The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.

wo kehte hai ke humne unko bhula rakha hai

May 19, 2008 Author: admin | Filed under: Urdu Shairy

wo kehte hai ke humne unko bhula rakha hai,
koi jaake unhe batade ke unhe dil me chupa rakha hai…….

na lagjaye unko nazar jamane ki,
bas yehi sochkar humne chilman se nazro ko chupa rakha hai.

hum roothe to kiske bharose,

May 19, 2008 Author: admin | Filed under: Urdu Shairy

hum roothe to kiske bharose,
kaun hai jo aayega hume manane ke liye…………..
ho sakta hai ke taras aa bhi jaaye unko,
par main dil kahan se laoon unse rooth jaane ke liye.

aayi jo unki yaad to sher likh diya

May 19, 2008 Author: admin | Filed under: Urdu Shairy

aayi jo unki yaad to sher likh diya,
tanhaai mein suni hui aawaj ko kagaz par likh diya….
hui jo khushi to muskurake kalam se likha,
gamgeen hogayi jab tabiyat aansuo se likh diya……….

mere humnashin ko mulaqaat ki fursat nhi,
unhone aaj khat mein kal milne ko likh diya…..
wo jo kahte hai ki hume hal_e_dil bayaan karna nhi aata,
koi to unhe batlaade ke humne apne haal ko gazlo mein likh diya….

wo to har baat ko chupane wale the

May 19, 2008 Author: admin | Filed under: Urdu Shairy

wo to har baat ko chupane wale the ,
par khamoshi ne sab bayaan kar diya……..
jo fasanaa rah gaya tha humare hoton par ,
unhone to wo aankho se bayaan kar diya……….

wo sharm wo haya wo saadgi unki ,
laga yun ke hoor_e_jannat ka deedar kar liya………..
har saans pe wo dhadkan ki tarah yaad aate rahe ,
ab to lagne laga ke humne ’haseen gunaah’ kar liya……….

lafjo tak hi nhi khatm hui thi baat ,
ke khwabo mein bhi unka deedaar kar liya……….
har kalam to ab uthti hai unke hi liye ,
humne apni har nazm ko unke naam kar diya.

yun shab-sahar unka ahsaas rahta hai

May 19, 2008 Author: admin | Filed under: Urdu Shairy

yun shab-sahar unka ahsaas rahta hai,
lagta ke har pal wo mere saath rahta hai………..
kaise na aaye yaad wo mujhe itna to bata do,
ke wo to dil mein dhadkan banke dhadaktaa hai.

teray siva nahi mujhko koi parva….. kho jau sub kuch

May 19, 2008 Author: admin | Filed under: Urdu Shairy

teray siva nahi mujhko koi parva…..

kho jau sub kuch na khona tujhay….

mit jau is jahaan say bhi to koi gham nahi…

kyun kay jaan di huvi bhi aap hi ki hai.

pyaar tunay aisa kya kiya

May 19, 2008 Author: admin | Filed under: Urdu Shairy

pyaar tunay aisa kya kiya….

darbadar bayhosh bankay bhatak ti hu….

har saans ki intayja tera pyaar hai….

teray ishq mai tabah honay ka bhi koi gham nahi….

saath ho tera to hans kar bhi sah lu mai har sitam…

teray hi pyaar ka hai yeh honsla

Rukhsat hoya to haath mila ker naheen gaya

May 16, 2008 Author: admin | Filed under: Urdu Shairy

Rukhsat hoya to haath mila ker naheen gaya
wo ja raha hia yeh bata ker naheen gaya.
yun lag raha hia abi laut aye ga .
jaltay hoyey chiragh buja ker naheen gaya.
Gher main aaj be hia khushboo basi hoi.
yun lag raha hia wo aa ker naheen gaya.
REhnay diya na kisi kaam ka us nay mujey.
Jatay hoyey Khaak main mila ker naheen gaya .

Kagaz pe humne zindagi likh di

May 9, 2008 Author: admin | Filed under: Urdu Shairy

Kagaz pe humne zindagi likh di,
Ashkon se seench har khushi likh di,
Dard jab humne ubhara lafzo pe,
Logon ne kaha wah kya gazal likh di…

Mohabbat kar ke dekhi to

May 9, 2008 Author: admin | Filed under: Urdu Shairy

Mohabbat kar ke dekhi to,
Mohabbat ko pehchana hai,
Wafa bas naam ki hai,
Bewafaai ka fasana hai….

Categories

Mobile Talks Free sms (beta) Poetry Blogs - BlogCatalog Blog Directory