaa Daalegaa tujh ko ek shaKhs ne dekhaa hai mere kamare me.n dar_ba_dar din ko bhaTakataa hai tasavvur meraa haa.N magar raat ko rahataa hai mere kamare me.n chor baiThaa hai kahaa.N soch rahaa huu.N mai.n ’Zafar’ kyaa ko_ii aur bhii kamaraa hai mere kamare me.n
dhuup hai kyaa aur saayaa kyaa hai ab maaluum huaa ye sab khel tamaashaa kyaa hai ab maaluum huaa ha.Nsate phuul kaa cheharaa dekhuu.N aur bhar aa_ii aa.Nkh apane saath ye qissaa kyaa hai ab maaluum huaa ham baraso.n ke baad bhii un ko ab tak bhuul na paaye dil se un kaa rishtaa kyaa hai ab maaluum huaa saharaa saharaa pyaase bhaTake saarii umr jale baadal kaa ik Tuka.Daa kyaa hai ab maaluum huaa
yaar thaa gul_zaar thaa baad-e-sabaa thii mai.n na thaa laayaq-e-paa-bos-e-jaa.N kyaa hinaa thii mai.n na thaa haath kyo.n baa.Ndhe mere chhallaa agar chorii huaa ye saraapaa shoKhii-e-rang-e-hinaa thii mai.n na thaa mai.n ne puuchhaa kyaa huaa vo aap kaa husn-o-shabaab ha.Ns ke bolaa vo sanam shaan-e-Khudaa thii mai.n na thaa mai.n sisakataa rah gayaa aur mar gaye farahaad-o-qais kyaa unhii.n dono.n ke hisse me.n qazaa thii mai.n na thaa
yaa mujhe afsar-e-shaahaa na banaayaa hotaa yaa meraa taaj gadaayaa na banaayaa hotaa [afsar-e-shaahaa=royal officer; gadaaya=like a beggar] Khaak_saarii ke liye garache banaayaa thaa mujhe kaash Khaak-e-dar-e-jaanaa.N na banaayaa hotaa nashaa-e-ishq kaa gar zarf diyaa thaa mujh ko umr kaa tang na paimaanaa banaayaa hotaa [zarf=knowledge; tang=short] apanaa diivaanaa banaayaa mujhe hotaa tuune kyo.n Khirad_mand banaayaa na banaayaa hotaa sholaa-e-husn chaman me.n na dikhaayaa us ne varanaa bul_bul ko bhii paravaanaa banaayaa hotaa roz-e-mamuuraa-e-duniyaa me.n Kharaabii hai ’Zafar’ aisii bastii se to viiraanaa banaayaa hotaa
vo behisaab jo pii ke kal sharaab aayaa agarche mast thaa mai.n par mujhe hijaab aayaa idhar Khayaal mere dil me.n zulf kaa guzaraa udhar vo khaataa huaa dil me.n pech-o-taab aayaa Khayaal kis kaa samaayaa hai diidaa-o-dil me.n na dil ko chain mujhe aur na shab ko Khvaab aayaa
tum na aaye ek din kaa vaadaa kar do din talak ham pa.De ta.Dapaa kiye do do pahar do din talak [talak = till] dard-e-dil apanaa sunaataa huu.N kabhii jo ek din rahataa hai us naazanii.n ko dard-e-sar do din talak dekhate hai.n Khvaab me.n jis din kisuu kii chashm-e-mast rahate hai.n ham do jahaa.N se beKhabar do din talak [kisuu = kisii = someone; chashm-e-mast = intoxicating eyes] gar yaqii.n ho ye hame.n aayegaa tuu do din ke baad to jiye.n ham aur is ummiid par do din talak [yaqii.n = believe/trust] kyaa sabab kyaa vaastaa kyaa kaam thaa batalaa_iye ghar se jo nikale na apane tum "Zafar" do din talak
the kal jo apane ghar me.n vo mahamaa.N kahaa.N hai.n jo kho gaye hai.n yaa rab vo ausaa.N kahaa.N hai.n aa.Nkho.n me.n rote rote nam bhii nahii.n ab to the maujazan jo pahale vo tuufaa.N kahaa.N hai.n kuchh aur Dhab ab to hame.n log dekhate hai.n pahale jo ai "Zafar" the vo insaa.N kahaa.N haiN
subah ro ro ke shaam hotii hai shab ta.Dap kar tamaam hotii hai saamane chashm-e-mast ke saaqii kis ko parvaah-e-jaam hotii hai ko_ii Gunchaa khilaa ke bul-bul ko bekalii zar-e-daam hotii hai ham jo kahate hai.n kuchh ishaaro.n se ye Khataa laa-kalaam hotii hai
shamashiir barahanaa maa.Ng Gazab baalo.n kii mahak phir vaisii hai juu.De kii gundhaavat bahar-e-Khudaa zulfo.n kii laTak phir vaisii hai har baat me.n us ke garmii hai har naaz me.n us ke shoKhii hai aamad hai qayaamat chaal bharii chalane kii pha.Dak phir vaisii hai maharam hai habaab-e-aab-e-ravaa suuraj kii kiran hai us pe lipaT jaalii kii ye kuratii hai vo balaa goTe kii dhanak phir vaisii hai vo gaaye to aafat laaye hai sur taal me.n leve jaan nikaal naach us kaa uThaaye sau fitane ghungharuu kii chhanak phir vaisii hai