The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
Na chahtay huve bhi dur hai hum un say….
guzar ta nahi yeh zindagi ka pal pal…
dil ki majburi bayan karray to bhi kissa….
jis ka intayzar hai wo bhi masruf e haal hai….
bas duva hai kay hamaray jayse tadap unhay na ho
Is baat ka gila khud se,Zindagi bhar rahe ga.
Us dil ko dukhayata kabhi,Ye aihsaas rahe ga.
Chot khakar bhi to tum, muskuraate hi rahe,
Is chot ka zhakham bhi too,Mere dil pe hi rahe ga
Wo naaraj nahi hum se, Ye un ka rehem hum pe.
Soch te bhi nahi aisa, kabhi karen sitam hum pe.
Sahil pe pyaar barsta hai, paheli baarish ki tarha.
Phool hi bhichate hai meri rahon main, chaadar ki tarha.
Har ghdi wo karte hai, ye karam hum pe.
Jaab bhi koyi shham humne,tanha bitayi hai.
Sach kaheta hun mujhe, teri yaad bohot aayi hai.
Jab tak na baha aaskh,sahil ke in aankho se
Tab tak na chain, na raat ko neend aayi hai
ye fasle ye duriya
pareshan kiye rakhti hai hume
din bhar teri majburiya
teri wafa teri mohabbat
aur teri muskurahat
sab yaad dilati hai hume ye duriya
jagaye rakhti hai hume raat bhar
tumhari duri ka ehsaas
kis se kahe hum apni dil ki baat
tum hi ho raaz daa
tum hi yaar ho
tum hi se mohabbat hai
aur tum hi se hai gila
ye duraiya janam
kab hogi khatam
kahi beet na jaye
chahat ka mosam
Cho le jo ye khalam tum ko,Shayari banjaye.
Hazaar rang ho jismain,wo tasweer banjaye.
Bas yehi soch ke ghabraata hai ye dil.
Kahin ye nazar na meri,ghustaqh banjaye
hum mohhabat ki numaaish nhi karte,
hum lafjo ki paimaaish nhi karte………….
chahte hai jise bepanaah chahte hai ,
aur unse kabhi chahat ki khwaaish nhi karte.
jab say basaya hai mai nay is dil mai tumhay,,,,,
tab say sahti hun mai sab ki kanto bhari nigahai,,,,
jab say kiya hai mai nay shamil tujhai meri zindagi may,,,
tab say sasish may shamil saara yeh jahan hai…
yeh saasish nahi kar sak tay hummay juda,,,
kun kay jism aur ruh nahi ho sak tay aalag,,,,
mar kay bhi karungi mai tujh say wafaa…
teray paigaam kay intayzaar may,
nikal tay nahi hai meray aankh say aansu,,,,
is baybasee mai rooti hu mai khuun kay aansu,,,
kasam hai tujhko,meri zindagi kay liye….
yakeen hai mujko,hoja ungi mai maut kay hava lay,,,,,
chodo gay jo mujhay beech rah mai,todo gay jo tum mera dil
Kaash is seene main do dil hote
Ek main basaa leta apne armaan
Dooje ko kar deta tujhpe kurbaan
Insaaaf na kar paaunga tere sang
Agar tujhe armaanon ke uper rakha
Bin armaanon ke kaise jeeunga, tuhi bataa?
Dil ab bhi dharakta hai mera tere liye
Tu ab bhi aaati hai mere khaabooon main
Par armaan to jaate hi nahi in aankhon se….
Chunnanaa hai sirf mujhe ek koooo
Tu jo milli to zindagi meri yeh sawar jaayegi
Par armaanon bin basant main pathjar aa jaayegi
NanhaiN pairoN pay dorta bachpan
HaNsta gaata muskurata bachpan
Teri kilkaarioN main sabaaN kay jhoNkay
Teri shokhi main bahaaroN kay aNdaaz
Teri udaasi say tarap jaayay kahkashaaN saari
Teri tutlahat main raagoN ka riyaaz
Koi Suqraat bhi kya teray zauq-e-talab kay aagay
Teri masti ki raqs maiN ho jaisay hyaat
Teray laboN pay khailti hai aisay shffaaf haNsi
Ki sharma jayay issay parioN ki bhi zaat
Tu hai meray jism-o-rooh ka kalaam
Teri ghardish main meri hasti ka nizaam
Tujhsay Hai masrrat kay phir raushan chiraagh
Teray irtiqa main nihaaN meray teerath-o-dhaam
Aur Ai meray lakht-e-jigar
Yeh hai khud say ahad mera
Ki na ban jayay baar tera
Yeh tamaam pyaar mera
Aur parwaazoN main teri
Na ho meri tamnnaoN ka beseraa