The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
yahii bahut hai ke dil us ko Dhuu.ND laayaa hai kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai karuu.N shikaayate.n takataa rahuu.N ke pyaar karuu.N gaye bahaar kii suurat vo lauT aayaa hai vo saamane thaa magar ye yaqii.n na aataa thaa vo aap hai ke merii Khvaahisho.n kaa saayaa hai azaab huup ke kaise hai.n baarishe.n kyaa hai.n fasiil-e-jism girii jab to hosh aayaa hai mai.n kyaa karuu.Ngaa agar vo na mil sakaa ’Amjad’ abhii abhii mere dil me.n Khayaal aayaa hai
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.