mai.n nazar se pii rahaa huu.N ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahe.n kahii.n raat Dhal na jaaye 

mere ashk bhii hai.n is me.n ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye 

abhii raat kuchh hai baaqii na uThaa naqaab saaqii
teraa rind girate girate kahii.n phir sambhal na jaaye 

merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa
tere aane kii Khushii me.n meraa dam nikal na jaaye 

mujhe phuu.Nkane se pahale meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat kahii.n saath jal na jaaye